Pyaar Toh Hona Hi Tha

485 80 96
                                    

Maloom na tha..
Dil pe kuch aisi dastak de gaye,
Anjaan se Khaas ban gaye,
Khayaal se Jazbaat ban gaye,
Khwaab se Haqeeqat ban gaye,
Raaste se Manzil ban gaye,
Lafz se Zubaan ban gaye,
Shab se Sehar ban gaye,
Maloom na tha..
Is qadar tum Pyaar ban gaye.

Sameer- Naina..utho.. Chai thandi ho..

He stops in middle as got busy in cherishing and caressing her. She was the kind of dream that made him wake up with a smile, every morning. As she wakes up, he sat beside her and looked into her beautiful morning eyes that was calling out to him as if they had a magical pull.

Naina- Tum sacchi mein Chai bana laye.

He just sets her messy hair and said nothing.

Naina- Bolo na Sameer..

Sameer- Ab tumhe hi toh mere haath ki chai pasand hai.

Naina- Ek minute..do cup kyu laye ho, tum bhi Chai peeyoge, lekin tum toh subah Coffee peete ho na.

Sameer- Ab tum mere haath ki Chai peene ke liye apna BournVita peena chod sakti ho toh main tumhe company dene ke liye Coffee ki jagah Chai toh pi hi sakta hoon. Aur waise bhi subah subah ishq farmane ke liye Chai ki chuskiyon se acha kya ho sakta hai.

Naina- Huh?

He exchanges his cup with hers.

Sameer- Jhoothe se pyaar badhta hai Madam. Aur kabhi kabhi Kiss ke alawa kuch aur bhi soch liya karo.

Naina- Main aisa kuch nhi soch rhi thi.

Sameer- Toh phir subaha subah tumhara favourite colour tum par kyu chad rha tha.

Naina- Chai peeyo chupchap.

Sameer- Pilayo..

Naina- Main?

Sameer- Lagta hai aise nhi pilayogi.

Mohabbat apni bani rahe,
Main tera aur tu meri rahe,
Chai bas main banayuga,
Bas itni si shart hai.

Hothon pe mithaas teri rahe,
Ishq ki pyaas meri rahe,
Chai bas tum pilayogi,
Bas itni si shart hai.

Naina's VO
Meri aur Sameer ki har subah kuch naya, kuch alag lati thi humare liye. Par kuch cheezein ek si hi rhi humesha, jaise subah uthte hi uska meri aankhon mein kho jana, mera usse har subah nayi naveli dulhan jaisa sharma jana, uska mere liye khud se chai bnana, mera apni jhoothi pyaali se use vhi chai pilana, aur uska mere liye chai pe lafzo se ishq faramana. Yeh woh ehsaas the jinke baare mein kabhi socha nhi tha, par jab in ehsaaso ko sach mein jeene lagi toh mano kuch aur sochne ke kaabil hi nahi rhi thi.
Aaj bhi yaad hai mujhe jab apni Life mein pehli baar maine Chai pi thi, Mumbai ki baarish mein, sadak kinare ek tapri par, Sameer ke saath. Us waqt kahan pata tha ki meri aane wali zindagi ki har subah mein Sameer aur Chai dono is qadar shaamil ho jayege. Tabhi toh aaj bhi chai sirf mujhe Sameer ke haathon ki hi pasand aati hai, pata nhi yeh jaadu shakkar ki mitthas ka hota hai ya uske ishq ke ehsaas ka.

After a while, Sameer came and stands behind Naina who was busy in selecting his clothes.

Sameer- Kya baat hai aaj main nahakar bhi aa gaya aur ab tak meri biwi ne mere kapde bhi nhi nikale.

𝐓𝐄𝐑𝐄 𝐋𝐈𝐘𝐄Dove le storie prendono vita. Scoprilo ora