Kuch Rang Pyaar Ke Aise Bhi

546 101 111
                                    

Mohabbat-e-rang
jab laal kehlaya,
Mehandi ka rang
yuh khilkar aaya!

Haathon mein
Heena ki mehak,
Baaton mein
Kashish aur chehak!

Lagta hai
dher saara pyaar hai,
Kyuki mehandi ka rang beshumar hai!

Pyaar ka rang
kuch yuh chada do dilon par,
Chhute na umar bhar
Rab se ab yahi duaa hai!

Chahat ke afsane likhe, Pyaar ke nazrane likhe, Mohabbat ke fasane bhi likhe, Ab baari thi saajan ka naam likhne ki, woh naam jise saalon pehle sirf suna tha, aaj use jee bhar kar jeena hai.

At Naina's House
Preeti- Kise dhund rhi hai ab teri nighayein.

Naina- Main kahan kisi ko dekh rhi hoon. Main toh chupchap apni Mehandi lagwa rhi hoon.

Preeti- Jhooth mat bol.

Naina- Sameer ko..aur kise.

Preeti- Woh yahan kahan aayega Naina, ab aaj Mere Jijaji ki bhi toh Mehandi hai. Aur abhi thodi der pehle meri Pandit se baat hui thi, Sameer toh Mehandi lagwa rha hai apne ghar par.

Naina- Tu nhi janti, woh aayega. Usne subah Haldi par kaha tha mujhe.

Preeti- Woh toh tujhe yuh chidane ke liye keh diya hoga. Sameer kaise aa sakte hai sabke beech mein.

Naina- Aayega toh shi woh, bas mujhe yeh darr hai ki kahin phas na jaye.

Preeti- Main keh rhi hoon na nhi aayega.

Naina- Main bhi keh rhi hoon na woh aayega.

Then a server came to them to serve some snacks.

Naina- Nhi chahiye.

Preeti- Kha le na, Chaat toh tujhe pasand hai.

Naina- Ab itni chinta mein kahan chaat khayu.

Preeti- Tujhe chinta karne ki kya jarurat hai, Mehandi toh teri bahut gehri hone hi wali hai. Ab mere Jijaji pyaar jo karte hai tujhse itna.

Both were engaged with their argument. However, Naina's attention gets distracted by the song playing in the background.

Mehndi hai rachnewaali,
Haathon mein gehri laali.
Kahe sakhiyaan Ab kaliyaan,
Haathon mein
khilnewaali hain,
Tere mann ko jeevan ko,
Nayi khushiyaan
milnewaali hai.

Mehandi Artist- Kya naam likhna hai Mehandi mein.

Naina- Sameer..likh dijiye.

Preeti- Ohh hoo.. Sameer ko hona chahiye tha yahan tujhe aise dekhne ke liye.

Naina- Mujhe chidana bandh kar tu.

The Mehandi Artist is writing Sameer's name on Naina's hands, while she is admiring that name with her crimson red face.
Looking her daughter and her smile, both Bela and Anand feels contented.

Anand- Kitni khush lag rhi hai na humari beti.

Bela- Bhagwan uska poora jeevan aise hi khushiyon se bhara rakhe.

𝐓𝐄𝐑𝐄 𝐋𝐈𝐘𝐄Where stories live. Discover now