Gali mein aaj Chand nikla

527 80 22
                                    

Hum bahut si kahaniya sunte hai, bahut si kahaniya dekhte hai. Kuch kahaniya waqt ke saath dhundli pad jati hai aur kuch waqt ke saath aur gehri ho jaati hai. Aisi hi kahani toh thi Sameer Naina ki.
Sameer bhi Yeh jawaani hai deewani ke Bunny jaisa ban chuka tha. Jo udna chahta hai, daudna chahta hai, girna bhi chahta hai, bas rukna nhi chahta tha. Jo sirf sapne dekhta hi nahi balki unhe jeeta bhi tha. Jo sirf khud se pyaar karta tha. Aur dusri taraf Naina jo bilkul aam si ladki thi. Jo rukna bhi janti thi, aur thehrna bhi. Jo zindagi se sirf ek cheez chahti thi...Sameer. Yeh dono hi alag the par galat nhi. Dono ek the par ek jaise nhi. Kitna pagal hai na yeh dil bhi pata nhi kaise ise pasand vhi aata hai jise pana mushkil hota hai. Na yeh caste dekhta hai, na yeh religion. Na yeh compatibility check karta hai na status. Na yeh chehra dekhta hai aur na hi adaa. Na yeh safar dekhta hai aur na hi uski manzil. Bas talaashta hai toh sukoon ko jo Sameer ko milta tha Naina ke sath aur Naina ko milta tha Sameer ke pass. Par phir ek din sab badla yeh dono alag ho gaye, ek dusre se durr ho gaye. Na Sameer ne kuch pucha, na Naina ne kuch kaha. Na Naina ne kuch socha, na Sameer ne kuch samjha. Bas...apni poori zindagi ek dusre ko de di, ek dusre ke naam kar di. Par itna aasani se kaise kar liya, dard nhi hua hoga. Hua hoga..beshak hua hoga; par yeh hi toh mohabbat hai. Koi tumhara tab hi ho sakta hai, jab woh khud ka ho jata hai. Hume har baar apni kahani nhi banani hoti, kabhi kabhi kisi aur ki kahani ka ahem hissa banna padta hai taaki uski kahaani muqamaal ho jaye. Use khud mein bandhana nhi hota, use aasmano mein udne dena hota hai. Usko jeena nhi hota, uske saath khud ko jeena hota hai.

In Naina's House
Bela- Naina kab tak aise hi baithi rahegi shaam ho gayi hai aur ab tak teri padhai poori nhi hui.
Ab toh college ka bhi ek saal kahatam ho gaya hai. Bhagwan jhooth na bulaye pta nhi ab bhi kitna padhti rehti hai.

Naina- Arey Mummy shant, main toh bas agle saal ka thoda sa padh rhi hu.
Acha aap ek kaam kro mere baalon mein tel laga do. Kitne din ho gye lagaya nhi aapne.

Bela- Chal aa lagati hu.

Naina- Mummy ache se bhar bhar ke lagao na.

Naina's VO
Aaj bhi woh din meri yaadon mein taaza hai. Shaam tak jhalli bani hui phir rhi thi. Upar se Mummy ki Tel maalish, aisa lag rha tha jaise tel mein nahayi hui hoon main. Agar us din koi mujhe us halaat mein dekh leta toh shayad darr ke hi bhaag jata. Par tab mujhe kahan pata tha ki tab koi khass mujhe dekhne wala hai, us haal mein.

Tabhi bahar se kisi ki aawaz aati hai.

Naina- Mummy..

Bela- Chilla kyu rhi hai Naina.

Naina- Candy floss.

Bela- Ab yeh konsi nayi bala hai  bazaar mein.

Naina- Nayi nhi purani hi hai Mummy. Buddhi ke baal. Main chali laane, bahar bechne aaya hai.

Naina wahan se bhaag ke chali jati hai.

Bela- Sun toh aisi halaat mein bahar jayegi kya.

Outside the House
Naina- Bhaiya ek acha sa bnana.

Seller- Yeh lo betiya.

Tabhi us gaali se ek bike aati hai aur Naina se takrate takrate bach jati hai.

Naina(shoutingly)- Dekh ke nhi chal sakte.

Bike par baitha teesra shaks peeche mudta hai aur Naina ko dkehta hai.

Naina(inaudibly)- Sameer...

Naina's VO
Aaj jitni hasi aati hai us lamhe ko yaad karke us din utna hi embarrass feel kar rhi thi main. Beech gali mein, hath mein buddhi ke baal liye hue, night suit pehne hue, baalon ko tel se nahlaye hue, shakal aisi jaise teen din se soyi na hui hoon, main buut banke wahan khadi thi. Sirf use dekh rhi thi pata nhi kab tak, shayad uske jaane ke baad bhi. Aisa lag rha tha jaise kisi ne mujhe statue bol diya ho aur over bolna hi bhool gaya ho. Jis pal maine use dekha maano mera waqt vhi ruk gaya ho. 1 saal pehle jarur use dekha tha Exam hall mein par tab nazre nhi takrayi thi par aaj 3 saal ho gaye the school chode aur humari nazre ko mile hue. Har pal chah rhi thi ki woh mujhe kabhi toh kahin toh dikhe. Par maine yeh kabhi nahi chah tha ki woh mujhe us haal mein dekhe. Agar mera bas chalta toh Sameer is duniyaa ka aakhri insaan hota jo mujhe us halaat mein dekhta. Par honi ko kon taal sakta hai. Us haal mein uska mujhe dekhne ke baad bhi mujhe khushi thi toh bas ek baat ki, woh yeh ki jis tarah meri nazre us par thehar gayi thi uska bhi yehi haal tha. Uska mujhe peeche mud ke dekhna aur bas dekhte hi rehna kahin na kahin mere liye jeene ki wajah ban gaya tha.

