Aaj Jaane Ki Zidd Na Karo

681 99 97
                                    

Kya kahe kya na kahe,
Bs kashmakash mein reh gaye.
Hum alfaaz dhundte rhe,
Woh baat apni keh gaye.

Logon ne kya kuch na kaha,
Sab gawara kar liya.
Hum ishq ki khatir,
Zamane ke sitam sab seh gaye.

Ab na rhi koi tamanna,
Na rhi kuch aarzoo.
Sailaab kuch aisa chala,
Armaan saare beh gaye.

Gulshan mein toh gawah hai,
Har shazar toofan ka.
Shakhon pe bas sehme hue se,
Chand patte reh gaye.

Badi umeed se gaade the,
Mehal sapno ke humne.
Phir imarate khandar bani,
Khandar bhi aakhir deh gaye.

Time flies with the blink of an eye maybe this is due to the magic of happy days.

Naina(to Swati, on Phone)- Hello Swati, kaisi ho.

Swati- Main toh badiya hoon Bhabhi.

Naina- Agar tum ghar par ho toh meri Sameer se baat karwana. Kal se call kar rhi hoon, mera phone hi nhi utha rha.

Swati- Bhabhi main aur baki sab toh bahar aaye hue hai. Par Bhai ghar par hi the.

Naina- Koi baat nhi, tum enjoy karo main baad mein baat karti hoon. Bye!
(To herself)- Ghar par hi hai toh Phone kyu nhi utha rha. Kal se baat nhi kari usne mujhse. Waise toh kehta rehta hai ek minute bhi nhi reh sakta, aur ab poora ek din ho gaya hai.

At Sameer's House
Sameer is punching hard on the wall in his room, perhaps getting his anger out on the poor wall.
But suddenly someone's hand came in between his and wall's contact.

Naina- Kya kar rhe ho yeh.

Sameer- Tun yahan kya kar rhi ho.

Naina- Pehle mere sawaal ka jawaab do.
Aur haath dikhao apna, khoon aa rha hai Sameer.

Sameer- Koi jarurat nhi hai. Theek hoon main.

Naina- Yeh konsa naya shaunk chada hai tumhe. Aur yeh Punching Bag jab yahan hai toh is Deewar ko kyu pareshan kar rhe ho.

Sameer- Ab main apni marzi se kuch kar bhi nhi sakta.

Naina- Hua kya hai tumhe. Aur pehle batao Ointment kahan hai.

Sameer- Kaha na theek hoon main.

Naina- Ointment..

Sameer- Pata nhi.

Naina- Mat btao main khud hi dhund lungi.

After finding it, she looks at his rage filled eyes.

Naina- Haath aage karo.

Sameer- Main kar lunga khud.

Naina- Main kar rhi hoon na. Chupchap baithe raho.

She gently rubs the ointment and as soon as she is about to kiss on his hand, he pulls her hand back. But she still tries to be normal with him to know the reason behind his behaviour.

Naina- Sameer..Ache se khayaal rakha karo tum apna, ek tum hi toh ho jisse mujhe sab kuch acha lagta hai.
Acha Phone kyu nhi utha rhe the mera.

𝐓𝐄𝐑𝐄 𝐋𝐈𝐘𝐄Onde histórias criam vida. Descubra agora