CHAPTER 34

357 50 17
                                    

"Mata, mai Pitashree ki bhati lag raha hu na ?" Little Rajrajan asked sitting on the throne.

"Ha putra. Tum apne Pita ke bhaati hi pratapi lag rahe ho." Koperundevi smiled.

"Satya kaha Maharani ne ! Jab Rajrajan Pandalam Rajya ke Maharaj banenge toh atyant parakrami honge." The sly Mahamantri said.

"Mahamantri, Yuvraj mere Jyesht putra Manikantha hai. Wahi Raja banenge." Koperundevi said clearly.

"Kintu Maharani, Rajkumar Manikantha ko kaha ruchi rahi hai Raj-path mei ? Woh sadev Pooja aur Bhakti mei hi rahe hai. Aur waise bhi, woh kaha iss vansh ke hai ?" The Mahamantri said.

"Mahamantri ! Manikantha mere putra hai !" Koperundevi exclaimed.

"Kyuki aapne unhe putra mana hai Maharani ! Woh aapke apne rakt nahi. Kintu Rajrajan, aapke janne huye putra hai aur inhe Rajpath mei ruchi bhi hai. Pandalam vanshaj hone ke naate, singhasan pe inka adhikaar hai." Mahamantri said.

"Seema na bhuliye Mahamantri ! Mujhe mere putro mei bhed pasand nahi !" Koperundevi said.

She held the hands of her younger son and stomped away from there. The Mahamantri smirked watching her leave.

'Dekhte hai kitne dino tak yeh putra prem bana rehta hai Manikantha ke prati.' The Mahamantri thought.

On the other side in the Gurukul of Rishi Gurunathan, the students were preparing the Gurudakshina. It wasn't anything extravagant because Gurunathan clearly told them he wasn't interested in Gurudakshina.

Thus they gathered and collected fruits, herbs and honey for him, keeping it in his feet. But the saddened Rishi Gurunathan was immersed in the worry that his son Sarvottam would again become miserable after the departure of Manikantha.

"Hey Gurudev, kis baat se chintit hai aap ?" Manikantha asked.

"Mujhe toh sadev mere putra sarvottam ki chinta rehti hai, Manikantha.... Man mei ek iccha hai ki kaash woh bhi anya balako ke bhaati khel pata, siksha le pata kintu niyati ke aage sab vivash hai. Tum mere karan chintit na ho Manikantha." Gurunathan said.

"Parantu Sarvottam hai kaha ? Jabse humari pariksha purn huyi hai, woh kahi dikha nahi." Manikantha said.

"Jabse use gyaat huya ki tumhari siksha purn hogayi hai aur ab tumhe jana hoga, tabse kutiya ke andar murjhaya baitha hai. Bahar ana hi nahi chahta." Gurunathan said.

"Yadi aagya ho toh mai usse milna chahunga." Manikantha requested.

Rishi Gurunathan nodded as the Hariharputra went inside the kutiya and saw Sarvottam curled up in a ball, with tears streaming down his face. Manikantha's heart ached seeing him so miserable.

"Sarvottam ? Sarvottam ?" Manikantha went towards him, sitting beside.

The little boy wiped his tears and turned his head to Manikantha's direction, his eyes becoming huge realising who was sitting beside him.

"Mai kitni der se tumhe bula raha hu aur tum bahar nahi aa rahe ? Bolo kya samasya hai ? Uttar do." Manikantha said.

Sarvottam touched his lips and then his eyes, and gestured that he cannot speak or see.

"Arrey bahut bol sakte ho tum. Bas uchit prakar se prayas karo. Smaran hai Gurudev ne hume ekagrata ka paath padhaya tha ? Unhone kaha tha ki Mahadev hi ekagrata hai aur adi mantra Om ka swar waha bhi urja jaagrit kar sakta hai jaha kuch bhi na ho." Manikantha said.

Sarvottam looked at him with big eyes as Manikantha chanted 'Om' to show him.

"Prayas karo. Om ka jaap karo, isme apaar shakti hai." Manikantha said.

"O... O... Ma...." Sarvottam tried his best.

"Bahut acche, tum bolne hi wale ho. Prayas karo." Manikantha encouraged.

"O... Ma.... Om.... Om ! Om !" Sarvottam finally said.

"Ati uttam. Ab bolo Om Hari." Manikantha said.

"Om... Ha... Ri.... Om Hari... Om hari !" Sarvottam smiled saying it.

"Ab kaho, Om Hara." Manikantha said.

"Om Ha... Ra... Om Hara... Om Hara !" Sarvottam's smile widened.

"Ab bolo Om Harihara." Manikantha said.

"Om Hari.... Hara.... Om Harihara.... Om Harihara !" Sarvottam said and chuckled in happiness.

□□□□□□□□□□□□□□□□□□□□□
A/N

Well it is a proven fact that Sanskrit can cure many speech defects.... Because the language is so precise and clear to speak and scientific in the placement of alphabets.

HARIHARESHWARI 8 : MANAV-AVATARAMWhere stories live. Discover now