Raabta

197 38 54
                                    

Kuch aisa teri rooh ka
meri rooh se naata hai.
Tujhe sochta hoon jab jab
tabhi sukoon mujhe aata hai.
Jab bhi tu hoti hai sang
dil tab hi dhadak pata hai.
Yuhi samajh mein nhi aaya karte labo ki khamoshiyaan
Kuch toh aakhir humara tujhse raabta hai.

Kehte hai raabta ho jisse, phir saara usi ka kissa hai. Jo dhadakta hai seene mein, woh bhi phir usi ka hissa hai. Sameer Naina ke darmiyaan bhi toh tha bilkul ek aisa hi raabta; ek aisa hi rishta jahan unke the behisaab kisse, par nhi the agar toh dil ke koi hisse.

Sameer- Aaya nhi tumhara beta ab tak. Mujhe toh lagta hai Na keh diya hoga Suman ne.

Naina- Khabardaar..aisa waisa kuch socha bhi toh. Itna acha hai mera Prem, use koi Na keh hi nhi sakta.

That's when Prem comes, holding Suman hand in his. Though seeing his parents in front of him, he leaves her hand.

Naina- Suman, pasand aaya mera beta.

Smilingly, she noded.

Naina- Tu khada khad kya muskura rha hai. Chal haath aage kar. Aur is haath ko kaske pakad.
Aaj ke baad kabhi bhi yeh haath mat chodna, humesha yuhi kaske thame rakhna.

Samar- Bilkul aise Saale sahib.

Holding Maina's hand, Samar place their joined hand over his heart.
Sameer deliberately coughs, warns him to leave his daughter's hand.

Samar- Paani lakar du kya Papa. Agar zyada khansi aa rhi hai toh..

Ignoring their teasings, Naina tooks Suman's hand and places on Prem's palm.

Naina- Lekin Suman bhale hi mera beta kitna bhi acha kyu na ho, par kabhi bhi tumhe tang kare ya tumhari koi baat na maane toh seedha mere pass aa jana.

Maina- #Kyuki_Saas_Bhi_Kabhi_
Bahu_Thi_Part_2.

Naina- Chup kar tu.

Maina- Waise bhabhi mujhe na yeh scene dekhke Hindi film ka ek dialogue yaad aa rhi hai, "Hum Bahu nhi Beti lekar ja rhe hai."

Prem- Mumma main toh kehta hoon aap na iski bhi shaadi kar hi do.

Maina- Bhi matlab..aap Bhabhi ko apne dil ki baat btane gaye the ya shaadi ke liye propose karne.

Prem- Dono..

Naina- Sach..

Excitedly, Naina hugs both of them.

Sameer- Welcome to the Family, Suman.

Suman- Thank you sir.

Sameer- Sir sirf Office mein. Ghar par nahi.

Suman- Sorry Uncle.

Sameer- Abhi abhi tumhe Family mein welcome kiya hai, ab bhi Uncle bulayogi.

Suman- Papa..yeh chalega.

Sameer- Daudega.
Naina..dekho meri ab do do betiyaan ho gayi.

Maina- Dekha dekha..mera dialogue Papa ne bhi bol hi diya.

Naina's VO
Promotion ho rha tha mera..Maa se Saas banne tak ka. Maina ki bhasha mein kahu toh #omg aisi feeling aa rhi thi mujhe toh. Us din pehli baar pata chala ki jitna ek ladki ke liye mushkil hota hai kisi ek naye parivaar ko apnana, utna hi shayad dusri aurat ke liye bhi mushkil hota hai apna barso se basaya gaya parivaar, apna khud ka beta kisi ko saunp dena. Par aasan hota hai agar kuch..toh woh hai pyaar ko accept kar lena, apne baccho ki kahani ko ek acha mod de dena.
Shayad Maa Baap ka farz bhi yehi hota hai..kyuki baccho ki mohabbat bilkul phoolon jaisi hoti hai..komal, khushboodaar, khoobsurat rango se bhari hui. Jaise dhoop khilne se yeh phool khilte hai, waise hi tujurbe ka saath milne se yeh mohabbat khil uthti hai. Haan..par inhe seechna padta hai, ek maali ki tarah inka khayaal rakhna padta hai. Kyuki zara si ek chuk se jaise murjha jaate hai yeh paudhe, waise hi bina Maa-Baap ke sahare ke sookh jaya karti hai yeh mohabbat bhi.
Par maine aur Sameer ne toh apne baccho ki mohabbat sookhne nhi di thi. Par humari mohabbat ka kya. OMG khatre mein phas gayi thi un dino humari mohabbat.

𝐓𝐄𝐑𝐄 𝐋𝐈𝐘𝐄जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें