عشق

18.2K 496 136
                                    

Kahin Ishq Sajde Mein Gir Gaya,
Kahin Ishq Sajde Se Pher Gaya


Yeh Kahaani hai Khudparasti se us Ishq ke safar tak jis mein usne sab kuch fanaa kar dia.

❧Yeh Kahaani hai Tanhai se us Ishq ke safar tak jis mein us shakhs ne puri duniya iss ke qadmon mein rakh di

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.


Yeh Kahaani hai Tanhai se us Ishq ke safar tak jis mein us shakhs ne puri duniya iss ke qadmon mein rakh di

❧Yeh Kahaani hai Tanhai se us Ishq ke safar tak jis mein us shakhs ne puri duniya iss ke qadmon mein rakh di

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.





عشق

Ishq

Sirf ek lafz tha us ke liye. Woh lafz jisse usko nafrat thi, per us ki qismat mein yahi likha tha. Laila ke Ishq mein khudparasti se nikal kar sab fanaa kar dena... yahan tak ke khud ko bhi.

Yeh woh lafz tha jo un dono ke darmiyan sab kuch ban gaya tha. Woh ehsas ban gaya jo is duniy aki banayai sharton aur haddon se kahin pak aur upper tha. Yeh woh ehsas tha jo qismat ne sirf in dono ke liye likha gaya tha.

Yeh kaisa ehsas that woh nahi jaanta that, bus sirf yahi jaanta that ke sab kuch Fanaa kar ke usko sirf us ek larki ki talab thi jo us ke liye sirf Tamann-e- Khaam ban chuki thi. Woh larki jo us ke liye kuch bhi nahi thi, per na jaane jause woh uske rooh per apna nishaan chor gayi... nahi... woh to uske rooh ka hissa ban chuki thi.

Kyun ke Laila woh thi jisne is ki anaa aur badle ki aag ko choor choor kar dia. Laila woh thi jisne iss ko Khudparasti se nikal kar Ishq ki tarf mor liya.

Yeh kaisi chaal thi Qismat ki
woh nahi jaanta tha

Kyun ke Laila aur uske darmiyan sehra se leke aasmaan tak ka fasla tha

Kyun woh to raat ki tariki mein gunahon ke safar ka musafir tha
aur
Laila raat ka woh chaand thi jo apni roshini se tarikiyon ko mitati

Kyun ke woh to be rang tha, jis ko rangon se sirf nafrat thi
aur
Laila woh thi jis ke wujood se woh sab ko rang deti apne rango mein

Kyun ke uss ke pas sab kuch tha, per sab ho kuch ho ke bhi kuch nahi tha
aur
Laila woh thi jis ke pass kuch nahi tha, per kuch nahi ho ke bhi sab kuch tha






Well...

Hello There!

First of all welcome, and before you all question me... yes I do know I have the other two stories to update, I definitely will get to them but my creativity for those has been blocked. And I have been dying to write this story and I'm the person who does things impulsively so here is me on another impulse run.

Now about the story,

It's going to be a mix of Urdu and English. There are some parts that I love in English and others in Urdu. But technically It's my first-time full-on writing in Roman Urdu so I'm not too used to it (and I have been told my spellings are little wonky mhmm) But I type it in the way that makes sense to me and feels easy on my eyes.

Feel free to give me suggestions and correct my typos. I'm the original typo Queen. And I'm always open to suggestions, feedback, and criticism (as long as it's written respectfully)


and for the life of the baby lamb, don't take anything seriously, it's fiction... morals, beliefs, and everything will be skewed so let's just take it as it is... FICTION.


THANK YOU FOR CHOOSING TO READ THIS... I LOVE YOU ALL TO THE MOON AND BACK! (I promise!)

Ishq | (complete)Where stories live. Discover now