Mohabbat

625 98 44
                                    

Mohabbat ke lamho ki baat hi kuch aur hai, lamha toh beet jaata hai, labo ko khamosh bhi kar jaata hai. Lekin hothon par muskaan chod jaata hai, aakhir bin puche yaado ka safar jo ban jaata hai. Aise hi mohabbat se bhare palo ko jeeya tha Sameer Naina ne jinhe jeete waqt ehsaas toh meetha hua tha lekin inhe yaad karte waqt aankhon se aansu namkeen gire the.

In Morning at Naina's House
Naina sees her mehandi hands and kissed at a place (i.e. on Sameer name) where Sameer had kissed  secretly on the previous night.

Naina(to herself)- Aisa kyu laga jaise woh yahin tha. Vhi khushboo, vhi khushi, vhi ehsaas jo humesha uske kareeb hone par hota hai mujhe. Yeh tumhara aur tumhari mohabbat ka jadoo hi hai Sameer; tabhi toh soye hue mere khwaabo mein aate ho aur jagte hue mere khayaalo mein. Kaash tum mera sirf khayaal nhi balki sach banke yahan aa pate, apna yeh naam mere haath par aise saja hua dekh pate, dekh pate ki is mehandi ke rang ki tarah humara pyaar bhi utna hi gehra hai. Beshak is mehandi ka rang kuch dino mein dhal jayega, tumhari tarah Tatto jo banwa nhi payi, lekin humara pyaar kabhi nhi dhalega. Tumhara naam humesha mere dil par rahega Sameer, jaise mera tumhare dil par likha hua hai.

In Night at Banquet Hall
(Pandit-Preeti Sangeet and Tilak)
Munna- Bhai aa jayegi Bhabhi.

Sameer- Haan toh main kahan Naina ka intezaar kar rha hoon.

Munna(teasingly)- Naina?
Main toh is Ponga ko keh rha tha ki Preeti Bhabhi aa jayegi. Woh bhi toh Bahbhi hai na.

Pandit- Haan Sameer aa jayegi Bhabhi.

Sameer glares to Pandit.

Pandit- Bhabhi mane Meri aur Iski Bhabhi..teri nhi. Teri toh biwi lagegi na. Waise tujhe dekhkar na mujhe kisi ki yaad aati hai.

Sameer- Kiski.

Pandit- Majnu ki.

Munna- Aur mujhe Ranjhe ki.

Pandit- Ranjha nhi yaar Romeo hai apna bhai toh.

Sameer- Waise mujhe bhi tum dono ko dekhke kisi ki yaad aati hai.

Mundit- Kiski bhai.

Sameer- Do langooro ki. Jisme se ek hi toh shaadi hone wali hai.

Munna- Kya Sameer..humne tujhe kitne ache naam diye aur tu hume langoor bula rha hai. Tujhe...

Sameer- Ab kya ho gaya tum dono ko. Aur pehle apne yeh mooh bandh karo, nhi toh makkhi ghus jayegi.

Pandit- Bhai agar tu bhi piche mudega toh tera mooh bhi aise hi khula ka khula reh jayega.

Munna- Aur makkhi tere mooh mein bhi andar jaane ka raasta dhund legi.

Sameer- Kyua aisa kya hai piche...

Sameer turns and...

Sameer turns and

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.
𝐓𝐄𝐑𝐄 𝐋𝐈𝐘𝐄Where stories live. Discover now