Purana Ishq

228 43 26
                                    

Behte dariya ko
kinara mil jayega,
Hume bhi umar bhar ka
humara mil jayega.

Ek chhat hai, ek aasman aur
us mein bhi ek tum,
Umeed hai ki ek din sabko apna
taara mil jayega.

Behtar hai chup hokar
bas yuhi likhte jaye,
Is tarah khamoshi ko bhi
ek nazara mil jayega.

Chahaton ka bhi bas
yehi tarana rahega,
Saccha Ishq toh vhi kehlayega
jo purana rahega.

Umar guzaar deta har koi ek umeed ko dabaye rakhe ki khoya ishq dobara mil jayega. Sameer Naina ko bhi mila tha ek ishq..khoya hua nhi, paya hua ishq,
jo bilkul unke ishq jaisa tha, naya nhi behadd purana tha.

The sun was making its way to the top, shining brightly, and the birds were chirping merrily. As Naina saw the time on the wall clock, she finishes her writing. Hurriedly tries to gets up, but gets stopped as someone again comes from behind and kept a palm over her eyes. She just smiled softly.

Naina- Maina..

Maina- Offo Mumma..kaise pata chal jata hai humesha.

Naina- Mumma hoon tumhari..shayad isiliye. Waise tumhari yeh payal ki chan chan bhi tumhare aane ki khabar de jati hai.

Maina- Acha yeh sab chodo..pehle mujhe sabse important task karne do.
Happy 25th Wedding Anniversary Mumma. Maine sabse pehle wish kiya na..Papa se bhi pehle.

Naina- Hmm..Thank You.
Lekin abhi toh 3 din pade hai Anniversary ko.

Maina- But Anniversary week toh start ho gaya na.
And you know what Mumma  #silver_jubilee hai aap dono ki. Staying with each other for 25 long years in today's time is like #couple_goals.

Naina- Acha meri maa..ab tera Hashtag khelna bandh ho gaya ho toh chal tere baalon mein tel laga deti hoon. Dekh kitne rukhe ho gaye hai. Kitne dino se humari is #Anniversary ke liye bhaag daud jo kar rhi hai.

Maina- Champi means another Hashtag, #maa_ka_pyaar

Maina crossed her legs and sat down on the floor before Naina to get her #champi done.
Just like the fingers of a mother slides through her beloved daughter's hairs gently, watching them, fills up another heart with warmth and affection.

Sameer- Ohh toh mujhe nahane bhejke yahan tum Maa-Beti ka akele akele Champi ka program chal rha hai.

Maina- Oops Papa..you're late.

Sameer- Yeh toh sarasar nainsafi hai.

Maina- Waise main compensate kar sakti hoon aapki is nainsafi ka, Papa.

Maina goes to him and brings two bowls in front of Sameer. A smile breaks on his face as he inhaled them deeply.

Sameer- Jalebi-Rabri..isse acha compensation toh kuch ho hi nhi sakta.

Naina- Bilkul nhi. Lao idhar do. Meetha toh bilkul nhi khayoge tum. Aur Maina..Diabets hai na Papa ko, phir bhi.

Maina- Mumma..Sugar Free mein bani hai yeh. Ab itna meetha toh banta hi hai Anniversary par.
Right Papa.

Sameer- Absolutely Right Princess.

Maina- Phir se Princess. Papa ab main badi ho gayi hoon..poore 21 years. Princess kehkar mat bulaya karo na.

𝐓𝐄𝐑𝐄 𝐋𝐈𝐘𝐄Opowieści tętniące życiem. Odkryj je teraz