Aaya Mausam Dosti Ka

507 82 16
                                    

Kuch rishte toot toh jaate hai par khatam kabhi nhi hote. Balki unke jeene ki adaa badal jati hai. Dost badle, dosti badli, dosti karne ka tarika bhi badla. Sab badla, kyuki waqt badla. Aur waqt badla, isliye hum badle. Sirf ghadi ki suiyaan nhi badli, sirf calendar ke panne nhi palte balki bahut kuch badal gaya tha. Inki jagah le li technology ne. Kise pata tha ki ek time ke change hone se technology itni change ho jayegi. Aur is technology ke aane se sirf in cheezon ka asteetatva hi nhi badla balki isne pyaar aur dosti ke maayne bhi badal diye.
Do zindagiyaan badli is waqt ke badalne se. Sameer Naina dono ek dusre se durr the, sirf sheharo ki duri hi nhi thi balki ab toh dil ki bhi duri aane lagi thi inke beech. Par phir aayi ek dor jisne inke tootte hue rishte ko ek baar phir se tham liya, jisne inhe phir se ek duje ke sang bandh diya chahe woh dosti ka rishta se hi kyu na ho.
Friends toh yeh school mein hi ban gaye the, ab baari thi inke Virtual Friends banne ki. 90s mein pyaar karne walo ne kahan socha tha ki pyaar aise bhi ho sakta hai. And Thanks to Mark Zuckerbeg who discovered Facebook. Jo inhe durr hote hue bhi ek baar phir ek dusre ke kareeb le aaya.

Naina's VO
Han yeh sach hai ki jaise jaise daur badal rha tha hum sab badal rhe the, hum sabki life change ho rhi thi, humari lifestyle change ho rhi thi. Tabhi toh Landline ki jagah ab Smartphone ne le li thi, Library ki jagah Google ne, Whatsapp ke aane se Postcard ko ab koi puchta tak nhi tha, Radio ke gaano ki jagah ab humari Playlist ke gaane bajne lage the, TV ko replace kar diya ab Downloaded videos aur series ne, apni Feelings ko dikhane ke liye ab Emojis ka sahara liya jata tha, Photo ki jagah Selfie ne le li, aur inhe sundar dikhane ke liye ab Makeup se zyada Filters use hone lage. Raat raat bhar humari ungliyaan chalne lagi koi silayi bunayi mein nhi balki chatting mein. Hindi English ki jagah ab Hinglish ne li. OMG, LOL, WTF, FYI, TTYL, XOXO yeh sab words ab humari dictionary mein add ho gaye the. Kitna kuch badal diya tha is ek technology ne. Un dino se hum in dinon tak aa pahunche the. Lekin humara kya, humare pyaar ka kya. Woh toh ab bhi un dinon wala hi tha. Koshish kar rha tha in dinon jaisa banne ki par phir bhi rahega toh un dinon jaisa sachha, masoom aur nirdosh hi.
Aur humare pyaar ko un dinon se in dinon tak transfer karne ka credit jata hai mujhe. Jisne shuruat ki thi Sameer ko online stalk karne ki, use phir se apna dost banane ki aur apna dil ek baar phir se tudwane ki.
Jab se maine Sameer ko apni gaali mein do pal le liye dekha tha uske baad se hi mujhe sukoon nhi mila tha. Bhul toh main use kabhi payi hi nhi thi par us din ke baad se mere andar ek toofan mach gaya tha aur us bemausam toofan ko shaant karne ke liye aaya tha Dosti ka mausam jiske liye maine sahara liya tha Facebook ka.  Aajkal ke baccho ki toh paide hote hi ID ban jati hai, par humari gaadi thodi late start hui thi, par khushkismati se ho hi gayi thi.
Jee haan mujh jaisi ladki jise actually mein ek Social Awkward Person ka title milna chahiye, woh Social media par aayi, usne ek ladke ko roz follow kiya aur itna stalk kiya jitna CBI walo ne kisi mujrim ko nhi kiya hoga. Mujhe toh pata hi nhi chala ki kab Sameer ki photo ko School Magazine mein dekhne ki bajaye main use uske Facebook ke posts mein dhundne lagi. Mujhe pata hi nhi chala ki mere din ki shuruat aur meri raat ka anth uske naam aur uski tasveer se hone laga.
Aisa karte karte maine 3 saal guzaar diya the. Mujhe toh kahin baar shak hota hai ki agar yeh Facebook na hoti toh kaise main itna waqt uske bina kaat paati. Par phir achanak kuch toh hua jisne meri is masoom se love story ko ek Virtual love story bana diya.

In Naina's House
Bela- Naina kya beta jab dekho tu is phone mein hi ghusi rehti hai. Pehle teri kitaabein aur ab yeh naye zamane ki bala.
Dikha zara main bhi toh dekhu kya dekh rhi hai.

Naina- Nhi..ku..kuch..kuch bhi toh nhi hai Mummy.

Bela- Accha thik hai yeh sab chod aur so ja ab.

Naina(to herself)- Haash bach gayi aaj nhi toh Mummy aaj Sameer ki photo dekh hi leti.
Par kab tak main bas use aise hi dekhti rahugi. Kya Gannu ji kaisi kahani hai humari. Na usse kuch kehne ki himmat hai aur na usse chupane ki. Mann toh karta hai use Friend Request bhej hi du. Par kya sochega woh mere baare mein; sochega toh tab agar main use yaad bhi hoyungi. 5 saal ho gaye ab toh School chode hue bhi. Ab kahan yaad hoyugi main use. Kya karu?

𝐓𝐄𝐑𝐄 𝐋𝐈𝐘𝐄Donde viven las historias. Descúbrelo ahora