Pyaar wali Cheating

568 84 14
                                    

Dekhte dekhte hi us ek saal ka bhi aadha safar khatam hone ko tha jis ek saal ne sab badal ke rakh diya tha. Aur is padaav par Sameer Naina ki zindagi mein ek aur musibaat inka baahein failaye intezaar kar rhi thi aur woh the EXAMS.
Par yeh musibaat inse zyada toh Munna, Pandit aur Preeti ke liye bhayank thi.

In Sameer's House
Pandit- Ae chenu mera toh dimag hi ghoom gaya itna padh ke.

Munna- Itna?

Pandit- Han bhait poore dedh page padhe hai maine.

Munna- Wah bhai dedh page kya baat hai.

Sameer(laughingly)- Bas bhi karo ab tum dono. Agar aise page hi ginte rhe phir toh ho gyi padhai.
Aur waise bhi abki baar toh mujhe bhi darr lag rha hai is paper se.

Mundit- Kyu bhai tu humse toh hoshiyaar hi hai.
Aur agar tu hi darega toh humara soch kya hoga.

Sameer- Yaaro is baar sach mein kuch nhi aata mujhe.
Aur yeh ratta toh mujhse kabhi lagta hi nhi.

Mundit- Shi keh rha hai tu.
6 mahine se rat-ratke sirf Subject ka naam hi yaad hua aur kuch nhi.

Sameer- Yeh sab chodo aur yeh socho ki kal ke paper mein pass kaise honge hum.

Tabhi Vivek kamre mein aata hai.

Vivek- Wah beta wah. Aur tumse umeed bhi kya kar sakte hai.
Aaj tak waise bhi tumne koi acha kaam toh kiya nhi bas Fail hone ki hi kami reh gayi thi.

Sameer- Ek minute maine kaha ki mujhe sirf darr lag rha hai abhi tak main fail hua nhi hu.

Vivek- Han toh jab fail hoke ghar aayoge tab tumse baat karuga main.
Mujhe toh kahin baar sharam aati hai tumhe apna beta kehne mein.

Vishakha- Vivek yeh aap kya keh rhe hai.
Kyu baat ka batangaad bna rhe hai.

Vivek- Main baat ka batangaad bna rha hu Vishakha.
Sirf tumhari wajah se Sameer aaj aisa ban gaya hai.

Vishakha- Sirf meri wajah se?
Aapko apni galti nhi dikhti ki jab hume aapki sabse zyada jarurat thi aap yahan the hi nhi.

Vivek- Han toh kaam se hi gaya tha koi aish karne nhi gaya tha.

Vishakha- Kya pata kya kaam tha.

Vivek(angrily)- Vishakha...

Sameer- Bas kijiye aap log.
Meri wajah se lad rhe hai na toh main hi yahan se chala jata hu.

Mundit- Sameer ruk toh shi.

Sameer- Munna Pandit tum apne ghar jayo. Aur meri tension mat lo main thodi der baad vapis aa jayunga.

At Ganga Ghat
Sameer apne ghar se nikal ke Ganga Ghat par jata hai.
Naina bhi wahan hoti hai roz ki tarah.
Dono opposite sides baithe hote hai. Aur is baar in dono ke beech hoti hai Ganga Maiyaa aur yeh toh vhi jane ki inke faasle kam hoge ya badhege.

Sameer(to himself)- Aaj ghar par jo kuch bhi hua Maa Papa ke beech usne mujhe phir se dorahe par khada kar diya hai.
Pehle woh Romeo Juliet wali kahani, aur roz roz ghar par Maa Papa ke beech ki yeh ladaiyaan, aisa lag rha hai sab mujhe ek hi baat keh rhe ho ki main aur Naina ek dusre ke liye nahi bane ho. Jab usse pyaar hua tha toh itni himmat thi par ab jab usi pyaar ko nibhane ki baari hai toh main peeche hat rha hu.
Kabhi kabhi toh aisa lagta hai jaise hum dono is nadi ke do kinare jaise ho gaye hai jo ek dusre ko dekh toh sakte hai, mehsoos toh kar sakte hai par kabhi ek sath mil nhi sakte.
Ab toh is pyaar se darr lagne laga hai ki kahin main aisa kuch na kar du jisse kal ko Naina ko usse takleef ho.
Jitna usse dur jata hu utna apne aap ko uske kareeb pata hu aur jitna uske kareeb rehta hu utna usse dooriyaan bnane lagta hu.

𝐓𝐄𝐑𝐄 𝐋𝐈𝐘𝐄Where stories live. Discover now