Tere Liye

526 125 80
                                    

Naina wiped continuous tears flowing from Nanu's eyes... her own eyes were wet sensing something extremely bad must have happened on that day in life of her loved ones which shattered their life... she handed him a glass of water to take some breathe...

Seeing him so much disturbed she said, "Nanu sorry mein aapke jakhm aur badana nahin chahti thi... mujhe nahin pata tha ki aap itane dukhi ho jaaoge... agar aap theek nahin ho toh mein aur aage nahin janana chahti..."

Nanu smiled weakly, "mujhe nahin pata aaj itane saalon baad tujhse yeh sab kah kar mein phir se ek baar kamjor pad jaaunga... par tu mere pariwaar ka hissa hai aur tujhe poora haq hai sab sach janane ka... kyunki yeh Sameer ki zindagi par pada voh kaala saaya hai jisne mere bachche ko kabhi khul kar hansane tak nahin diya... rishton par bharosa karna, ek pariwaar kya hota hai, voh kabhi mehsoos hi nahin kar paaya... sirf mera saath aur Munna Pandit ki dosti ne usey ab tak sambhal rakha hai varna kab ka toot kar bikhar jaata mera bachcha... duniya ke saamne hansane muskurane wala Sameer aur aaj ka top businessman, andar se kitna akela aur udaas hai yeh koi nahin jaanta... sivaay mere..."

Flashback

They decorated the whole Maheshwari mansion lit with lights and flowers... Sneha was eager to see the reaction of her husband, when she will give him the best news of his life that he is going to be a father... the moment Vivek entered all shouted together giving him a surprise but stunned seeing him holding one-year-old boy in his arms... a lady was standing beside him holding his other hand tightly...

Nanu stepping ahead askinf in confusion, "Vivek, yeh kaun hai aur kiska bachche ko goad mein le rakha hai... tere kisi dost ka bachcha hai kya ..." he had never seen her before around them...

But Vivek's reply make them all shattered making Sneha stumble... Nanu quickly hold her from shoulder making her sit on the chair... tears continuously flowing from her cheek making her words chocked hearing, "yeh Vishakha hai, mera pehla aur aakhiri pyaar... aur yeh Karthik, hamare pyaar ki nishaani, aapka pota... iss khandaan ka vaaris"

Nanu stepped ahead in anger and slapped harshly, "khabardaar jo mere pavitra ghar ko tu ne ganda kiya toh... iss ghar ki bahu Sneha thi aur vahi rahegi... itna bada paap karne se pehle tu ne ek baar bhi iss masoom ke baare mein nahin socha... voh aaj tujhe zindagi ki sabse badi khushi dene wali thi aur tu ne usey zindagi ka sabse bada dukh de diya... ghinn aati hai mujhe ki tu mera beta hai..."

He jerked him hard holding him from shoulder, "tu ne Sneha se shaadi apni marzi se ki thi... kisi ne tujhe force nahin kiya tha... usye dhokha dete huye tere dil ne tujhe dhikkara nahin..."

Vivek handing the little kid in Vishakha's arm came towards Sneha apologizing, "mujhe pata hai maine tumhein dukh diya hai par yakeen maano tum aaj bhi meri sabse achchhi dost ho... maine pati hone ke saare farz nibhaye par mein kabhi tumse pyaar nahin kar paaya... mein kamjor pad gaya tha... Maa ke achanak jaane ke baad, business mein meri wajah se loss ho rahe the tabhi tumne apni company hamare saath merge karne ki offer di aur mein lalach mein mana nahin kar paaya... phir shaadi ke liye Papa ne puchha toh maine na chahte huye bhi haan kah di... par mein Vishakha ko nahin bhool paaya... jab hamari shaadi huyi tabhi Vishakha ne mere bete ko janam diya tha... maana legally you are my wife par mein dil se sirf aur sirf Vishakha ka hoon..."

Vishakha came ahead shedding her fake tears, "mein kisi ka haq nahin lena chahti thi par bina baap ke bachche ko samaaj kabhi nahin apnaata... isiliye aaj mujhe Vivek ke saath yahaan aana pada... apne liye na sahi par apne bete ke liye mujhe Vivek ke saath rishtey mein bandhana hi hoga... please mujhe iss ghar se mat nikaliye varna mein kahaan jaaungi..." she bent to touch Nanu's feet, but he moved away glaring hers...

Sneha was remained quite unable to react at all with all this sudden happening which shattered her whole life... Vishakha smirked evilly seeing Sneha not able to fight for herself, losing all hopes... it seems like a easy win for her...

Never Let You GoWhere stories live. Discover now