Otherside in Sameer's House
Munna- Sameer yhi bike par baithe rehne ka irada hai kya.

Pandit- Lagta hai apna yaar toh aa gya par uska mann abhi bhi Delhi mein hi hai. Oe Sameer uth bhai ghar aa gaya.

Mundit- Kahan kho gaya tha.

Sameer- Naina...

Mundit- Naina?

Sameer- Yaar maine use abhi dekha.

Pandit- Han toh dekha hoga. Tune yeh shehar choda hai usne nhi, woh toh yhi dikhegi na.

Munna- Sameer tu abhi bhi uske baare mein sochta hai.

Sameer- Har roz, har pal sochta hoon aaj bhi. Nhi bhool paya main use aaj tak. Janta hoon ki woh school chodke chali gayi thi, agar thoda sa bhi pyaar karti hoti toh kabhi nhi jaati aise. Par main...main toh karta tha usse pyaar. Aur aaj bhi karta hoon shayad pehle se bhi zyada. Woh school chodke gayi, main yeh shehar chodke gaya, hum dono ke beech judaai ne jagah le li lekin phir bhi is judaai mein bhi main usse kahan juda hua hoon, aaj tak main use apne dil mein lekar jee rha hoon. Main toh usse bahut durr chala gaya par use apne is dil se durr nhi kar pa rha hoon. Main chah kar bhi usse alag nhi ho pa rha hoon aur jitni koshish karta hu utna dard hota hai yaar is dil ko. Aur jis dard ko itne saalon se apne andar dabaya hua tha dekho aaj use dekhne ke baad yeh aansoo banke aankhon se phir se behne lage. Na is dil ne tab mujhse pucha tha usse pyaar karne se pehle aur na yeh aansoo aaj puch rhe hai behne se pehle. Jab se woh gayi hai saansein le rha hoon, dil bhi dhadak rha hai, chehre par ek jhuthi hasi bhi hai par main...main mar chuka hoon andar se Munna Pandit. Aur shayad usi din marr gaya tha jis din woh mujhse durr ho gayi thi.

Mundit- Sambhal apne aap ko Sameer. Hum tujhe is halaat mein nhi dekh sakte yaar.

Then they trio shared a group hug and console Sameer.

Sameer's VO
Us din sirf mere andar ke aansoo ya dard hi bahar nhi nikla tha balki Naina ko do pal ke liye dekhne ke baad uske liye saara gussa, sari nafrat bhi nikal gayi thi. Aakhirkar maine ek baar phir se yeh maan jo liya tha ki main usse aaj bhi pyaar karta hoon. Sirf I hate her bolne se mere andar ka pyaar khatam nhi ho jayega.
Par jo bhi kaho ishq mein toh apni mohabbat ki ek jhalak paana hi kaafi hota hai. Khwaaish nhi thi use ghanto dekhne ki, woh qareeb aaye yeh bhi kisi mulaqaat se kum nhi tha. Aur woh kuch seconds ki mulaqaat zindagi bhar ka sukoon de gayi thi mujhe. Aur sath hi sath uske ghar ka pata bhi. 7 saal se ek hi school mein the, ek hi class mein the par ghar ka pata tak nhi pata tha; lekin us din sirf Naina ko hi nhi dekh paya tha balki uska ghar ka pata bhi dekh paya tha.
Us din hostel se kitne mahino baad ghar laut rha tha, apne shehar Rishikesh vapis aa rha tha. Par kise pata tha ki aate hi mujhe meri zindagi ki sabse behatareen pal jeene ko mil jayege. Jis pal maine use dekha tha main uski aankhon mein kho gaya tha, itna kho gaya tha ki Munna Pandit ko bike rokne ke liye kehna bhi bhool gaya. Jahan meri naazrein aur dil usi par aake ruk gaye the wahan woh bechari yeh sochke pareshan thi ki maine use us haal mein dekh liya. Night suit mein, tel lagaye hue, buddhi ke baal khate hue jhalli jarur lag rhi thi Naina par phir bhi mere liye toh humseha se hi sabse khoobsurat aur sabse pyaari thi.
Sochiye agar us haal mein Naina ko dekhke mera yeh haal ho gaya tha, toh jab woh vakai saj dhaj ke mere samne aati toh meri toh jaan jaani tay hi thi.
Un dinon ko yaad karke aaj hum jitna marzi hass le par sach toh yeh hi hai ki us din sach mein Naina ke liye uski gaali mein chand nikal aaya tha, uska personal chand woh bhi kitne saalon baad. Aur mujhe mili thi meri chandni ki ek choti si jhalak.

Sameer Naina toh apni poori zindagi guzaar lete ek SHAYAD mein, jarurat thi toh bas ek KAASH ke sach hone ki. Chahtein bahut thi par behadh chahne se kya hota hai aakhir naseeb bhi hona chahiye kisi ka pyaar pane ke liye. Par qismat ek na ek din apna rang jarur dikhati hai, aur pyaar mein range do dilon ko toh jarur hi dikhati hai.

।तेरे लिए।

𝐓𝐄𝐑𝐄 𝐋𝐈𝐘𝐄Where stories live. Discover now