Suhana Safar

937 118 12
                                    

Guzar jaate hai kuch lamhe
yuh hi musafiron ki tarah,
Yaadein vhi khadi reh jaati hai ruke raaston ki tarah,
Yehi toh hai safar..zindagi ka!

Waise toh zindagi khud hi ek suhana safar hai par agar usi zindagi mein ek aisa safar ho jaye woh bhi aapke humsafar ke sath toh woh safar hi sabse suhana lagne lag jata hai.
Aisa hi ek suhana safar jeene ka mauka mila tha Naina aur Sameer ko ek dusre ke sath apne ek din ke School Trip par.

In School
Mam- Students aap logo ke liye ek important announcement hai aur woh yeh ki aap logon ki class ka next Sunday one day Trip ja rha ha Mussoorie ke liye.
Aur is sab ke baare mein notice laga diya gaya hai. Toh jo bhi students interested ho woh jald se jald apni fees aur parents ki consent submit karwa de. Aur yaad rakhiyega ki Limited Seats hai.
Am I clear to you.

All- Yes Mam.

Munna- Kitna mazaa aayega na Sameer Mussoorie ki vaadiyaan, aur hum teen dost.

Pandit- Kya Munna kar di na tune bhi vhi wli baat.
Tujhe sirf vaadiyaan dikhai de rhi hai par mujhe toh dher sara khana-peena dikh rha hai.

Sameer- Tum dono bhi shi mein pagal ho. Is trip mein hume sirf vaadiyan ya khana nhi milne wala balki poore ek din ki azaadi bhi milne wali hai, jisme hum jo chahe woh kar sakte hai.
Yeh nhi socha tum logon ne.

Mundit- Han bhai keh toh shi rha hai tu.

At Naina's House
Phone was ringing and Naina picked up the phone.

Naina- Hello.

Preeti- Hello haan Naina tune apne Mummy Papa se pucha
na Trip ke baare mein. Maan gaye na woh.
Aur hum na Trip pe bahut kuch karne wale hai. Tu kuch bol kyu nhi rahi.

Naina- Shaant Preeti Shaant, tu mujhe kuch bolne degi tab main kuch bolugi na.
Abhi tak maine pucha nhi hai Ghar par..

Preeti- Kya Tune ab tak nhi pucha.
Yaar tu kab puchegi, kab hum is baare mein baat karege, phir kab hum taiyariyan karege, aur kab hum jayege.
Waise Uncle Aunty toh maan hi jayege. Haina?

Naina- Shayad.

Preeti- Shayad matlab kya hota hai.
Mujhe kuch nhi pata tu Trip par aa rhi hai bas.

She disconnects the call without any further conversation.

Naina( to herself)- Ab Preeti ko kaise samjhau ki itna aasan nhi h mera unse puchna aur unka manna.

At Sameer's House
Sameer- Maa humare School ki taraf se Trip ja rha hai Mussoorie, toh main chala jayu.

Someone- Haan haan kyu nhi aur koi kaam toh hai nhi tumhe mauj masti ke alava. Kabhi yeh excitement apni padhai ke liye bhi dikha diya karo.

Sameer- Papa woh..

Vishakha- Jaane dijiye na bacha hai aur phir iske sab dost bhi ja rhe hai.

Vivek- Aur bigado ise.
Aisi hi agar tum ise itni azaadi deti rhi na toh dekh lena ek din tumhare hi sir par baith kar nachega.

Sameer- Papa Please aap Maa ko kuch mat kahiye.

Vivek- Ab tu Mujhse jubaan ladayega.

He slaps Sameer.

Maa- Yeh aap kya kar rhe hai
Aisa bhi kya maang liya usne. Ek trip par hi toh jana chahta hai bas.

𝐓𝐄𝐑𝐄 𝐋𝐈𝐘𝐄Where stories live. Discover now