8 Saal..

655 91 19
                                    

Pyaar bina Dard adhura,
Dard bina Pyaar adhura,
Aur inn dono ke bina zindagi adhuri.

Waqt guzarte pata nhi chalta. Khaskar zindagi ke us padaav par jab aap pyaar mein ho. Par jab is pyaar ke sath dard bhi shamil ho toh yeh waqt bhi guzarne mein apna hi waqt leta hai.

Naina's VO
8 saal beet gaye the mujhe aur use alag hue, usse bichde hue. Humari adhuri kahani ko khatam hue.
Waise toh Kehte hai ki waqt se bada koi marham nhi hota, jakhm toh bhar jate hai badan par lage hue, par jo rooh ko cheer de, uska dard kabhi kum nhi hota.
Yeh waqt bhi kahan mere jakhm bhar paya, kahan yeh mere ghum mita paya, kahan yeh mere aansoo kum kara paya. Mere liye yeh waqt marham nhi balki dard banke aaya tha. Woh dard jo humesha meri zindagi mein maujud rehne wala hai, mujhe todne ke liye.
Par is waqt ki kahani bhi bahut alag thi hum dono ki zindagiyon mein. Tabhi toh is pyaar ne, nhi nhi is pyaar ke dard ne hum dono ko badal ke rakh diya tha. Naina Sameer ki zindagiyaan badal kar rakh di thi is 8 saal ke waqt ne.

In Naina's Room
Raat ke 12 baje ek ladki apne study desk par baithke ek diary mein kuch likh rhi hoti hai.

Naina- Happy Birthday!
Happy Birthday Sameer.. Hopefully har saal ki tarah is baar bhi sabse pehle maine hi tumhe wish kiya hoga. Janti hu samne se wish nhi kiya par humesha karti toh hu na. Gannu Ji Please Sameer ko apni life mein har khushi dena, mere hisse ke bhi de dena. Aur use har dukh se, har ghum se durr rakhna, chahe toh woh mujhe de dena. Use bahut achi life dena beshak woh mere bina hi kyu na ho.
Aaj meri colleague mujhe bol rhi thi ki sabki kismat mere jaisi honi chahiye, use lagta hai main bahut lucky hu. Aur maine bhi use jawab mein kaha ki meri jaisi kismat shayad hi kisi ko mile, itni lucky hoon main. Pata nhi use meri is adhuri se life mein kya acha laga. Shayd use mera akelepan acha lag gaya hoga, kyuki iske alava toh meri zindagi mein aur kuch nhi hai.
Waise woh shayad khud hi ajeeb hai tabhi toh ek din keh rhi thi ki meri hasi bahut achi hai aur main hamesha hasti rehti hu. Par yeh toh sirf mera aur tumhare(Diary) beecha ka secret hai ki is hasi ke peeche toh main apna dard chupati hoon. Har woh aansoo jiske nishaan aaj bhi is diary ke har panne par maujud hai. Ab yeh chupane ke liye haste hue chehre se acha aur ho bhi kya sakta hai. Ab aisa karna bhi padega taki kabhi koi bhool se bhi mere us dard ke baare mein jikar na kare. Kuch ghaav kabhi nhi bharte par unhe sabse chupana toh padta hai. Sach mein kitna badal gayi hoon mein in 8 saalon mein. Aur iski wajah sirf tum ho Sameer aur tumse kiya hua pyaar. Mujhe toh pyaar karna sikha gaye, bas khud ko mujhse pyaar karna nhi sikha paye. Par main janti hu ki tum apni life mein aage badh gaye ho aur khush bhi ho. Aur agar mere bina tum khush ho toh isme shikayat kaisi, ab main agar tumhe khush bhi na dekhu toh yeh meri mohabbat hi kaisi. Janti hoon ki Humare pyaar ko manzil nhi mil payi, humari kahani adhuri reh gayi. But I promise you ki beshak humari kahani nhi poori ho payi par humesha tum hi mere dil mein rhoge, roz main tumse milugi apne sapno mein, roz tumse baatein karugi is diary ke jariye, roz tumhari photo dekhugi, har duaa mein tum shamil hoge, har ibaadat mein tum honge. Asal zindagi mein na shi par meri is kahani mein tum hoge, main hoyungi aur humara pyaar bhi hoga.

Siyahe raatein,
Lapata neend,
Ek tumhare jaane ke baad.

Khayaalo ki aandhi,
Khamosh jazbaat,
Ek tumhare jaane ke baad.

Badalti karwatein,
Woh aadha chaand,
Ek tumhare jaane ke baad.

Tumhari khushboo,
Tumhari yaad,
Ek tumhare jaane ke baad.

Kitne khyaal ,
Machalne lage,
Ek tumhare jaane ke baad.

Kitne sawaal,
Ubharne lage,
Ek tumhare jaane ke baad.

Chalo ab aaj ke kiye bahut baatein ho gyi. Happy Birthday once again Sameer.

In his absence, she settled with his memories. The one most regretful mistake she had done was just settling with his memories than confesses herself to him.

Ek taraf Naina Sameer se bichadke bhi uske sath thi par dusri taraf Sameer ki zindagi aur woh khud bhaag rhe the. Shayad khudse tabhi toh Rishikesh se uske kadam kab Mumbai ki taraf badhe pata hi nhi chala. Vhi Naina aaj bhi Ganga Kinare Rishikesh mein thi, woh bhi pehle se zyada thehraav ke sath.
Dono shuru se hi bahut alag the. Par ab in 8 saalon mein toh yeh woh do kinare ho gaye jo shayd hi kabhi ek ho paye. Inki life ne 180 degree ke aise turn liye ki sab badal kar rakh doya. In 8 saalon mein in dono ke beech koi baat nhi hui, ek shabad nhi kaha kisi ne bhi, khamoshi ke alava kuch tha nhi is rishtey mein, aur ab toh waqt ke ghaav se woh umeed bhi dheere dheere apna dun tod rhi thi. Kitna ajeeb lagta hai na 7 saal ke school ka safar, 8 saal ki judaai par manzil phir bhi ek na ho payi.

Waqt ke tarazu par tol kar dekh lena kabhi,
Dil mera kabhi bhi khamosh nhi tha,
Bas hothon par lafz nhi the..

The worst kind of heartbreaks are when you knkw what's breaking your heart and you still stick to that. You know what's hurting you but you don't have the courage to pull yourself away. You know the solution too but you just avoid.
The worst heartbreaks are the ones where you know what's wrong and how to make it right but you just lack the courage.

।तेरे लिए।

𝐓𝐄𝐑𝐄 𝐋𝐈𝐘𝐄Where stories live. Discover now