Khamoshi

503 90 77
                                    

Sameer and Pandit were stunned hearing their best friends trembling voice... though from past few years they tried many times to let him reveal his pain but little they know the actual reason...

Munna always made excuses and never revealed the complete story even to his best friends making them more suspicious about the blunder he must have done... the more surprising for them that even he was staying with Pooja, he never told her also about his mistakes knowing how much strict she is and willsurely get good piece of mind from her for hurting any soul...

Sameer, "dekh Munna itne saal se tu ne jo bhi chhupaya hai aaj tujhe batana hi hoga... hum sab ne apne past mein kuchh na kuchh galtiyaan ki hai lekin its high time now to reveal to each other and accept our mistakes..." he tried to encourage him to reveal so that they can support to heal his pain, if possible...

Pandit also supports, "I don't know kiski galti thi lekin we can surely try to fix it... tu bata toh sahi aakhir hua kya tha tere saath..."

Munna gaining some courage starts his side of story, "mein sab kuchh bohot pehle hi batana chahta tha lekin samajh nahin aaya kaise bataau... bas ho sake toh mujhse nafarat mat karna khyunki jo bhi hua usmein kisi aur ki nahin balki sifr aur sifr meri galti thi..." he said looking his both friends who were also shocked expecting something worst coming to them...

Munna narrates, "tumhein toh maloom hai Pooja didi ki pregnancy ke time mein unke saath akela tha... as a Doctor maine unka poor dhyaan rakhne ki koshish ki lekin unki pregnancy mein bohot jyaada complications the... tum sab ka vishwas tha mujhpar ki mein sab sambhal lunga, infact Varun jiju bhi mere yakeen par Didi ko mere saath akela chhod kar chale gaye the... lekin mein ek Doctor ke saath ek bhai bhi hoon... Didi ki condition ko medically mein handle kar raha tha lekin ek bhai ka dil andar se bohot darra hua tha kyunki Pooja didi hum sab ki jaan hai... lekin uss waqt sab bohot pareshaan the aur mein apni problem kisi ke saath share bhi nahin kar pa raha tha... Pandit Preeti ke saath khush tha aur tujhse meri jyaada baat nahin ho pa rahi thi... vaise bhi tere accident ke baad se tu bohot chup rehne laga tha aur mein tujhe aur pareshaan nahin karna chahta tha...

Meri pareshaani dekh kar ek din mere ek fellow Doctor ne mujhe ek aadmi se milwaya... he was like some kind of Saint... voh chanting, meditation, mind reading, palmistry aur na jaane kitni aur cheejon mein expert tha... dheere dheere mein uske influence mein aane laga... medically Pooja didi ki haalat theek hone lagi thi lekin mujhe lagne laga shayad yeh sab positivity uss baba ki wajah se hai... I mean jo tension aur akelapan mujhe mehsoos hota tha voh kam hone laga tha aur mein didi ko lekar positive ho gaya tha ki sab theek hoga..."

Pandit shouts suddenly, "abey iska matlab tu kisi dhongi sadhu baba ki sangat mein chala gaya tha... itna pada likha doctor hokar tu itna bewkoof kaise ho sakta hai... kahin voh koi kale kapde pehen kar, bhabhuti lagakar, gale mein khopdi ki mala pehne huye kabristaan mein toh tujhe nahin bulata tha... kahin koi kaala jaadu vaadu toh nahin kar diya tujh par usne... isiliye jab hum London aaye toh tu humse nahin mila tha..." he hit hardly on his head to be so stupid even after so much educated and a well-known doctor in his field...

Sameer stopping him asked, "Munna, are you sure voh jo bhi tha voh koi dhongi nahin... I mean aajkal news mein itna sab aata hai fraud logon ke baare mein... I understand ki tu akela tha aur shayad darr gaya tha lekin bachpan se kabhi humne inn sab mein vishwas nahin kiya toh tu kaise phans gaya..."

Munna, "I have no justification from my idiotic behavior lekin sab bohot ulajh sa gaya tha... uss Baba ne mujhe convince kiya ki yeh duniya, yeh moh maya kuchh nahin hai... pyaar, rishtey shaadi sab mithya hai... tum jaane ho mein hamesha se ladkiyon aur shaadi se dur bhagta tha, shayad isiliye uss Baba ki baat ka mujhpar aasani se asar bhi ho gaya..." he said as a matter of fact he was never be in any relation and even never wanted to be... he was always be very studious and has only two friends in his life ever...

Never Let You GoWhere stories live. Discover now