Kaho Na Pyaar Hai

446 81 88
                                    

First of all, I apologize for the much delayed update but I was hospitalized from the last two weeks. So, couldn't make it up.
But for now..Happy Reading😊

Har subah-o-shaam mohabbat ke raasto se guzarana tha,
Aur har mod par bas tujhe hi chahte rehna tha hume.

Teri nazro mein utar kar jana tha dil talak,
Kisi bhi haal mein tay karna tha yeh safar hume.

Kitni hi akanshayein rhi par kayam raha zameer,
Tere zulfon mein aakar hi toh ulajhna tha hume.

Yuh toh chattan the kehne ko hum lekin,
Aa kar tere pehlu mein hi bikharna tha hume.

Hum the shama jo kayam rhe.. kuch na kar payi woh aag,
Tere hi aagosh mein jo aakar pighalna tha hume.

Hum kahan jism the jo tere roo-boo-roo hote,
Hum toh rooh the..tere jism mein dhalna tha hume.

Humko bhi dekhna tha us bekarari ka sabab,
Teri hi gali se ek baar nhi balki har daffa guzarna tha hume.

Zindagi ke safar mein, mohabbat ka bhi apna hi ek safar hota hai, kabhi humsafar ke bina toh kabhi humsafar ke sang hota hai. Sameer aur Naina ne apni zindagiyon mein bahut se safar tay kiye..raaston wale safar bhi, shehro wale safar bhi; Mussorie ka woh School Trip wala safar jahan mohabbat ka ehsaas tak nhi tha, Mumbai Seminar wala woh safar bhi jahan judaai ke baad milne ka aas tak nhi tha, Mount Abu ke College Tour wala woh safar bhi jahan ijhaar ka intezaar bhi tha, Ooty Honeymoom wala woh safar bhi jahan milan ko dil bekarar bhi tha. Ab baari thi ek aur naye safar ki, jahan raaste bhi purane honge aur manzil bhi, musafir bhi jaane pehchane honge aur unke jazbaat bhi. Par..naya hoga toh woh waqt, woh daur, woh rishta, aur shayad do purane mehboobo ka ek naya ishq.

In Bus
Bela- Shaadi ke liye Mussorie Bus se ek saath jane ka khayal sach mein acha tha.

Vishakha- Ji behanji, Naina ne hi sujhaya tha ki hum sabko aise ek saath jana chahiye aur dekhiye na isse safar ka mazaa bhi doguna ho gaya hai.

Sameer- Par Maa idea toh mera tha. Chaho toh aap Naina se puch lo.

Vishakha- Rehne de tu, sab pata hai mujhe din raat se lagi hui hai meri bahu in shaadi ke kaamo mein.

Naina(to Sameer)- Dekha..jo baat bolta hai credit bhi usko milta hai. Phir Idea chahe kisi ka bhi ho..matter nhi karta.

Sameer- Tum ho na mujhe credit dene ke liye. Kaafi hai.

Before Sameer could sit on Naina's adjoining seat, Swati stops him.

Swati- Arey Bhai aap peeche Munna ke saath jakar baith jayo na, mujhe Bhabhi ko Mehandi ke designs dikhane hai.

Sameer- Haan toh Mussorie pahunch kar dikha diyo.

Swati- Kya Bhai..aap peeche baith jayo na..aapka kya jata hai.

Munna- Aaja yaar..hum dono aaj saath baithte hai.

Sameer hopefully looks at Naina but she shrugged her shoulders. And with no other option left, he settle down with Munna.

Sameer- Oe Munna..mujhe toh na abhi se shak ho rha hai ki tu meri behan se sach mein pyaar karta bhi hai ya nhi.

Munna- Aisa kyu keh rha hai yaar..main Swati se saccha pyaar karta hoon.

𝐓𝐄𝐑𝐄 𝐋𝐈𝐘𝐄Where stories live. Discover now