Izhaar ya Inkaar

484 79 18
                                    

लो जीत गये तुम हमसे,
हम हार गए इस दिल से।

Ek haan ne Sameer Naina ke raastein ek kar diye the. Ek haan ne inke beech ki dooriyoon ko kum kiya tha. Ek haan ne inhe Pyaar nibhana sikha diya tha. Aur isi ek haan ne Pyaar ke Ehsaas ko Izhaar mein badlne ki koshish ki thi.
Sameer ke liye uski nani ki haan aur Naina ke liye us Kundli ki haan inke rishte ki taraf badhaya gaya sirf ek kadam nhi tha balki yeh haan toh woh zariya bana jisne inke Pyaar ko ek nayi taqaat di thi.
Jis pyaar se ab tak Sameer bhag rha tha, use qubool karne ki himaat di thi is haan ne. Jis samaaj ki reetiyon se Naina ghabra rhi thi, vhi reet ko preet bnaya tha is haan ne.

15 saal ki Naina aur 16 saal ka Sameer, inme se kisne socha tha ki inhe apni life ka pehla pyaar bhi hoga, uska pehla ehsaas bhi hoga, us pyaar ka dard bhi hoga, us pyaar ki pehli dua bhi hogi, us pyaar ki pehli haan bhi hogi aur us pyaar ka pehla izhaar bhi hoga. Woh izhaar jo Confused Sameer karne wala tha, jis pyaar ki feeling se woh darr rha tha, aaj woh use apne alfazon mein badalne wala tha. Aur is baar yeh proposal Naina ke drama competition wale proposal jaisa nhi hoga, balki sachha hoga inke ishq ki tarah.

In Naina's House
Bela- Bhagwan jhuth na bulaye Naina itni hichkiyaan kyu aa rhi hai tujhe.

Naina- Muj..he kya pa..ta Mum..my.

Bela- Jis din teri school ki chutti hoti hai, us din teri yeh hichki chalu ho jati hai. Pata nhi kon tujhe itna yaad karta rehta hai.

Naina- Ais..a tho..di hota h..ai.
(to herself)- Waise mummy shi keh rhi thi ki har chutti par mujhe hichki shuru ho jati hai.
Kon itna yaad karta hoga mujhe. Kahin sameer..nhi nhi woh kyu yaad karega mujhe.
Use thodi na meri tarah pyaar hua hai jo aise paglo ki tarah dinbhar mujhe yaad karta phirega.

Otherside At Sameer's House
Sameer(to himself)- Ab toh Nani ko bhi pata chal gaya ki main Naina ke liye kuch feel karta hoon.
Ab toh mujhe kuch karna hi padega, aise hath par hath rakhke toh nhi baith sakta. Aur na hi yeh baat main aur chupa sakta hoon. Par mujhe yeh bhi toh nhi pata ki woh mere baare mein kya sochti hai.
Yeh pata karne ke liye mujhe apni feelings usse confess toh karni hi padegi.

In his Daydream
Sameer- Main tum se kuch kehna chahta hu Naina.
I..I..

Naina- Bolo Sameer.

Sameer- I Love You Naina. I Love You.

Naina- How dare You? Tumne aisa socha bhi kaise.

Aur tabhi naina use thapapd marti hai.

Daydream ends.

Sameer(to himself)- Nahi..naina aisa nhi karegi mere sath.
Sameer beta himmat toh tujhe karni hi padegi. Kab tak aise chup rhega, woh bhi ek thappad ke darr se. Kabhi na kabhi toh tujhe kehni hi hogi apne dil ki baat
Han..kal yeh baat main Naina ko bol kar hi rahuga.

After Sometime
Sameer- Yaar Munna Pandit woh mujhe tumhari madad chahiye thi.

Mundit- Han bol na bhai.

Sameer- Woh mu..muj..mujhe na..

Munna- Han..Han tujhe kya bhai.

𝐓𝐄𝐑𝐄 𝐋𝐈𝐘𝐄Where stories live. Discover now