Tujhme Roshan Hoga Suraj

476 40 1
                                    

“Bondita Ji… .” Indraneil Mukherjee yelled at Bondita & his evil companions were shooting daggers at Bondita through their eyes.

“Aawaz niche rakhiye Mukherjee Babu……” Anirudh roared & came in front of Bondita guarding her and gave a dangerous look to all who were staring at Bondita “Pehle auraton se baat karne ki tameez sikh lijiye. Bondita ne jo kuch v kaha uska kahi huyi ek ek baat sahi hai. Kami auraton me nhi admiyon me hai, charitra auraton ka nhi admiyon ka kharab hota hai.

Auraton ko vastu ke roop me admi dekhte hai, Khot admi ke niyat aur nazariya  me hoti hai aurat ke charitra me nhi.” Anirudh shouted at top of his lungs.

Indraneil Mukherjee, his companions were standing bowing their head because they didn’t have the courage to argue with  the powerful Barrister as well  known wealthy prosperous zamindar or probably they lacked the strength to argue back as they somewhat realised they were wrong but still it hurt their manly ego to be defied by a woman that too in a place filled with all the men.

“To aap hi bataiye na aur kyun choda hoga iske pati ne ise? Isliye nah ki ye dusre mardon se mel jol rakhti hai.”

“Uske pati ne use kyun choda ye undono ki aapas ki baat hai, ye baat aaplogo ko uske charitra ka pramaan patra dene ka adhikari nhi deti. Aapko uske charitra pad apna nirnay dene ka adhikar nhi deti. Aapko uspe ungli uthane ya uski nizi zindagi ke mamlo me dakhalandazi ka koi haq nhi. Kisi v aurat ko samman ki zindagi jeene ke liye kisi admi ki jarurat nhi, mauke ki jarurat hai. Abhaga hai uska pati jo use aisi patni ki kadra nhi aur ……

(walked dangerously near to him held his collar & said in a threatening tone) khabardar jo ek aur galat shabd nikala Bondita ke khilaaf. Mai bhul jaunga ki aap kaun hai aur ham abhi kahan hai. Mujhe majboor mat kijiye.”

“Kis kis ka muh band karwayeiga aap Anirudh Babu! Aaj maine kaha hai to kal aur koi kahega. Kis kis se bachate rahenge! Samaaj to har jagah hai nah. Bina pati ke sahaare ke ladkiyon ko aise hi nazariye se har koi dekhta hai. Kitno ka nazariya badlenge! Kis samman ki baat kar rahe aap! Baap, bhai, pati kaun hai iske samman ki raksha ke liye?”

“Maa, behen, patni chahiye kya kisi admi ko samman ki zindagi jeene ke liye? Nhi nah to aurat ko kyun! Khud ke liye jiyungi mai aur unlogo ke liye v jinke jeene ka koi sahara nhi. Mai banaungi apne jaisi ladkiyon ko itna kaabil ki jinke zindagi jeene ke liye unka apna naam kafi ho, kisi aur ke naam ke sahare ki jarurat nhi. Aaj ek Bondita khadi hai galat ke khilaaf aawaz uthane ke liye kal sau aur khadi hongi.

Admi aur aurat ko ek samaan banaya hai bhagwan ne to ye bhedbhaav kyun? Auratein v insan hai admiyon ki tarah to apni zindagi jeene aur khush rehne ka adhikaar kyun nhi unhe? Kyun auraton ko bina kisi ke naam ke khush rehne ka adhikar nhi?” Bondita said.

Anirudh was proudly watching her with a smile on his face & having flashback of the time he saved Bondita, Bondita becoming an inspiration for girls, Girl’s school opening, risking her life for girl in HM, Durga Shakti Udyog & all other things in which Bondita advised & helped Ani.

“Maa, beti, patni kisi admi ko chahiye samman se jeene ke liye? Nhi nah!” “Kya pata kal ye bachi khud ek roshni bane jo apne aur na sirf apni balki aneko auraton ke jeevan me andhakar ko door kare.” “Aaj jo choti si chamak hai iske chehre par kal Sooraj bankar kitno ko raah dikhayegi aisa koi jaan sakta hai kya yaha par?” “Ise itna laayak banaunga ki aapke aankhon me aankhein dalkar apna adhikaar mangegi.”

“Tujhme Roshan Hoga Suraj

To Dhoop Bhi Aayegi

Shabd Kaagaz Par Chalenge

To Raah Tu Payegi

Mai Teri Aankhon me dekhun sapna mera.”

He was going down the memory lane and being more proud remembering all his dialogues & promises but suddenly one of his promise hit him hard “Saaya to sirf Roshni me sath deta hai mai Anirudh Roy Choudhary andhakar me v iska sath dunga” and his eyes welled up imagining all the loneliness as well as longingness for someone’s support & love she had to go through and probably still going through.

Zindagi Bhar Ki Maut Where stories live. Discover now