Dard aur Hamdard

539 55 42
                                    

“Aapko chot lagegi to aansoon nahi bahenge kya mere! Mujhe dard nhi hoga kya!” Bondita blurted suddenly.

Anirudh instantly jerked his own hand holding glass, opened his eyes and his eyes met hers and they shared an intense eyelock with Whirlpool of emotions.

Suddenly Bondita came to reality and immediately stood up, turned and started walking away. But in a hurry she didn’t notice a broken piece of glass which pierced in her feet and she shouted in pain. Ani ran to her and held her by her shoulders and started checking on her feet.


He shouted at her, “Dekh ke nhi chal sakti thi Bondita dekho kitna lag gya. Aao yaha baitho mai nikaal doon aur dawa v laga doon.” He tried to move her to the sofa holding her shoulders.

“Rehne dijiye Barrister Babu mere liye chot aur zakhm koi nyi ya badi baat nhi. Aisi chotein mamuli baatein hai lagti rehti hai.

Us din v lagi thi jab aap apni manchahi patni ko byaah ke laaye the aur aap mere sath nhi the. Tab aisa ek kaanch ka tukda nhi bahut sare kaanch ke tukde the jo chubh rahe the khoon nikal raha tha mere pairon ke nishaan pad gye the farsh par jab mai waise usi haalat me aapke paas aane ki koshish kar rahi thi, man sawaalon se bhara tha, aapse jawab chahiye the aur usse v jyaada aap chahiye the. Mujhe nhi samajh aa raha tha aisi kaun si galti huyi thi mujhse.

Mai aapke kamre me gyi usi haalat me aur waha dekha aap to apni choti patni ke sath vyast the, wo thi aapke saath… .. … aapke kamre me fir v maine koshish ki aapse baat karne ki aur aapne darwaaza mere muh pe band kar diya berukhi se bina kisi shabd ke.

Aur mai usi haalat me usi chot ke sath, usi dard ke sath wapas gyi apne kamre me akele aur aapka intezaar karti rahi par aap nhi aaye. Mai usi tarah dard me rahi is ummid me ki mere dard ko samjhne wala use kam karne wala mera hamdard mere paas aaye aur mera dard door kar de. Sach kahun Barrister Babu jitne tukde pairo me nhi chubhe the utne tukde dil me chubhe the, jitna khoon pair se beh raha sayad usse kahi jyada aansoo beh rahe the mere, mera dil bhi bahut zakhmi tha sayad mere pairon se jyada.

Par jhuthi ummid pe rahi mai. Jhuthi ummid pe rahi ki mere jaadugar babu aayenge aur jadu se mere toote huye dil ke tukde jod denge, mere shikshak babu aayenge aur mere sare sawaalon ka jawaab denge, mere rakshak babu aayenge aur un andheron se meri raksha karenge, mere bhagwaan aayenge aur apne hathon se mere aansoon pochenge, mera khoya hua sansar mujhe wapas mil jayega par wo sansar jo sayad kabhi mera tha hi nhi, khoya nhi tha chin chuka tha mujhse hamesha ke liye. Mera sansaar kisi aur ka sansaar ho chuka tha.

Aise bahut mauke the jab mai akeli thi, aage v akeli rahungi to behtar hai mere dard ke hamdard banne ki koshis mat kijiye. Mujhe aatmanirbhar banana chahte the aap to bnne dijiye, mera sahara mat baniye, bas ab aur taras mat khaiye mujh par aur ehsaan mat kijiye, itne ehsaano ka bojh nhi utha paungi.” She said almost in a spelled state totally shattered and tears rolling down cheeks as if there’s nothing in world to live for and started walking bearing the pain.


Ani came in front of her knelt in front of Bondita joining his hands and started crying like a kid and started apologizing, “Mujhe maaf kar do Bondita, maine bahut chot pahuchayi hai. Tum mujhe sazaa do kadi se kadi sazaa do mai maafi ke kaabil nahi”


Bondita lifted him up holding his shoulder calmly said, “Aap mere saamne aise mat jhukiye, mai aapka bahut samman karti hoon aaj bhi, rakshak hai aap mere, shikshak v aur v bahut ehsaan aapke mujh par, bhagwan hai mere liye aap.

Jahan tak saza ki baat hai kya aapko saza dene se wo sari chizein aur wo sara sach badal jaayega? Nhi nah.

Aur aapki galti bhi kaha hai, apni manchahi ladki ko apna jeevansathi chunna galat thode hai, galti to meri thi shadi ka pura sach janne ke baad bhi mai   nhi samajh paayi ki mai aapki majboori hoon, gale me bandhi ek phaans aur mai paagal Kaka Sasurji ki baaton me aake aapke gale ki phans aur kasti gyi. Mai us rishte ko nibhana aur majboot banana chahti thi jo rishta tha hi nhi bas ek majboori thi, jaldbaazi me liye ek faisla, gale me bandhi rassi, kitni paagal thi mai , utni samajh bhi kahan thi mujhe.

Par aap mujhse keh sakte the sab saaf saaf, tod sakte the mujhse rishta kisi se jodne ke pehle. Aur itne bahane banane ki v jarurat nhi thi Barrister Babu aur na hi un sab chizon ki jo v hua.

Mai bas aapse itna kehna chahti hoon aapse mujhe akela chod dijiye, mere haal pe chod dijiye mujhe. Mujhe aise ummidein mat dijiye ki fir ek baar fir galti se koi ummid kar baithun. Un zakhmo ke koi marz nhi hua karte jo kabhi kisi hamdard se mile ho."


She joined her hands in front of him and walked away and all this was witnessed by Saudamini who came to talk to Anirudh about the things happened after her. Everything was heard by her and she felt like she would collapse then and there but still tried to stay strong to know more about all these putting her hand on her mouth to stop sound of sobs and when Bondita was about to step towards the door she ran and hid behind the pillars.


Bondita was taking small steps towards her room lifelessly with tears in her eyes  and Anirudh again collapsed on his knees watching her retreating figure. She went to the room cried out loud, she was slowly slowly  relieving the pain deep inside her heart. Saudamini couldn’t control herself more slowly sliding against the wall she finally collapsed into sobs covering her face with her hands. Ani in study sat on the floor crossing his knees and buried his head in his between his knees and was crying uncontrollably.

**************************************

Dear readers, I need time for next update, I have many ideas to proceed the story but it seems you guys are getting bored 😄 So will try to shorten but still there's so much to write.

And acha ya bura jo v lage bol diya karo aaplog, jaan ke acha lagta hai.
 

Zindagi Bhar Ki Maut Where stories live. Discover now