Haste Haste Kat Jaaye Raste

Start from the beginning
                                    

She places the money before RadhaKrishan idol and pray for him.

Naina(to herself)- Thank You Bhagwan Ji..bas aise hi sab dheere dheere sahi kar do. Paise beshak kum ho bas Khushiyaan kabhi kum mat hone dena.

Sameer- Aur kitni baatein karogi apne Bhagwan ji se.

Naina- Baatein kahan kar rhi thi..bas ek gaana suna rhi thi Bhagwan ji ko

Sameer- Phir se gaana..bas bhi karo Naina.

Naina- Unhone toh bas kar diya..ab tumhari baari sunne ki.

Thoda hai..
thode ki zaroorat hai,
Zindagi phir bhi yahan.. khoobsurat hai,
Thoda hai..
thode ki zaroorat hai.

Keeping hands on his ears, he silently goes to another room.

Sameer's VO
Yuhi thodi na rakha tha maine Naina ka naam Radio Mirchi. 28 din tak uska Tape Recorder din raat bajta hi raha tha. Shayad meri kavitayein jo kum ho chali thi. Un dino halaat chahe kaise bhi rahe ho, woh jhuki toh hargiz nhi thi, ladkhadayi bhi jarur thi, giri bhi thi magar ruki toh hargiz nhi thi.
Aur main..bheed mein bhi akela sa tha, par dil mein ek bheed jarur thi..bheed kuch khayalon ki, toh kuch sawalon ki. Kumi thi toh bas kuch jawaabo ki..jo Naina mujhe is baar bhi Cheating karke dikha rhi thi, bas maine hi aankhe moond ke rakhi thi.

Naina- Batao na Sameer kaisi bani hai Dal. Taste kar liya na tumne..toh bolo.

Sameer- Batayuga toh tumhe bura lagega.

Naina- Main kya karu..kabhi sahi nhi banti yeh Dal Sabji mujhse.

Sameer- Hato..main theek karta hoon.

Naina- Tum baith jao..aur tumhe bhi kahan aata hai.

Sameer- Par ise theek kar sakta ho..woh bhi apne ek haath se hi.

Naina- Kaise..

Sameer- Apna special tadka lagake..

He heats oil in a small pan. Adds some raw spices and crackle them. Lastly, pours the entire tempering into the dal.

Sameer- Ab chakho aur batao.

Naina- Umm..Perfect..yeh toh bilkul shi ho gayi Sameer.

Sameer- Dekha jaduu hai na mere haathon mein. Aur aage se Dal main bana diya karuga, Roti tum bana diya karna. Theek hai.

Naina- Bilkul theek hai..kabhi tum meri kumiyon ko poora kar dena, kabhi main tumhari madad kar diya karugi. Kyuki kuch bhi perfect nhi hota na Sameer.. perfect banana padta hai jaise is Dal ko banaya.

Sameer- Naina..Dal aur Zindagi mein bahut fark hota hai.

Naina- Par jaise Dal mein kum zyada namak ko apne Tadke se shi kar dete ho, waise hi Zindagi ke utaar chadaav ko bhi apne pyaar aur bharose se tum shi kar sakte ho.

She starts rolling the Chapattis, after playing a song on the phone.

Ruk jana nahin,
Tu kahin haar ke.
Kaanton pe chalke,
Milenge saaye bahaar ke.
O Raahi, O Raahi..

Suddenly the power gets cutt off.

Sameer- Aur kuch cheezein chahkar bhi kabhi Perfect nhi ban sakti Naina..jaise ki yeh andhera.

𝐓𝐄𝐑𝐄 𝐋𝐈𝐘𝐄Where stories live. Discover now