۲۵

17.4K 1.2K 628
                                    

صِفر

𝐒𝐢𝐟𝐚𝐫: 𝐧𝐨𝐭𝐡𝐢𝐧𝐠𝐧𝐞𝐬𝐬
noun: Something with no
assigned value, a void or coming to naught

ایک بےوفا کے زخموں پر مرہم لگانے ہم گئے
مرہم کی قسم، مرہم نہ ملا،
مرہم کی جگہ مر ہم گئے۔

- 𝗘𝗸 𝗯𝗲𝘄𝗮𝗳𝗮 𝗸𝗮𝘆 𝘇𝗮𝗸𝗵𝗺𝗼 𝗽𝗮𝗿 𝗺𝗮𝗿𝗵𝗮𝗺 𝗹𝗮𝗴𝗮𝗻𝗮𝘆
𝗵𝗮𝗺 𝗴𝗮𝘆𝗲, 𝗺𝗮𝗿𝗵𝗮𝗺 𝗸𝗶 𝗾𝗮𝘀𝗮𝗺, 𝗺𝗮𝗿𝗵𝗮𝗺 𝗻𝗮 𝗺𝗶𝗹𝗮
𝗠𝗮𝗿𝗵𝗮𝗺 𝗸𝗶 𝗷𝗮𝗴𝗮𝗵, 𝗺𝗮𝗿 𝗵𝗮𝗺 𝗴𝗮𝘆𝗲.

• • •

THE MAN WAS DEEP IN HIS THOUGHTS AS THE ELDERLY MAN WAITED FOR HIS RESPONSE, it wouldn't take the man long to make up his mind, Agha Zaeem Khan was sure.

"Baba, mujhay theek nahi lag raha yeh sab!" Daryab spoke out in agitation.

"Samajhnay ki kya baat hai bachay? Gulzaman Khan khud meray pass aya tha, uss say baat hui hai meri. Koi purana dushmani ka masla hai, ham kyun iss Mein uljhay?" Agha Zaeem Khan replied back coolly.

"Aap samajh nahi rahay. Bachay ga nahi Jalal Shah ek dafa pakra gya tau,

sab suboot uskay khilaaf hongay, dera ussi ka tha, pistol, kalashinokov sab ussi kay deray pey hain ab bhi, baat khataray wali hai baba, seedha phansi charhay ga!" Daryab Khan wasn't willing in the situation one bit.

"Us Sardar say dushmani ham pathano ki shuru say chali hui hai,

jab say iss ilaaqay Mein aya hai zameeno kay sath sath logon ko bhi khareed liya, apna roab jama liya hai hamari jaghon pey, samajhta hee kya hai khud ko wo gaon ka raees zada? Kab tak uss kay saamnay ham chup rahay gay Daryab?!

Yeh behtareen mauqa hai, tum kyun bhool jaatay jo uss ki sab kartooton ko? Kal ko tum qabeelay kay sarbarah bano gay meray baad, logon ki khushi Tumhari awal tarjeeh honi chahiye!"

"Lekin mein bhi tau tha uss din?" The man spoke out in confusion. "Haan meray betay!, lekin tumhay tau goli lag gayi thi, tumhay maloom nahi. Gulzaman ka beta tau shahid hai is baat ka kay uss nay Jalal Shah ko goli chalatay huay dekha!

aur kya tum jaantay ho kay Gulzaman Khan ko tau Jalal Shah nay saaf saaf keh diya tha kay ilzaam Daryab Khan pey daal dena, mujhay Gulzaman nay khud bataya hai!"

Daryab's head whipped towards him in shock. He couldn't believe the words, his heart was telling him that it was untrue. He knew Jalal Shah could be anything but a betrayer.

ISHQ ZAATWhere stories live. Discover now