EPILOGUE

679 100 82
                                    

Princess Meerab smiles and said to her father;

"Akhir kar Hechler ko humne jindan mein dal hi diya.Humare yaha humare hi riyasaat ko girane aaya tha lekin aaj uske mukaddama humare riyasaat larega."

Sultan looks at her and said;

"Dusre ko kuye mein giranewale aksar khud us kuye mein gir jate hai beti."

Tehsin Pasha looks at him and said;

"Sultan akhir yeh sab hua Kaise?"

Khan Murtasim Pasha said;

"Hechler us qatil ko nahi pehchanta tha jo safir ko qatal ke mansube se yaha aye the.Humne ek aisa mansuba banaya ke us Hechler ke pas qatil banake Khalil khalid ko bheja tha aur us qatil ko turand hirasat mein le liya.Khalil khalid ne ek dastabejat mein Hechler ka dastaghat liya jaha woh safir ko marne ka hukm diya tha.Humne bilkul uske mansube ke mutabek qatal ka ek khel rachaya aur safir ko yeh dekhaya kaise Hechler use marne ki mansube banaya tha."

Tehsin Pasha smiles and said;

"Bohot ala.Allah ne hume ek aur dushman ko shikast dene mein qamiyab huye.Shukar Alhamdulillah."

Then Mehmod pasha along with Sahabuddin entered the room and they greeted him.

Sultan said;

"Shukar ada kijiye us khuda ka jinhone aap ko batil ka rasta se haq ke rasta dikhaya.Hum yakin karte hai aap ke soch tabdil ho chuka hai aur aap apni gunaho se tawba kar chuke hai.Beshak Allah dilo ke hal se bekhabar nahi hai.Woh sab janta hai jo dikhate aur jo chupate hai.Beshak Allah dilo ko tabdil dene wala hai.Hadith ka ek dua hai -Ya Muqallibal Qulub,Thabbit Qalbi Aala Dinik yani ki hai dilo ko tabdil karnewala mera dil humesha deen pe kayem rakhna."

Sultan paused and said;

"Sahabuddin mazi mein aap se bohot galtiyan huyi hai.Aap ne mukhalifan ke sath milkar humare riyasaat ke khilaf mansube banai lekin aab aap sudhar chuke hai.Aap ne jitne malumat dekhe riyasaat ke madad ki is liye riyasaat aap ka shukar guzar rahega.Lekin hum aap ko aab ek jaga bhejenge kuch faraiz dekar.Agar aap apni zimmedari bakhubi nibhai to aap ko phir ek baar yaha dakhil hone ki izazat diya jayega."

Sabahuddin lowered his head and said;

"Aap ka bohot Shukriya sultan.Humare itne sare galtiyon ke bad hume maf karne ke liye.Hum saza ke haqdar the aur humare harqat na qable mafi."

Sultan said;

"Humare lakh gunaho ke bawozud bhi khuda ne tauba ka rasta khula rakha hai farjan."

Sahabuddin said;

"Hum puri koshish karenge aap ki diye gaye zimmedari ko bakhubi nibha saku aur aap ka aitmad jit saku."

After a while,Mehmod pasha and Sahabuddin left from the room and Khan Murtasim Pasha said;

"Kya hum Sahabuddin pe mukammal bharosa kar sakte hai sultan?Hume dar hai kahin woh..."

Sultan said,;

"Is liye to hum unhe yeh fariza sonpa hai.Woh fariza ek bahana hai pasha humara maksad har waqt Sahabuddin ko nigrani mein rakhna hai.Hum unhe aur azmainge aur dekhenge woh humare kitna wafadar hai."

Khan Murtasim Pasha nodded his head and Sultan said;

"Khan Murtasim Pasha aur Sehzadi Meerab Sultan aap dono ko bhi ek aham kam ka fariza sonpa jaa raha hai.Bator jasos aap dono London jayenge.Lekik yeh baat khufiyan rahega."

__________________________________

Princess Meerab packing their stuff and Khan Murtasim Pasha helping her.Suddenly Khan Murtasim Pasha pulling her towards him and he holds her tight and put his hand on her waist.He said;

"Allah ka shukar hai hum dono ek sath ja rahe hai.Agar sultan hume akela bhejte to."

She puts her hand on his chest and said;

"To kiya hota?"

"Hum reh bhi lete aur raha bhi nahi jata.Lekin Sultan ko malum hai hum aap ke begair ek paal bhi nahi reh sakte.Is liye hum sath jaa rahe hai."

She puts her head on his chest and he tightly holds her.

_________________________________

Khan Murtasim Pasha and Princess Meerab bids away from Sultan and he said;

"Mere pyaro bacchon.Allah aap ko apni hifz o aman mein rakhe.Is maksad mein aap dono ko qamiyab kare.Humara koi nawasa ya nawasi ho to use humara pyar dena.Agar humare sath aap ka mulakat na bhi ho to roz hashr mein humare mulakat hogi.Aur Insha Allah jannat mein hum sath sath rahenge.Jaye Allah Hafiz."

Princess Meerab hugs her father and said;

"Apna dyan rakhna baba.Allah aap ke madadgar ho.Aap ka saya humesha hum par rahe aur yaha pe aap ka hukumat ho."

Khan Murtasim Pasha said;

"Ameen."

They both take bids and left the palace.

__________________________________

Princess Meerab and Khan Murtasim Pasha sitting on the ship.They both look at their country for the last time.Khan Murtasim Pasha said;

"Aye watan jarur laut ayenge hum."

Princess Meerab shedding her tears and said;

"Mujhe baba ki fikar sata rahi hai pasha.Dushman taqatwar hai aur kismat kamjur.Mushkilat jyada hai aur dost koi nahi.Takdir ghum la rahi hai."

He holds her hand and said;

"Lekin Allah hai sath.Islam ka malik Allah hai aur Allah kabhi apne bande ko tanha nahi chorta."

He looks at the sky through the window and said;

"Ya mere malik,mere watan ko dakhili aur khariji dushman se hifajat farma.Hum aap ko aap ke naam "Al Qahhar" ka wasta dete hai.Humare watan se dushmano ko mita de.Bacchon ko yatim aur khawatino ko bewa hone se bacha le ya rab.Waldain ki ankhon mein kabhi ansu na aane de.Jis shehro ko humne abad kiya unhe azad rakh aur agar kismat mein jang likha ho to hume dushman ke aage fatayab kar."

Princess Meerab said;

"Ameen."

She puts her head on his shoulder and held his hand and said;

"Hum jald lautenge."

He said;

"Insha Allah."

They both started their journey towards a new life together.

THE END

Thank you so much for loving this story so much.

𝙎𝙐𝙇𝙏𝘼𝙉𝘼𝙏𝙀Where stories live. Discover now