Aa Ab Laut Chale

197 42 36
                                    

Dekh kar aasmaa ko
zameen ka muskana,
Lehro ka shor karna..
kinaro ka chupchap ho jana.

Pahado ki musafiro se
behisaab baatein,
Hawaayon ka darkhato ke kaano mein gungunana.

Kuch baatein zamano ki..
kuch baaton ka zamana,
Kuch kisse bahut purane..
kuch naya sa fasana.

Ek uljhe hue se mann ka khoobsurat taana baana,
Khwaabo ki ik kashti mein umeedon ka nazrana.

Uski har ik adaa ka meri in aankhon mein bas jaana,
Mera likhna ishq uske liye..
uska ishq padh kar sunana.

Har chiz ka apni tarah se ehsaaso ko bayaa kar pana,
Kitna haseen hota hai apne aap mein ek kavita ho jana.

Sahi aur Galat ki kitni alag alag paribhashaye hoti hai. Kisi ek ka sahi, kisi dusre ke liye galat bhi ho sakta hai. Is pal jo sahi lag rha hai, ho sakta hai kuch waqt baad vhi galat saabit ho jaye. Hume jo sahi lag rha hai woh kare ya zindagi ko kisi aur ke nazariye se jeeye. Har roz, har ghadi, har pal, har din..isi jung mein ladte rehte hai. Sameer aur Naina ne bhi aisi hi jung ke baad apne liye kuch sahi kiya tha, par woh vakai sahi tha ya galat..tab bas yeh nhi jante the.

Woh ek kaali raat thi, aur aaj ek ujla savera. Us raat maine aur Sameer ne apna sab gawaa diya tha..yahan tak ki apne dil ke woh tukde bhi jinhe kabhi apne dil mein hifazat se rakha karte the. Shayad bacche ab sach mein bade ho gaye the..bahut bade, itne bade ki ab unhe bada karne walo ki jarurat tak nhi thi. Father's Day tha us din..lekin aisa tohfa milega apne hi baccho se yeh nhi socha tha. Par humne bhi badle mein unhe unka mann chaha tohfa de diya tha..batwara, hisse kar diye the. Aur unke un hisso mein sab aaya tha jo jo woh chahte the siway unke Maa-Baap ke. Aur isi tarah ek baar phir se hum musafir ban gaye the, aur raasta humsafar.

Naina stops writing and dugs the pen tip on her diary as reminsces that time.

Flashback starts.
After breaking all the ties with own blood, with parts of own heart, with own children, Sameer was staring the path ahead standing outside the house at the midnight amidst the silence of Mumbai road. Naina slowly and gradually entwined her fingers with his. With tear filled eyes, he looks at her, whose eyes were already flowing.

Naina- Sameer..main toh hoon hi na, humesha ki tarah.

Clutching his hand in hers, she takes him with her.

At BaanGanga, Mumbai
Both Sameer and Naina were sitting blankly on the stairs of the BaanGanga, felt an ache in their hearts..ache of sadness, dejection and regret. Loving and Losing are two different terms but they're connected to each other by a single thread of attachment. And once this thread of attachment loosens, then you can never connect back to the same string again. People might leave, relationships might be break, but their traces and a sense of belonging keep touching our hearts again and again to remind us of their existence around us.
Suddenly, rain starts pours on two withered souls. And Naina embraces him, soaking him equally along with her tears which she tries to disguised by raindrops. He too engulfed her, caressing her hairs.

Sameer- Kitna royogi Naina, tumhe kya lagta hai yeh baarish ki boondein aur tumhare ansuon mein mujhe fark nhi dikhayi dega.

𝐓𝐄𝐑𝐄 𝐋𝐈𝐘𝐄Where stories live. Discover now