Qismat

555 88 26
                                    

Tere naam se
mohabbat ki hai,
Tere ehsaas se
mohabbat ki hai.
Tum mere pass nhi phir bhi,
Tumhari yaad se
mohabbat ki hai.

Kabhi tumne bhi
mujhe yaad kiya hoga,
Maine un lamho se
mohabbat ki hai.
Tum se milna toh bas ek
khwaab sa lagta hai,
Maine tumhare intezaar se
mohabbat ki hai.

Qismat sach mein bahut badi cheez hai. Aakhir yeh hi toh hume humare pyaar se milwati hai. Hume kab, kahan aur kisse pyaar hoga yeh sab qismat hi toh tay karti hai. Usi tarah bichde hue pyaar ko bhi yeh qismat hi dobara milwati hai. Humare hath mein agar kuch hai toh sirf us pyaar ko shiddat se nibhana.
Sameer Naina ko bhi pehli baar qismat ne hi milwaya tha par woh bichde qismat ki wajah se nhi the. Woh bichde kyuki woh apna pyaar nhi nibha paye. Ab unke bichde hue pyaar ko yeh qismat dobara mauka degi ya inhe pyaar na nibhane ki sazaa degi, yeh toh qismat ka hi khel hai. Aur aisa khel jo inko zindagiyon mein do saalon tak chala tha.

In Delhi at Sameer's Hostel
Munna- Dekh le Ponga ki sab samaan pack ho gaya hai ya nhi.

Pandit- Han chenu kuch nhi rha.

Munna- Sameer ek baar phir se soch le yaar. Tu sach mein jaana chahta hai.

Sameer- Yaar tum log kitni baar ek hi baat baar baar dohrayoge.
Ab waise bhi padhai khatam ho chuki hai. Toh ab yahan Delhi mein rehke kya karuga.

Pandit- Toh isliye tu Mumbai chala jayega. Yaar tu vapis apne ghar apne shehar Rishikesh bhi toh aa sakta hai.

Munna- Wahan tera ghar hai, teri Mummy Papa, teri behan aur hum log bhi toh hai. Sab hai yaar wahan.

Sameer- Aur woh..woh bhi toh hai. Waise bhi agar job Mumbai mein hogi toh main wahan kya karuga.

Pandit- Par tujhe job karne ki jarurat hi kya hai. Acha khasa business hai tera wahan. Phir bhi tu...

Sameer- Mera nhi mere so called papa ka business hai woh. Aur main yeh job bhi isliye hi karna chahta hoon taki sath sath apna khud ka business setup kar saku.

Munna- Kise behka rha hai Sameer tu. Hum teri rag rag se vakif hai. Kab tak bhagega yaar aise tu. Pehle Rishikesh se Delhi padhai ke liye aaya. Ab Delhi se Mumbai job ke liye ja rha hai. Jabki sachai toh yeh hai ki tu sirf us Naina se durr rehna chahta hai. Aur uske chakkar mein hum sab se bhi durr hota ja rha hai.

Sameer- Munna Bas kar.

Munna- Kya Munna. Yaar kaisa pyaar hai yeh tera. Aakhir Kab tak chalega aise. 5 saal ho gaye hai use School chode hue. Par tu, tu aaj tak usse chod nhi paya.

Pandit- Han Sameer shi bol rha hai yeh. Kabhi kehta hai tu usse pyaar karta hai, kabhi kehta hai tujhe usse nafrat hai, kabhi gussa dikhata hai, kabhi apni naraazgi toh kabhi apna yeh dard.
Aakhir kab tak aise shehar badalta rahega jabki tera dil, tera dil toh aaj bhi vhi hai us Naina ke pass.

Sameer(shoutingly)- Bas..
Bahut ho gaya. Jab dekho Naina Naina Naina. Manta hu maine usse pyaar kiya tha, par usne nhi kiya tha. Chod kar main nhi woh mujhe gayi thi. Aaj bhi uski yaad mein main jee rha hu woh nhi. Arey jee bhi kahan rha hu roz til til mar rha hu. Itne saal ho gaye phir bhi use bhula nhi paya. Jab se use us din uski gaali mein dekha hai, uske baad se main Rishikesh nhi aaya. Aur tum chahte ho ki main vapis wahan chala jayu jahan woh hogi. Kabhi nhi. Aisa kabhi nhi hoga.
Pehle mujhe bhi lagta tha mera uske liye yeh pyaar shayad bachpan mein ki gayi sirf ek galti hogi jise main Pyaar maan baitha hoon. Socha baad mein akal aa jayegi. Par aisa nhi hua. Durr hone ke bawjud har pal, har din mera uske liye pyaar badhta chala gaya. Arey maine toh usse nafrat karne ki bhi koshish kar li par usme bhi nakamyab ho gaya. Usse gussa aur naraaz hoke bhi dekh liya aur uska anjaam hai mera yeh dard. Yaar main bhi insaan hu, aur nhi saha jata mujhse. Main toh bas sukoon ki talaash mein idhar se udhar ja  rha hu, shehar badal rh hu. Ghar hote hue bhi aise bhatak rha hoon. Par aisa kar rha hoon tabhi shayad aaj zinda hoon, warna wahan rehkar toh kab ka mar gaya hota tumhara yeh dost.

𝐓𝐄𝐑𝐄 𝐋𝐈𝐘𝐄जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें