۳۵

16K 1.1K 1.4K
                                    

لاپتا

𝐋𝐚'𝐚𝐩𝐚𝐭𝐚: 𝐥𝐨𝐬𝐭
adj: deserted, untraceable or absent from the
place it was originally to be found.

کہہ دو اِن حسرتوں سے، کہیں اور جا بسیں
اتنی جگہ کہاں ہے دلِ داغدار میں۔

𝗞𝗲𝗵 𝗱𝗼 𝗶𝗻𝗻 𝗵𝗮𝘀𝗿𝗮𝘁𝗼𝗻 𝘀𝗮𝘆, 𝗸𝗮𝗵𝗶𝗻 𝗮𝘂𝗿 𝗷𝗮𝗮 𝗯𝗮𝘀𝘀𝗮𝘆
𝗜𝘁𝗻𝗶 𝗷𝗮𝗴𝗮𝗵 𝗸𝗮𝗵𝗮𝗻 𝗵𝗮𝗶 𝗱𝗶𝗹 𝗲 𝗱𝗮𝗴𝗵𝗱𝗮𝗮𝗿 𝗺𝗲𝗶𝗻

• • •

1 MONTH LATER

THE MAN WAS BUSY OBSERVING HIS SURROUNDINGS AS HE WAITED IN THE VISITING ROOM and so, after a good 20 minutes wait, Badar Shah let out a breath of air in visible irritation before finally getting up.

He was about to leave the room when he saw Jalal Shah enter.

"Assalam u Alaikum Badar Sahab, kesay mizaaj hain?" Jalal Shah's confident baritone voice surfaced out.

"Walaikum Assalam, sab kher say hain Jalal Shah! tum sunao?

Yahan dekh bhaal tau achay say kar rahay hain na sab tumhari?" Badar Shah replied back before sitting back again on the sofa.

"Bus jee, Allah ka shukar hai jis nay mujhay jail tak mein ba izzat rakha hua hai!" Jalal Shah was fluent, he always made sure to never give away his vulnerability or weakness to anyone.

"Beshak, Allah ka ham sab pey bohut karam hai,

Gaon walo ko bhi meinay chup karwaya hua hai, bus tum nay kisi kisam ki pareshani sar nahi leni, waisay koi andaaza hai kay iss case ko mazeed kitna arsa chalna hai?"Badar Shah's curiosity was finally speaking.

"Filwaqt tau bus agli tareekhay hee daal detay hain, aap tau in maamlon say waqif hain, Shayad saal daidh lag hee jaye case ko latkay huay,

Aur jahan tak baat gaoon walo ki hai tau peeth peechay baat karna tau unka shuru say aadatan shewa raha hai, haan wo alag baat hain kay meray saamnay bolnay ki himmat nahi milli unhay aaj tak, na hee kabhi mein milnay du ga!"

Jalal Shah let out a chuckle after his own spoken words.

Tera sab ghurror sifar honay mein sirf kuch hee waqt baki hai Jalal Shah! Badar Shah's thoughts were spitting venom but he forcefully pressed down his anger.

"Aapka shukriya kay aapnay gaaon mein bhi meri sab zameeno ka achay say khyaal rakha aur idhar bhi itnay kam arsay mein sab sambhaal liya!" Jalal Shah continued speaking out his words coolly,

ISHQ ZAATWhere stories live. Discover now