Pardesi

546 107 89
                                    

Na Durr rehne se
Rishtey toot jaate hai,
Na pass rehne se
Judd jaate hai,
Yeh toh ehsaas ke
pakke dhaage hai,
Jo yaad karne se
Aur majboot ho jaate hai.

Pyaar ki Parakh us waqt hoti hai jab hum apne yaar se koso durr hote hai. Pass rehkar toh koi bhi nibha leta hai, jo durr rehne ke baad bhi dil ko dil se jode rakhe, vhi toh saccha pyaar kehlata hai. Aur us daur mein kisi aur ka bankar jeene mein sukoon hi kuch alag hai, us lamhe mein rooh se rishta bnane ka ehsaas hi kuch alag hai, us waqt kisi aur ke dil mein ghar bna lena ka itminaan hi kuch alag hai.


Everything was going well. Even the time had become good now just like their relationships.
This is why few weeks passed with the blink of an eye.
Waqt beshak guzar rha tha lekin lamhe thehar rhe the, woh lamhe jisme pyaar bhi tha aur parivaar bhi, dosti bhi thi aur masti bhi, Work Period bhi tha aur Romance Period bhi, Khwaabon ki yaadein bhi thi aur Haqeeqat ki duniyaa bhi, Teekha-Meetha ka swaad bhi tha, apno ka laad bhi tha, Phone ki baatein bhi thi aur Ganga Ghat ki mulaqaatein bhi, Ladna, jhagadna Roothna, Manana, Pyaar nibhana sab tha; shayad tabhi waqt toh udd gaya tha lekin kuch lamho ki chaap chod gaya tha.

In Naina's House at Late Night
Sameer comes there from the Balcony to meet her but she is sleeping comfortably with a serene smile on her face.

Sameer(to himself)- Yeh toh so rhi hai. Woh bhi itni pyaari muskuruhat ke saath, jagaane ka bhi mann nhi kar rha. Pakka neend mein bhi mere baare mein hi soch rhi hogi. Ab kya karu.

He takes a paper from there, writes something on it and keeps it near Naina. He kisses her forehead and starts going from there but stops again to take the picture of her in his phone and maybe in his heart too.
The next morning when Naina wakes up, she is surprised by having a letter and some chocolates lying near her.

Naina(to herself)- Yeh Letter, yeh Chocolates..Sameer. Woh raat ko aaya tha kya. Aaya tha toh uthaya kyu nhi. Aur yeh Love Letter jaisa kya chod ke gaya hai mere liye. Aaj kuch special hai kya..

She opens his letter and starts reading with great excitement.

Naina, woh ek kaam ke silsile mein mujhe 8 din ke liye London jaana pad rha hai.
Kal raat ko hi sab finalize hua, socha tumhe aakar khud btayu. Par tum so rhi thi aur sote hue itni pyaari lag rhi thi ki mera tumhe uthane ka dil hi nhi kiya. Aur shayad itni himmat bhi nhi ho rhi thi ki jaate waqt tumhara mayoos chehra dekhu. Isliye yeh letter likh ke bta rha hoon. Subah ki flight hai, raat tak wahan pahunch jayuga, pahunchte hi call kar dunga. Tum bas apna khyaal rakhna, mujhe thoda kum yaad karna aur Please rona toh bikul mat. Dekhna yuh kut jayege yeh 8 din bhi. I Love You and I am gonna miss you so much!!

Reading his letter about the eight days of their separation, she broke down and her eyes brimmed with tears. She turns the next page of the letter.

Please mat rona Naina..jaanta hoon meri koi baat nhi manti ho tum. Aur ab bhi ro hi rhi hogi, par yeh wali maan lena Please. Aur aane ke baad in 8 dino ka poora hisaab barabar kar dunga main. Bas tab tak sambhal lena khud ko. Aur ab apne yeh aansoo poncho aur yeh Chocolate khao. 8 din ke 8 Chocolates, jab yaad aaye toh kha lena. Phir aakar main apna mooh tumse khud meetha karwa lunga. Love you so much..And Keep Smiling..

She wipes her tears and eats a liitle bit chocolate.

Naina(to herself)- Hasti rehna kehke chala gaya..par mujhe hasane wale toh tum hi the na, Jab yaad aaye toh Chocolate kha lena..aise toh main saara time yehi khati rahugi. Aur tumhare bina toh kuch acha nhi lag rha Sameer. 8 ghante toh tumse durr reh nhi sakti toh 8 din kaise rahugi. Please jaldi aa jana vapis. I Love You Too Sameer.

𝐓𝐄𝐑𝐄 𝐋𝐈𝐘𝐄जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें