19 | na-umeed

4K 444 195
                                    

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.


Dil Ajab Shaher Ki Jis Par Bhi Khula Dar Is Ka
Wo Musafir Ise Har Samt Se Barbad Kare





Flashback: In Bold


The Night Before...

One glass to burn the course of his throat. He couldn't drink more than one. It was Rapunzel's day tomorrow. He needed to be there on time. He swirled the amber drink, taking one sip at a time to lessen the effect of it, but he needed to fill the hollow space within him. The emptiness within him got numbed with each sip. He drowned the last of it, ready to leave the bar. His phone buzzed in his pocket at the strike of twelve.

Asmara's Birthday!

He struggled to breathe as he fell back on the barstool. The blinding rage mixed with lashes of sorrow started filling every inch of his body. The memories scorching his entire body, barely sparing him to gasp. He held his head, fuck, no, damn it, no.

"Happy Birthday Asmara!"

Woh us hujoom ke beech khadi thi jo uski duniya thi. Woh hujoom jo nashe mein jhoom raha tha. Woh jaanta tha woh uski duniya ka kabhi nahi ban sakta. Per dil ka mamla bhi kitna ajeeb tha, sirf uske he mohabbat mein pagal tha. Uske saath apni duniya busana chahta tha. Hath mein woh chota sa box liye us ka intezar kar raha tha, ek corner mein khade ho kar.

Woh jaanta tha jis duniya mein woh usse leke jaana chahta tha woh uske liye choti par jaye gi. Na jaane woh yeh raasta kaise teh karegi. Na jaane woh kaise apne mehlon jaise ghar ko chor kar uske chote chote shor se bhare mohalle mein reh paye gi.

Per Asmara ne usse yeh sab jaante hue qubool kia tha. Woh jaanti thi sab aur phir bhi usne uska saath nahi chora. Aaj woh yeh saath us'se hamesha ke liye maangne ja raha tha. Uske saath apni choti si duniya banane.

"Phir se chupke se yahan baithe ho." Woh uske saamne khadi ho gayi. Apni gheri ankhon se usse ghoorte hue. "Gift?"  Asmara ki ankhon mein thora sa sharab ka nasha tha. Woh jaanta tha, magar phir bhi kuch nahi bola. Shayad woh chup he uska pehla qadam tha barbadi ki tarf, magar kash woh us waqt yeh sab jaanta.

"Tumhari itni bari duniya mein kho jata hoon." Ek nazar usne uski alag si duniya pe phir dali. Na to Shehryar ko sharab ki chahat thi aur na hi uske paiso se. Woh to yahan aata to sirf Asmara ki mohabbat mein aata. Aur kabhi kabhi insaan ko uska dil he usko barbaadi ki tarf mor leta hai.  "Reh pao gi is sab se door?"

"Tumhare liye to duniya chor doon." Asmara ne ek qadam uski janib barhaya apni bahein uske galle mein daalte hue. Woh jaanta tha woh is had ko bhi par kar jayegi. Asmara us'se junoon ki had tak mohabbat karti thi.  Ek nasha jo uske dil, dimagh, zehan, sab per havi tha.

Ishq | (complete)Where stories live. Discover now