Dil Ka Tukda

267 43 55
                                    

Kaash zindagi sachmuch
ek kitaab hoti,
Padh sakta main ki
aage kya hoga,
Kya payega aur
kya yeh dil khoyega,
Kab milegi khushi aur
kab yeh dil royega.

Kaash zindagi sachmuch
ek kitaab hoti,
Phaad sakta un lamho ko jinhone mujhe rulaya hai,
Hisaab toh laga pata kya khoya aur kya paya hai.

Kaash zindagi sachmuch
ek kitaab hoti,
Waqt se aankh micholi karke peeche chala jata,
Toote sapno ko phir se
armano se saja pata,
Aur phir kuch palo ke liye hi shi
main bhi muskurata,
Kaash zindagi sachmuch
ek kitaab hoti.

Aane wale kal ki umeed mein aur beete hue kal ki tasveer mein hum apne aaj ko bhul jaate hai..bhul jaate hai un lamho ko, un palo ko, un kisso ko, un kahaniyon ko jin mein zindagi chupi hoti hai. Par Sameer Naina ne aisa nhi kiya tha..apni khushiyon ki chabhi se apni zindagi ke taale ko khol hi liya tha.

Sameer- Naina..kahan ho. Naina..

Naina- Offo Sameer..

Maina- Offo Papa..

Naina- Kya hai..kyu bulaya.

Sameer- Tumhe kahan bulaya. Maine toh Princess ko bulaya tha.

Then he showed his tie. Maina comes to him, stepped onto the bed to reach to his height and starts tying the tie around his neck.

Maina- Kya Papa..itne bade ho gaye ho aur aapko ab tak apni Tie bandhana bhi nhi aata.

Sameer- Lekin tumhe toh sab aata hai na apni Mumma ki tarah.

Maina- Offo..kitne baatein karte ho. Chalo ab aapki turn.

She showed a pair of socks and shoes to Sameer.

Maina- Lo..Pehnayo.

After makes her ready, he asked for his fees. And she kissed on her father's cheeks.

Maina- Aur meri fees.

Sameer reciprocates by kissing on her chubby cheeks and takes her out in his arms.

Naina- Maina..lo pakdo apna BournVita, aur poora peena padega aaj. Aur Prem mooh khol..phir Dahi-Cheeni khani bhul gaya tha, last exam hai na aaj.

Then all the four grandparents joined them for the breakfast.

Maina- Mumma..aapne mera Paranthe Heart shape mein toh banaye hi nhi. Mujhe nhi khane yeh Round wale.

Anand- Kha le meri gudiya..

Vivek- Aur waise bhi pet mein jake saari shapes ek si ho jati hai. Kyu bhaisahab..

And both starts laughing but stopped as Maina looks at both of them angrily, widening her eyes.

Anand- Naina bana de jaisa meri Gudiya kehti hai.

Naina- Aap sab log aur baithaye ise apne sir par.

Maina- Par Mumma main sir par kahan baithi hoon. Main toh Papa ki godd mein baithi hoon.

Naina- Chupchap mooh bandh karo..aur Breakfast karo apna.

Maina- Mooh bandh kar lungi toh Breakfast kaise karugi.

𝐓𝐄𝐑𝐄 𝐋𝐈𝐘𝐄Where stories live. Discover now