Ae Dil Laya Hai Bahaar

257 37 39
                                    

Abhi na girao parda
is fasane par,
Din dhal gaya hai
par shaam baki hai,
Aa jao ek baar phir..is kahani ka anjaam abhi baki hai.

Bahot kuch tumne kaha,
Main bhi kuch zyada keh gayi,
Phir bhi kuch baatein hai
jo adhuri reh gayi,
Aao sun lo..humara ek aakhri paigaam baki hai,
Aa jao ek baar phir..is kahani ka anjaam abhi baki hai.

Zindagi ki shaam
hai dehleez par,
Khuda ne waqt likha
hai har cheez ka,
Kon jaane ki kab
raat ho naseeb par,
Kaise keh du ki
umar-e-tamam baki hai,
Aa jao ek baar phir..is kahani ka anjaam abhi baki hai.

Ek shaam dhalne wali thi, ek purani mohabbat ko manzil milne wali thi, shayad isiliye aakhri mulaqaat itna waqt laga rhi thi. Ek ek lafz jodkar Sameer aur Naina ki jo kahani buni thi..aaj uska aakhri  moti judne wala tha, apne pyaar ki mala ko poora karne wala tha. Hazaro rango ke beech pyaar ka ek aakhri rang ghulne wala tha, aur banane wali thi ek poori tasveer..un dono ki ek hui taqdeer.

3 years later.

Naina- Bas..yehi thi humari kahani..Naina aur Sameer ki kahani. Bahut simple si kahani.

Sameer- Par thodi si complicated.

Naina- Haan..ek choti si kahani.

Sameer- Par tamam zindagi jitni lambi.

Naina- Beshak is kahani ke bahut se pehlu humne apni pehli kitaab mein likh diye the, par aisi bahut si baatein thi jo unkahi thi, unsuni thi.

Sameer- Par aaj tum dono ke kehne par humne yeh kahi bhi, aur sunayi bhi.
Woh bhi detail mein jaisi tum dono ne chahi thi. Ab toh khush ho.

Ganga- Bahut aur iske liye Thank You Maa, Papa. Aap dono ki poori zindagi ko sunna, har kisse ke peeche chupe aapke ehsaaso ko jaan pana..shayad humari aane wali zindagi ke liye bahut jaruri tha.

Sagar- Aur sach kahe toh aaj ke din humare liye isse zyada khaas tohfa aur kuch nhi ho sakta tha.

Naina- Ab chale..nhi toh agli kahani kaise taiyar hogi..Ganga aur Sagar ki kahani.
Kahin aisa na ho tum dono yahan humari kahani sunte raho, aur wahan tum dono ke nikaah ka muhurat nikal jaye.

Then the ceremony of Ganga and Sagar nikaah begins with the mehar; a form of commitment made by groom to the bride's father, who in turn agrees to entrust his daughter for a lifetime.

Qazi- Ladki ke pita?

Sameer- Main hoon.

Both Ganga and Naina see him with gratification. One was smiling and the other was in tears. After mehar, the qazi reads quran before the couple and asks for their final affirmation.

Qazi- Nikaah karna kisi ibaadat se kum nhi hai, ise allah ka hukum mana jata hai. Toh bataiye aap dono ko kya yeh nikaah qubool hai.

In love, it's not necessary to speak always, because eyes speak in the most honest way. But this time,  they said it that unites them two as one.

𝐓𝐄𝐑𝐄 𝐋𝐈𝐘𝐄Where stories live. Discover now