Ek nayi shuruaat

577 78 18
                                    

8 saal kehne ko shayad chote lage par jab yeh dard se bhar jate hai  toh do pyaar karne walo ke liye bahut lambe ban jate hai. In 8 saaloon mein bahut kuch badal gaya tha. Yeh kahani un dino se in dino tak pahunch gyi thi. Bahut kuch badla tha in 8 saalon mein. Naina ne School badla, Sameer ne waqt ke sath shehar badal liya tha, Teachers badle, Dost badal gaye, Class badal gyi, yahan tak ki dono ki feelings bhi ek dusre ke liye badal gayi thi ab. Naina ke pyaar ki jagah ab dard ne le li thi aur Sameer ki mohabbat ab nafrat ban chuki thi. Dono badal rhe the ya yuh kahiye ki Naina ke School chodne wale din ke baad se hi dono badal chuke the. Dheere dheere hi shi sab badal rha tha. Siway ek chiz ke ek jazbaat ke aur woh thi in dono ke beech ki chahtein.
Jitna marzi Naina Sameer ko bhulane ki koshish kare ya Sameer Naina se nafrat karne ki koshish kare par inki Mohabbatein kabhi kum nhi ho sakti.

In Naina's House
Bela- Naina taiyar hui ya nhi. Aaj tere naye school ka pehla din hai na.

Anand- Arey Bela use yaad hai. Tum toh aise ghabra rhi ho jaise humari beti School nhi balki koi jung ladne ja rhi ho.

Naina(to herself)- Ghabrahat toh mujhe ho rhi hai, darr bhi lag rha hai. Kyuki sab kuch naya jo hone wala hai. Yeh School ka pehla din kisi jung se kum nhi hai mere liye.
Waise aaj toh Sameer ka bhi nayi class mein pehla din hoga. Pata nhi wahan sab kaisa hoga.

Otherside in Sameer's School
In Classroom
School ke pehle din sab class mein baithe hote hai tabhi peeche se koi ladki aati hai.

Girl- Hi!

Sameer- Tum?

Girl- Han main.

Sameer- Naina tum toh chali gayi thi na.

Naina- Par ab vapis aa gayi.

Sameer- Sach.

Naina- Much.

Sameer- Munna Pandit dekh toh kon aaya hai...

Mundit- Kise dekhe bhai. Yahan toh koi nhi hai.

Sameer(to himself)- Naina.
Matlab woh nhi thi. Mera sirf bhram tha.

After Sometime
At School Stairs
Sameer(to himself)- Yeh ladki kaise dheere dheere chal rhi hai. Aise bhi koi chalta hai kya bhala.

Sameer- Oh hello..please aap thoda jaldi chalegi.

Woh ladki mudti hai. Aur Sameer shock ho jata hai.

Naina- Agar tumhe itni hi jaldi hai toh yahi se kud jayo. Jaldi pahunch jayoge.

Sameer- Meri chinta chodo aur apna haal dekho. Kaise haanf rhi ho itni si seedhiyaan chadne mein yeh haal hai tumhara. Tum kabhi nhi badal sakti.

Sameer(to himself)- Par tum badal gayi Naina. Tum chali gayi par abhi bhi har waqt, na hote hue bhi har jagah mujhe dikh rhi ho.

At Water Tap
Sameer(to himself)- Kitni cute lag rhi ho tum Naina aise pani peete hue. Hamesha aisi hi rehna meri banke.
Yeh toh koi aur ladki hai.

At Playground
Sameer- Tum phir last aa gayi Race mein MOTI.

Naina- Sameer mujhe moti mat bulao. Main moti nhi hu.

Sameer- Han han moti nhi ho tabhi toh last aati ho humesha race mein.

Yeh kehke woh hasne lagta hai.

Mundit- Sameer kya ho gaya bhai hass kyu rha hai.

Sameer- Dekh na yeh Nai...

Munna- Yarr Sameer itne dino baad tujhe aise haste hue dekhke acha laga.

𝐓𝐄𝐑𝐄 𝐋𝐈𝐘𝐄Hikayelerin yaşadığı yer. Şimdi keşfedin