Is he in love??

741 139 98
                                    

Early morning as per her routine Naina woke up and after getting freshen up she went down to temple, her peace place... she cleaned the place and lit diya.... to her surprise, Chinni too came early before going for school...

Chinni tell excitedly, "Bhabhi aap yahaan roj pooja karogi toh mein bhi aapke saath aaya karungi... roj aapke saath pooja karti hoon toh poora din achchha jaata hai..." Naina smiled seeing her as in entire house she is the only one who talks sweetly with her and making her smile...

On Chinni's insistence, Naina agreed to sing aarti in her melodious voice....

Sameer's eyes opened with a melodious voice fall on his ear... he sits back realizing she is not around... he tried to recall where he heard this voice earlier but failed... all his temper and anger suddenly melt in the harmonious voice...

Soon his trance broke with a knock on the door, seeing Pandit coming inside... after a long period of time Pandit surprised to see him awaked with a sweet smile on his face... soon after having their morning tea and discussion for the whole day, he gets ready to go down for breakfast... as compared to other days he seems more relaxed and calm making Pandit surprised too... but he was happy for his friend...

Chinni left for school soon aarti gets over... Naina sits back to spend some more time alone, "Kanha ji, aaj se maine apni zindagi ki nayi shuruaat ki hai... mujhe pata hai aapka aashirwad hamesha se mere saath raha hai aur rahega... aapke siwa koi nahin tha jisase apne dil ki baat kah sakti, par ab koi hai... koi aisa jise mujhse koi chhin nahin sakta... koi kaagaz, koi kanoon nahin..." she said smilingly keeping her hand at her belly....

Taking a deep sigh she said with brimmed eyes, "aapko toh pata hi hoga ki kal ek baar phir mujhe mere rishtey ke liye ek nayi mauhlat mil gayi... phir se 6 mahine... pichhali baar mein anjaan thi isiliye sapne bhi dekhe aur unke poora hone ki ummid bhi ki... par iss baar nahin, bilkul nahin... mujhe meri aane wali zindagi saaf saaf dikh rahi hai... mujhe ab sirf apne baby ke liye jeena hai... par phir bhi mein poori koshish karungi ki inn 6 mahino mein Sameerji ko koi pareshaani na ho meri wajah se... pichhli baar Sharad ne ek jhatke mein mujhe apni zindagi se nikaal phenka tha, voh bhi jhuthe iljaam ke saath ... par Sameerji ne aisa nahin kiya... kal bhale hi koi bhi wajah ho par unhone hum donon ki jaan bachaayi... bhale hi jubaan se nahin kaha par mein samajhti hun ki unhone mujhe mauhlat di hai taaki mein apni aane wali zindagi ke liye taiyar ho sakun... mujhe iss ghar se nahin nikala vohi bohot hai mere liye..."

"mujhe ab sirf ek achchhi si naukari dhundhani hai jisase mein apne bachche ka bhavishya bana sakun... yeh kuchh mahine meri pariksha hai jise mujhe poora karna hai... shayad jaane se pehle ek baar mein unki aankhon mein apne liye apnapan dekh paaun... pyaar ki ummid nahin par itna ho sake ki mere jaane ke baad voh mujhe bhule na... shayad unke dil mein apne liye thodi si jagah bana sakun... agar nahin bhi hua toh mujhe koi shikayat nahin... hamare rishtye ki neenv hi ek jhuth par rakhi gayi thi... aur din ba din duriyaan badhti hi gayi... iss rishtey ko toh tootna hi tha, bas yahi dukh hai ki mein theek se koshish bhi nahin kar paayi... par aap ho na mere saath, ab mein kabhi kamjor nahin padungi..." saying it she wiped tears from her eyes and smiled confidently...

Naina came inside the house seeing all were sitting on the table for breakfast... she tried to avoid all and straight moved to her room side, when Vishakha called her from back, "Naina... tumko breakfast nahin karna... come and join us..."

Seeing no option she nodded slowly and moved towards the table looking down as avoiding their intense gaze... she stops at a distance when Vishakha asked again, "tum toh nazar hi nahin aati... shayad tumhein nahin pata hamari parampara hai ki subah saara pariwaar ek saath breakfast karta hai... ab toh tum bhi iss ghar ka hissa ho toh aage se dhyaan rahe ki yeh parampara na toote..." she said in an authoritative firm tone...

Never Let You GoWhere stories live. Discover now