Haste Haste Kat Jaaye Raste

Start from the beginning
                                    

Chintu- Mr. Sameer..kya aap meri behan ko thodi der ke liye sambhal sakte hai..tab tak main Naina Didi se padh lunga..Please.

Sameer- Main..

Naina- Haan tum..sambhal bhi lo na Sameer. Aur dekho na kitni cute hai.

Sameer- Cute toh hai..par Naina mujhe baccha pakadna tak nhi aata.

Naina- Toh..
Sambhal rhe ho ya nhi.

Sameer- Sambhalta hoon. Dhamka kyu rhi ho.

Naina takes the kid off from her lap and hands it to Sameer.
He is nervous at first in holding her but few minutes later he starts playing.

Naina(to herself)- Bahut dino baad yeh hasi dekhi hai tumhare chehre par. Ab ise kahin khone nhi dungi. Kaash tum bhi meri tarah dekh paate ki tum yahan khush ho sakte ho.

After Sometime
Sameer- Naina..woh Chintu ko kehna ki kal bhi apni behan ko le aaye..in fact roz le aaye. Bahut pyaari bacchi hai.. Tumhe pata hai woh dono milkar mere Plaster par drawing bhi kar rhe the.

Naina- Dikhayo toh shi..

That's when his gaze falls onto the 'Aamchi Mumbai' written on his plaster.

Sameer- Tumne hi seekhaya hoga yeh un dono ko.

Naina- Sameer koi bhi shehar acha ya bura nhi hota..haan par ache bure log har shehar mein maujud hote hai. Tumhe koi bura mila toh tumne is shehar ko bura bana diya, toh phir aaj in do baccho ki acchai ke baad is shehar ko acha bhi declare kar do. Jaise humari life mein aa rhe kuch bure lamhe humari life ko define nhi kar sakte na, usi tarah kuch bure log bhi is Mumbai ki pehchaan nhi ban sakte.

Sameer- Naina tum jo soch rhi ho na, waisa kuch nhi hone wala. Hum yahan nhi rahege. Yeh shehar humare liye hai hi nhi. This is not meant for us.

Naina- Then..let's see.

She again starts murmuring a song while doing her daily chores.

Zindagi pyaar ka geet hai,
Ise har dil ko gaana padega.
Zindagi gham ka sagar bhi hai,
Haske us paar jaana padega.

In afternoon, some childrens approaches Naina for the tuitions.

Children- Toh Didi aap padhyoge na hume.

Naina- Bilkul padhayugi.

Children- Aur Maths bhi..

Naina- Maths..

Children- Hume easy rahega na agar ek hi jagah par saare subjects ki Tuition ho jayegi.

Naina- Par main Maths..

Sameer witnessing the all, silently giggles.

Naina- Main aap logon ko Maths nhi padha payugi..

Sameer- Main padha du. Baki subjects mein beshak main tumse Cheating karta tha..par Maths toh acha hi tha mera.

The children leaves after paying their Tuition fees.

Naina- Tum sach mein padhayoge?

Sameer- Is toote haath aur per ke saath itna toh kar hi sakta hoon.

Naina- Isse bahut zyada kar sakte ho. Lo apni Fees ka share Mr. Maths Teacher.

Sameer- Tum rakh lo..is Maths Teacher ki biwi ka hi haq hai in paiso par.

𝐓𝐄𝐑𝐄 𝐋𝐈𝐘𝐄Where stories live. Discover now