Koi Yaad Bahut Aaya

1.1K 137 10
                                    

Koi yaad bahut aaya,
Har shaam ke baad,
Kabhi aagaaz se pehle,
Kabhi anjaam ke baad,
Is dil pe koi naam nhi likha,
Tere naam se pehle,
Tere naam ke baad.

Sameer and Naina did not had said a word to each other throughout the period.
After school is over, both of them go to their respective homes.

In Sameer's House

Vishakha(Sameer's Mother)- Kaisa rha tera aaj ka din aur admission ki sari formalities poori ho gayi thi na

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Vishakha(Sameer's Mother)- Kaisa rha tera aaj ka din aur admission ki sari formalities poori ho gayi thi na.

Sameer- Han Maa sab ho gaya tha.

Vishakha- Aur bta kitne dost banaye tune aaj.

Sameer- Ek bhi nhi.

Vishakha- Kyu..iska matlab aaj akela baitha tha apni class mein.

Sameer- Nhi Maa woh Teacher ne ek ladki ke sath bithaya ha.

Vishakha- Matlab pehle din hi ladkiyon ko apna dost bna liya.
Acha naam kya tha us ladki ka.

Sameer- Naam..woh toh nhi pucha maine. Aur maa koi dost wost nhi hai woh meri. Aur maine uska naam jankar karna bhi kya hai.
(To himself)- Main bhi kitna bada pagal hoon poora period uske saath baitha par uska naam bhi nhi pucha. Buri toh nhi thi waise woh, uski aankhein bta rhi thi..kuch toh tga mano unmein, thodi khushi thodi mayoosi..pata nhi kya naam hoga uska.

Vishakha- Acha theek hai gussa kyu ho rha h.
Chal tu baith main khana lagati hoon

Sameer's VO
Us din Maa ko toh keh diya ki woh ladki meri koi dost nhi hai aur na hi main uska naam janna chahta hoon par yeh toh sirf main hi janta tha ki main kitna mara ja rha tha uska naam janne ke liye.
Tha toh main bhi 10 saal ka baccha hi jo is choti si mulaqaat ko samajh nhi pa rha tha. Haan par itna jarur samajh gaya tha ki us din sab kuch naya tha mere liye; naya shehar, naya school, naye log, par is nayepan mein sirf jo mujhe apna lag rha tha woh thi Naina jiska naam tak mujhe tab nhi pata tha. Haan..par apne naam ki hi tarah apni aankhon se mujhe apni taraf kheech jarue gayi thi.
Kitna bada gadha tha na main, poora time bas style jhaadne mein laga diya yeh nhi ki usse ek baar baat hi kar lu.
Par kehte hai na sabar ka phal meetha hota hai, toh us hisaab se meri aur Naina ki kahaani bhi dheere dheere aage badh rhi thi, aakhir bahut meethi jo hone wali thi.

Otherside In Naina's House

Bela(Naina's Mother)- Are Naina aa gayi tu school se

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Bela(Naina's Mother)- Are Naina aa gayi tu school se.
Kaisa rha tera pehla din.
Bhagwan jhooth na bulaye acha toh laga na tujhe tera naya school.

Naina- Arey Mummy Shant kitna bolti ho.
Yeh nhi ki bacchi thaki haari aayi hai use kuch khilao pilao.

Bela- Rehne de tu, pta hai mujhe wahan ki canteen ki ek chiz ni chodi hogi tune.

Naina- Arey use khaye hue toh poore do ghante ho gaye.

Bela- Chal aaja fatafat kha le tera manpasand khana bnaya hai.
Agar thanda ho gaya toh maharani ke nakhre shuru ho jayege.

Naina- Main kahan nakhre karti hoon Mummy, par aapko pta hai na mujhse thanda khaana nhi khaya jata.

In Night
Naina(to herself)- Kitna ajeeb tha aaj ka poora din mere liye.
Ek taraf woh Sunaina ki baat mere dimag se bahar nhi ja rhi aur dusri taraf woh Ladka...pata nhi kya ho gaya tha mujhe use dekhkar, apne aaspas ka kuch hosh hi nhi rha. Tha toh aakdu, par bura nhi tha. Hawaa ke jaise achanak se aaya aur phir chala gaua.
Waise naam kya hoga uska.. naam toh pucha hi ni maine uska aur na hi Mam ne uska introduction karwaya. Yeh mam bhi na jaruri kaam hi nhi karwati kabhi.

Anand(Naina's Father)- Bela, Naina kahan ho sab.

Bela- Ji aayi.

Anand- Arey aaj humari Naina ka pehla din tha school mein kaisa rha aur hai kahan woh.

Naina- Papa aa gaye aap aur aaj kya laye ho aap mere liye.

Anand- Toh mera nhi balki roz ki tarah apni cheezi ka wait ho rha tha.
Yeh le..

Naina- Wow IceCream woh bhi meri favourite Chocolate wali.

Anand- Acha ab bta school kaisa laga aur tera woh Swimming Pool jiski wajah se tune wahan admission liya.

Naina- Papa school toh bahut acha hai aur bada bhi par pata hai aapko Swimming Pool sirf week mein ek baar hi ja sakte hai aur aapko pata hai aaj kya hua tha school mein na ek ladka..

She is about to tell everyone about Sameer but stops in the middle.

Anand- Haan bol na kya keh rhi thi konsa ladka.

Naina- Wo..woh k..kuch nhi Abhi aap mujhe meri IceCream khane do tang mat karo.

Naina's VO
Pehli baar life mein aisa hua tha mere saath ki maine apne Mummy Papa se koi baat chupa rahi thi aur especially Papa se jo humesha se mere Papa kum aur Friend zyada rhe hai.
Woh bhi ek nhi balki do do baatein. Sunaina ki baat toh main unhe isliye nhi batana chahti thi taki unhe yeh na lage ki main akela mehsoos karti hu woh bhi unki itni koshisho ke bawjood par Sameer wali baat main unse kyu chupa rahi thi yeh main tab jaan hi nhi payi thi. Kyuki main khud hi nhi samajh pa rhi thi. Ghar Ghar ki Kahani dekhte hue badi hui thi, Ghar Ghar khelte hue badi hui thi, par us waqt mere saath ek alag hi kahani chal rhi thi, ek alag hi khel khela ja rha tha jisme meri jeet hogi ya meri haar yeh nhi pata tha.
Us waqt mujh topper Naina ko yeh samajh hi nhi aa rha tha ki kaise ek anjaane ke sath hui ek choti si mulaqaat mere liye zindagi bhar na bhulne wala lamha ban jayega. Aisa lamha jahan ek dusre ke baare mein kuch nhi pata tha..yeh tak nhi ki woh sirf us School ki building mein hi nhi balki meri Life mein bhi bilkul ek hawaa ke jhonke ki tarah aaya hai.

Dono ke dil dhadak rhe the ek duje ke liye. Dono tadap rhe the ek dusre ka naam jaane ke liye. Dono samajh hi nhi pa rhe the ki kyu us nayi jagah mein bhi unhe itna apnapan mehsoos ho rha tha.
Ab dekhna toh yeh hai ki kaisi hogi inki agli mulaqaat. Jab do alag duniya ek dusre se phir se takrayegi toh kya pyaar ke phool khilege ya ladaai ke kaante.

Mile the aaj do anjaan,
Waqt ne bna diya tha,
Jinhe ek Jaan!

।।तेरे लिए।।

𝐓𝐄𝐑𝐄 𝐋𝐈𝐘𝐄Where stories live. Discover now