Aashiyana

308 54 82
                                    

Woh meri soch mein bhi hai,
Aur meri baaton mein bhi.
Woh mere din mein bhi hai,
Aur meri raaton mein bhi.
Woh meri haqeeqat bhi hai,
Aur mere khwaab bhi.
Woh mere dil mein bhi hai,
Aur mere jazbaaton mein bhi.
Woh mere sang bhi hai,
Aur mere halaaton mein bhi.
Woh meri jeevan ki dor bhi hai,
Aur dono siro ka choor bhi.

Hum zindagiyaan guzaar dete hai, ta-umar laga dete hai, waqt ke panne palat dete hai sirf ek aashiyane ko banane mein, use sajane mein, use barkarar rakhne mein. Lekin aashiyana toh usse hai jo khayal mein bhi aata hai, aur khwaab mein bhi, jo mann mein bhi rehta hai aur dhadkan mein bhi, jo ruhaniyat ka bhi hissa hai aur ibadaat ka bhi. Woh ek shaks hi toh hota hai humara aashiyana. Sameer Naina ka bhi tha ek  aashiyana..duniyaa samet lene ki tamanna nhi thi, do baahon mein simat ke reh jaye bas itna sa hi tha inka aashiyana.

Everyone was sitting in the hall for the Naamkaran ceremony. Sameer looks at the angry Naina, sitting next to him trying to divert herself by playing and rocking her daughter in her arms.

Sameer- Princess aapko pata hai kya ki aapki Mumma ko kya hua.

The baby looked at his father. He brought his ear near to her.

Sameer- Ohh toh yeh baat hai..toh kya kare phir.

He again repeats his actions, listening to her unspoken words.

Sameer- Okay par help karni padegi aapko apne Papa ki manane mein.
And Princess..you know what aapki Mumma ko dekhkar na mujhe ek sher yaad aa rha hai. Sunayu..

Tum nazre toh uthayo
main palke jhuka dunga,
Tumhari khamoshi padhne mein saari umar laga dunga.

As Naina lifts her eyes and looks at him, Sameer pretends to play with his daughter.

Naina- Sher-o-shayri se behtar hai in Pooja ke mantro ko dohra lo..zyada acha hoga.
So, Mr. Maheshwari now let me focus on this pooja.

Sameer(slowly)- Bachke rehna Princess..sherni bani hui hai aapki Mumma abhi.

Naina- Saari faltu baatein karni hai tumhe, bas meri beti ka kya naam rakhne wale ho yehi nhi batana.
Ab yeh List pakdo..

She gave a piece of paper to him. He saw it with a puzzled face.

Sameer- Yeh kya hai ab.

Naina- Babies ke name ki list. Fatafat dekh lo aur isme se koi bhi ek acha sa naam select karlo humari beti ke liye.

Sameer- Jo naam mujhe pasand aaye woh nhi hai tumhari is list mein.

Naina- Jo hai yehi hai..isi mein se finalize karo.

Panditji- Ab aap Mata Pita dono apni beti ka naam is janam kundli mein likh dijiye.

Sameer- Ji Pandit ji.

Naina- Sameer..kar liya na select list mein se.

He blinks his eyes assuring her. She breathed in relief. But next minute as he writes the name of his daughter, her eyes widens upon reading it.

𝐓𝐄𝐑𝐄 𝐋𝐈𝐘𝐄जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें