Pyaar Kiya Toh Darna Kya

548 107 82
                                    

Kho chuka tha jo khudko,
Duniyaa ke in
Berang hisso mein,
Ishq ka rang
Kuch yuh chada kisipe,
Pa liya khudko
Ishq ke har ek kisso mein.

Ek bandhan bandhne hi wala tha, ek rishta judne hi wala tha, pehla kadam uthne hi wala tha, ishq ka rang bas chadne hi wala tha, pyaar ki manzil ka pata bas milne hi wala tha.

In Naina's House
Bela- Ji aap abhi tak in mitthai ke dabbo ke saath lage hue hai. Bahar woh phoolon wala aaya hua hai usko jakar dekhiye na.

Anand- Tum use chodo, dekho Naina taiyar hui ya nhi, Ganpati Pooja bas shuru hone hi wali hai.
Pandit Ji bhi aate honge.

Pandit- Uncle ji aapne mujhe yaad kiya aur dekhiye main aa gaya.

Anand- Arey beta acha hua tum aur Preeti bhi aa gaye, par main Pujari ji wale Pandit ki baat kar rha tha.

Pandit- Ohh..waise aap kahe tih main woh bhi ban sakta hoon.

Preeti- Tum phir shuru ho gaye.

Bela- Preeti jakar dekh na Naina taiyar hui ya nhi.

Preeti- Aap mere hote hue kyu chinta kar rhi hai. Main dekhti hoon Naina ko.

Naina- Rehne de tu, ab aa rhi hai. Shaadi wale din hi aa jati.

Preeti- Apne is devar se puch, jo bas mujhse lade hi ja rha hai.

Naina- Hua kya?

Preeti- Hona kya hai, dekh main Sameer ko Jijaji bulati hoon, iska matlab main Ladki wali hui aur yeh tujhe Bhabhi bulata hai toh yeh Ladke wala hua. Bas isi baat par jung chidi hui thi ki hum dono kiski taraf se shaadi mein shamil honge.

Naina- Haan toh isme kya hai, tum dono taraf se shamil ho jana. Pehle ladke walo ki taraf se baraat mein naach lena, phir ladki walo ki taraf se joote chura lena. Kabhi tu Sameer ki Saali toh kabhi Bhabhi ban jaiyo, waise hi kabhi Pandit mera Jiju toh kabhi mera Devar ban jayega.

Pandit- Chalo phir main toh chala apne bhai ke ghar, tu Bhabhi ke saath reh.
Aur phir baad mein aata hoon Ladki wala banne ke liye.

Naina- Papa aap bahar woh phoolon aur shamiyane ka dekh lijiye, main yeh mitthai ka dekh leti hoon.

Anand- Teri shaadi ho rhi hai, ja jakar mazze kar. Yeh sab main kar lunga.

Naina- Karne dijiye na Papa, isi mein mujhe mazaa aata hai.

Anand- Kar le, par sirf mitthai sambhalni hai, use chakhna nhi hai.

Naina- Aap sab log chida lo mujhe.

Naina's VO
Shaadi wala ghar, kisi jung je maidaan se kum nhi lag rha tha. Kisi ki Demands, toh kisi ki Complaints, kisi ka nachna gaana, toh kisi ka taane marna. Ek shaadi wale ghar mein sab hota hai. Aur jante hai sabse mushkil kaam kya hota hai, usi ghar mein ek Safety Pin ko dhundna. Ek taraf Dholak ki thaap baj rhi thi aur dusri taraf rishtedhor ki farmaishe.
Aisa lag rha tha koi hafte bhar ka tyohar chal rha hai. Itni raunak, itna shor, maine apni zindagi mein pehle kabhi dekha hi nhi tha. Har ladki ka kahin na kahin kabhi na kabhi ek khwaab jarur rha hota hai shaadi ko lekar, par maine woh dekhna chod diya tha kyuki us khwaab mein Sameer shamil nhi ho pa rha tha. Lekin us din woh haqeeqat ban gaya tha meri. Aur shayad main uski.

All gathers for 'Ganesh Puja' and Pandit ji starts performing some rituals with Naina by chanting the mantras.

वक्रतुण्ड महाकाय सूर्यकोटि समप्रभा।
निर्विघ्नं कुरु मे देव सर्वकार्येषु सर्वदा॥

𝐓𝐄𝐑𝐄 𝐋𝐈𝐘𝐄Where stories live. Discover now