Aakhri Baar (Judaai)

575 82 21
                                    

Aakhri baar tere pyaar ko sajdaa kar lu,
Laut ke phir teri mehfil mein nhi aayugi,
Apni barbaad mohabbat ka janazaa lekar,
Teri duniya se bahut durr chali jayugi.

Hum Sab ki zindagiyon mein do pal behadh hi khaas hote hai. Ek woh pal jo hum pehli baar jeete hai aur dusre woh jinhe aakhri baar. Woh chahe school ka pehla din ho, pehla dost bnana ho, pehli baar pyaar hona ho, pehli nazar ka takrana ho, pehli baar hath pakadna ho ya phir pehli baar ka ikraar karna ho. In sab pehli baar ke palo ko hum zindagi bhar nhi bhula sakte, yeh lamhe humesha humari yaadon mein taaza rehte hai. Isi tarah aakhri baar ke pal; chahe School ka aakhri din ho, dosto se aakhri baar milna ho, ya phir apne pyaar ko aakhri baar dekhna ho. Yeh lamhe bhi hum chahkar nhi bhula sakte.
Sameer Naina ki kahani ke pehli baar ke panne toh mohabbat se rang chuke the, par ab waqt tha unke aakhri baar ke panno ko judaai se rangne ka; jisne unhe tanhai aur dard ke alava kuch na mila.
Dono ne ek duje ka sath manga tha, par mili sirf judaai.
Dono ne ek duje ki khushi mangi thi, par mila sirf dard.
Dono ne ek duje ki hasi mangi thi, par mile sirf aansu.
Dono ne ek duje ka vishwaas manga tha, par mili sirf tanhai.
Dono ne ek rishte ka sapna manga tha, par mili toh alag duniyaa ki haqeqaat.
Dono ne ek duje ki mohabbat mangi thi, par mili sirf nafrat.

In Naina's House
Anand- Naina beta aaj tera aakhri din hai na School mein. Main lene aa jayuga tujhe. Thik hai. Aur iske baad toh meri bachhi naye school mein jayegi. Aur mehnat karke apni ek pehchaan bnayegi. Haina

Naina- Jee Papa.
(to herself)- Aakhri din!  Aaj sab khatam ho hayega. Sab kuch maine hi toh khatam kiya hai apne hathon se. Toh ab yeh sab kyu soch rhi hu main. Ab mujhe yeh sab kuch bhulna hoga; Sameer ko bhulna hoga. Jaise woh mujhe bhul jayega. Apne liye na shi Mummy Papa ke liye mujhe ab ek nayi Naina banna padega.

In School
Preeti- Chal Naina canteen chalte hai, phir pata nhi kitne din yahan aana nhi hoga.

Naina(to herself)- Main Preeti ko nhi bata payugi ki iske baad shayad hi hum kabhi mile.

Preeti- Chal rhi hai na tu Naina.

Naina- Han chal.

After Sometime in Classroom
Teacher padha rhi hoti hai. Ek taraf Sameer Naina ko hi dekh rha hota hai, vhi Naina apni naazrein jhukaye apne aansu roke baithi hoti hai. Yeh uske is School mein aakhri pal jo the jahan usne apni zindagi ke 7 saal bitaye the.
Tabhi ek Peon aata hai.

Peon- Madam niche Naina ko bulaya. Uske Papa aaye hai.

Mam- Naina idhar aao. Mujhe pata laga ki tum yeh school chodkar ja rhi ho. All the best for your future. And God bless you. Niche tumhare papa aaye hue hai.

Naina- Thank you mam.

Sameer(to himself)- Yeh Naina ko niche kyu bulaya hai. Aur yeh bag lekar kyu ja rhi hai.

Preeti- Naina?

Naina- Bye Preeti.
(to herself)- Main ja rhi hu Sameer tumse durr humesha ke liye. Humare pyaar ko manzil na mil payi par yeh safar mere liye sabse khas tha, tum khas the aakhir tum mere pehle pyaar the jis main muqamal nhi kar payi.
Apni aakhri saans tak, apne maut ke aakhri pal tak sirf tumse hi pyaar karugi. I Love You..

Naina apna bag lekar jati hai. Uski nigayhein sirf Sameer ki taraf thi jaise woh usse kuch kehna chahti ho. Class se nikalne ke baad bhi khidki se uski naazre uska sath nhi de rhi thi. Woh sirf Sameer par hi ruki thi.
Sameer bhi use khidki se dekhta hai.

Sameer(loudly)- Mam

Mam- Kya hua Sameer? Aise kyu chillaye.

Sameer- M..mam..wo..woh.. y..ye..yeh.. Naina ki notebook uske bench par hi reh gayi.

𝐓𝐄𝐑𝐄 𝐋𝐈𝐘𝐄Where stories live. Discover now