Dil Ka Rishta

361 77 58
                                    

Aankhein padha karta tha shaam-o-subah jiski main,
Aaj is paar khadi hai woh, aur us paar khada hoon main.

Dil ke bikhre har ke tukde mein tu hi hai..maanta hoon main,
Chah kar bhi tujhse durr nhi ho payuga..janta hoon main.

Kabhi kabhi puchta hoon khud se mar jayuga kya main,
Agar tum na mili toh aakhir kab tak jee payuga main.

Durri wala saath yuh hi raha toh kya nibha payuga main,
Lekin phir bhi tujhe hi har duaa mein maanguga main.

Jab do log ek dusre ke liye tadapte hai, toh ek prem kahani banti hai. Jab koi ek kisi dusre ke liye tadapta hai, toh ek adhuri kavita. Aur jab vhi kavita shabdo ke liye tadapti hai, tab ek gehri khamoshi banti hai. Aur khamoshi kisi ke liye nhi tadapti..sirf intezaar karti hai, waqt ke pahiye ke ghoomne ka. Lekin kya har jakhm waqt ke saath bhar jaya karte hai?
Sameer aur Naina ki kabhi jo hua karti thi ek prem kahani, aaj banke reh gayi sirf ek kavita unsuni. Khamoshi se bhari hui, kuch jakhmo se sani hui, bachi hai jahan sirf do dilo ki na dikhayi dene wali durri, aaj hona chahti hai phir se adhuri se poori.

At House
Sameer- Mr. Khanna aap..

Mr. Khanna- Haan main..toh yeh hai tumhara kaam karne ka tarika Sameer. Ek hafta se wait kar rha hoon tumhara..par tum toh pata nhi apni kosni duniyaa mein busy ho. Aur kal raat ko kya mail kiya tha tumne, ki tum yeh Business ko wind up karna chahte ho, humari Partnership ko todna chahte ho.
You know what I can sue you for this.

Sameer- Haan tod rha hoon yeh Partnership, bandh kar rha hoon yeh Business. Kyuki main yeh galat, aur jhooth wala kaam aapke saath aur nhi kar payuga.
Aur Mr. Khanna aapne jitna paisa is business mein lagaya hai, aapko saara share lauta rha hoon, woh bhi byaaz ke saath. Aaj tak ka saara kamaya hua profit ka hisab bhi kar rha hoon. Aur rhi baat Loan ki toh woh mere naam se hai toh use main hi chukayuga. You need not to worry about that. Aapka koi nuksaan nhi hone dunga. Aur rhi baat sue karne ki, woh toh aap chahkar bhi nhi kar payege. Kyuki legally saara business mere naam se tha. Haan Partnership jarur thi humare beech par uski koi deed aapne sign nhi ki thi..apne swarth ke liye hi. Toh kisi basis pe mujhe sue karege.

Mr. Khanna- Tum samajhte kya ho apne aap ko, tumhe toh main dekh lunga. Barbaad kar dunga.

Sameer- Go Ahead..aur Darwaja aapke peeche hai.

As he left, Sameer turns and saw a worried Naina standing there.
He comes to her and keeps his both palms while cupping her face.

Sameer- Kuch nhi kar sakta woh siway khokhki dhamki dene ke siway. Aur mere pass ab kuch aisa hai hi nhi..jise woh barbaad karega. Aur jo maine barbaad kiya tha, use main phir se banayuga. Jo jo aaj tak galat kiya hai, galat kamaya hai, galat kharch kiya hai..un sabko sahi karunga. Is ghar mein, humari zindagi mein ab kuch bhi us jhooth se kamaya nhi hoga Naina.
Acha..khana khaya tumne.

She shakes her head in denial.

Sameer- Chalo khate hai.

Sameer's VO
Mumbai..Mayanagri..yeh shehar jitna deta hai, usse kahin zyada cheen bhi leta hai. Par sabak humesha saath mein deke jata hai. Is shehar ne mujhe itne kum waqt mein bahut aish-o-aaram diye the, par usse hi kum waqt mein mera baccha aur Naina ki khushi mujhse cheen li thi. Aur shayad usse bhi kum waqt mein jo jo banaya tha, unhe bikwa bhi diya tha..woh gaadi, woh samaan, woh cheezein. Par afsoos nhi tha kyuki sabak jo seekha tha ki Shortcut.. short jarur hote hai, par successful nhi. Aur har shortcut ki apni ek keemat hoti hai..jaise maine chukayi thi, ek choti si zindagi ko khokar. Saath mein seekha tha ki imandaari aur sacchai ke paise beshak kum kyu na ho par vakai un mein bahut sukoon hota hai. Lekin mera ek sukoon abhi bhi lapata tha. Woh jo un dino sirf thoda sa hasa karti thi, thoda sa roya karti thi, thoda sa bolti bhi thi, aur apni zindagi ko bhi bas thoda sa jeeya karti thi. Par maine bhi socha tha haar nhi manuga..apna sukoon jo uski khushi mein maujud tha..haasil karke rahuga. Isiliye use jeene diye uske thode ke saath hi. Aur us waqt humare Prem ke rishte ka toh pata nhi. Lekin mera sachai ke saath, aur Naina ka tanhai ke saath rishta jarur jud gaya tha.
Kyuki ek sabak aur jo seekh liya tha..Pyaar ka sabak. Ki pyaar hume insaan nhi banata, ek behtar insaan banata hai. Mujhe banaya tha, tabhi toh pehle gusaa choda, phir zidd, aur phir galat aur jhooth ka saath bhi chod paya tha. Sabar karna seekha gaya tha..tabhi toh Naina ko 6 mahine de paya tha. Par kya 6 mahine kaafi the..ek Maa ko apne bacche ko bhulane ke liye.

𝐓𝐄𝐑𝐄 𝐋𝐈𝐘𝐄Where stories live. Discover now