06| badla

5K 484 344
                                    

Sajda Khaliq Ko Bhi, Iblees Se Yaraana Bhi
Hashr Me Kis Se Aqeedat Ka Sila Mangega?

❧❧❧

Kitna ajeeb insaan hai. Kuch bhi samajh nahi aaraha. She was sitting in front of Malka on the roof. The sun had risen over the beautiful lazy Sunday. Malka rubbed almond oil in Laila's waist-long hair. Suddenly for some reason, her thoughts went to her Boss as she pulled her knees to her chest and put her chin on it. Kitne haftay ho gaye kaam karte huay per Ali Sir uske sir ke uper se guzar raha tha. She huffed again.

"Kia hua?"  Malka rubbed the top of her head. She closed her eyes in relief, it felt so good. 

"Matlab?" She savored the moment of bliss.

"Aisay aahein bhar rahi ho jaise bus koi agle pichle janam ke pashtaway yaad aarahai hai."

"Nahi, bus aisay he." She sighed, taking a long breath.

"Ab batati ho ya lagaoon juti." Malka messaged her head harder.

"Ow! batati hoon. Aise yateem per zulm to na karo." She put her head in Malka's lap, Thinking about the devil who was her boss. "Woh jahan meri job hai na. My Boss. Ajeeb insaan hai."

"Kyun?"

"Mujhe uski samaj he nahi aati. Ek mahina ho gaya per mujhe kuch samjh he nahi lag rahi. Jaise us insaan ko kisi ki parwah he nahi. Subah late aata hai. Shaam ko her roz kisi nayi larki ke saath hota hai. Na khaane ka hosh. Na khud ka. Na deen hai, matlab uska jawab to Allah ko dega per phir bhi. Kisi cheez ka dar nahi na he kisi cheez ka ehsas. Mujhe samjh he nahi lag rahi."

"Shayad koi family problem ho." Malka carded her fingers through Laila's long hair, eliciting another sigh of bliss from the younger one.

"Nahi. Uska doosra bhai bhi. Woh to Jaise Allah mein ka bheja farishta hai. Itni izzat karta hai aur bohat aaraam se baat karta hai. Ek farishta hai to doosra shaitan ka dada. Matlab itna ghussa karta hai jaise usko ghussa discount pe milta hai." She rolled her eyes, remembering how there was a shouting match in his office almost every day.

"Insaan kab nahi darta?" Malka thoughtfully stared out at the street, it had come to life after a great deal of rain. "Jab Insaan ke paas khone ke liye kuch bhi na ho to uske ander se sab kuch khatam ho jata hai, dar. Na to phir duniya a khof hota hai aur na hi deen ka. Shayad usne bhi zindagi mein sab kuch khoya ho. Jab Insaan ander se khaali ho to woh dil ka sukoon duniya ki cheezon mein dhoondta hai. Ab yeh to qismaat mein hota hai ke dil ka sukoon kahan likha hai? Ya phir zindagi yunhi kat jaye talash mein."

"I mean yeh bhi to ho sakta hai ke woh fitratan he Shaytaan ho." She rolled her eyes, still adamant about it.

"Iblis bhi fitrataan Shaytaan nahi tha." Malka reminded her as she started braiding Laila's hair. "Usne bhi apne liye yeh raasta khud chuna tha, Allah ki nafarmaani kar ke. Kisi ki fitrat buri nahi hoti. Insaan jo rasta apne liye chunta hai, usko waisey he manzil milti hai. Wohi phir usko bura ya acha banaata hai" Laila gave her the scrunchie as she pondered over her words. "Ach woh choro. Zara yeh batao woh jo farishta Bhai uski shaadi ho gayi?"

"Nahi?" Laila narrowed her eyes at her as she stood up, crossing her arms. Malka's eyes were glistening with amusement.

Ishq | (complete)Where stories live. Discover now