CHAPTER 26

428 50 34
                                    

The Kshatriyas looked up and joined their hands in front of the Arya-Bhaarti, the Akhand Maharani of Bharatvarsh sitting on the golden throne.

"Bahut pehle, Chakravarti Samrat Bharat ne sampurn Bharatvarsh mujhe samarpit kiya tha, Raja ho ya Maharaja ya swayam Samrat, sabhi apne Singhasan ke upar meri murti sthapit kar mere oor se Raaj karte hai. Maine iss Narsanghar mei hastakshep nahi kiya kyuki paapi Shaashako ka annt anivarya tha, jisse mere Bharatvarsh ki praja atyachar se mukt ho jaye. Kintu ab apna yeh Narsanghar rok de." Arya-Bhaarti said.

"Kshatriyo ka naash karne ka pran hai mera." Parshuram said.

"Parshuram, aapne adharmi Kshatriyo ka naash kiya aur prithvi ko 21 baar Kshatriya Mukt kiya ! Kintu ab aap unn Kshatriyo ka vadh kar rahe hai jo Dharmparaayan hai ! Jo Kshatriya Karuna se paripurn hai, unke man mei bhi aap bhaye aur atank utpan kar rahe hai. Samaj ke rath ko chalane hetu, Brahmin, Kshatriya, Vaishya aur Shudra, inn sabhi varno ki awashyakta hai. Kshatriyo ke bina yeh samaj asurakshit hai." Arya-Bhaarti said.

"Parantu kaise roku ? Krodh ki agni se mera deh jal raha hai." Parshuram said.

"Prayashchit kare Parshuram." Arya-Bhaarti said.

"Hey Akhand Maharani, prayashchit ka toh ek hi maarg hai mere paas. Mai apna shesh jeevan tyaag aur tapasya mei vyatit karu." Parshuram said.

"Satmaarg ka chayan kiya hai aapne. Kintu itna paryapt nahi. Kshatriyo ke man mei jo bhaye utpan kiya hai aapne, uske karan unhe raatri ko nidra bhi nahi aati. Kripiya suryast ke pashchat Mahendra parvat par nivas kare, jisse Kshatriya bhayemukt hoke so jaye. Aur sampurn prithvi jo aapne Kshatriyo se chhini hai, woh Rishi Kashyap ko saup de, jisse aane wale samaye ke Kshatriya punah apni bhoomi par raaj kar sake." Arya-Bhaarti said.

"Uchit hai." Parshuram agreed.

"Aur apne krodh ko anushasit karne hetu, Mahasati Anusuiya aur Rishi Atri ke putra, Tridev ke akhand swaroop, Bhagwaan Digambar Dattatreya ke charan sparsh kare. Woh apne apaar gyaan se aapke prayashchit ke maarg ko aur prajvalit karenge." Arya-Bhaarti said.

"Jaisa aap kahe. Kintu mujhe sandeya hai ki kya sabhi Kshatriya dharm ke maarg par chalenge ? Ya fir woh satta paake sabko punah prataarit karenge ?" Parshuram expressed his doubt.

"Yeh toh samaye hi batayega, Parshuram. Kintu ha, ek aisa adarsh Raja bhavishya mei awashya aayega jiski nyaye-priyata, tyaag, karm, sanskaar aur vachan aapko chintamukt kar degi." Arya-Bhaarti said.

"Toh uss Shashak ki mai pratiksha karunga." Parshuram said.

□□□□□□□□□□□□□□□□□□□□□
A/N

Did you come to know which ideal king Amarsri was talking about ?
🌝🌝🌝

Waise some people would be confused ki 21 times Kshatriyo ka naash kiya kaise ? Agar ek baar naash kar diya toh dusri baar Kshatriya aaye kaise ?

Several reasons -

1) Varna system was flexible. You gain the knowledge of weaponry and you're a Kshatriya.

2) Parshuram obviously didn't kill Kshatriya children and the Kshatriyas in the womb of their mothers.

3) If he was impressed by the righteousness of a Kshatriya then he wouldn't kill him. Like Maharaj Janak.

4) He would massacre Kshatriyas only if he was provoked or challenged by them. After he's angry, toh sampurn kutumb ka naash karde. Gusse mei yeh bhi na dekhe ki uss kutumb mei koi Dharmatma hai ki nahi. Iss karan se Parshuram Bhagwaan ko roka gaya tha.

5) Niyog is one way to continue the vansh.

HARIHARESHWARI 8 : MANAV-AVATARAMWhere stories live. Discover now