18

428 100 90
                                    

A/N-Sorry for delayed the update on this story.But loved to hear how much you are eager to read.Thank you for showering all the love and appreciation.
__________________________________

Princess Meerab and Khan Murtasim pasha meet Sultan and narrated every detail about the orphanage.Sultan gets angry and said;

"Yatim bacchon par tashaddud karnewalo ka anjaam jahannum mein hota hai.Allah ne hume hukm diya unpe meherban hone ke liye aur yeh log unpar taqat azma raha hai.Lanat hai aiso pe."

Khan Murtasim pasha said;

"Woh log humare mazhab ke khilaf bacchon ke maan mein fitna phehla rahe hai Sultan.Aur jo bacchen iska bagawat kar rahe hai unpar tashaddud kar rahe.Taki unhe majbur karke deen e islam se muh mor diya jai."

Sultan said;

"Yeh bacchen humare riyasaat ke mustakbil hai pasha.Hume inhe is aziyat se bachana hai har kimat pe."

Sultan looked at Princess Meerab and said;

"Aap ko kisi par shuba hai Sehzadi?"

Meerab's thoughts are still stuck on Abdul kader and Sabahuddin meet up.She regained her sense after Sultan's words and said;

"Ji?"

Sultan looks at her condition and said,

"Beti aap thik to hai?Jab se aayi hai kisi aur soch mein ghum hai."

Princess Meerab smiles and said;

"Hum bacchhon ke bare mein soch rahe the baba.Allah kare hum jald hi asli mujrim tak pouch jai."

__________________________________

Abdul Kader entered his room and find Princess Meerab sitting there.She looks at him and asked;

"Kaha gaye the aap?"

He sits and replied;

"Yeh aap ke masla nahi hai Sehzadi.Kya hum aap se puchte hai aap kaha jati hai aur kaha nahi.To aap bhi humse mat puchiye."

Princess Meerab raised her voice and said;

"Hum na puche aur aap apni man mani karte rahe.Abdul kader hum aap ki bari behen hai aur hume pura haq hai yeh janne aap aaj bahar kisse mile."

Abdul kader asked;

"Akhir aap kehna kya chahti hai Meerab.Saf saf lafzon mein bole.

"Sabahuddin se mile the na aaj?"

He gives a surprising expression and said;

"Hum mile the woh bhi Sabahduddin se.Lagta hai aap ki yadash kamjur ho gayi hai.Aap ko yaad nahi hai to hum aap ko bata du Sabahuddin ko riyasaat se gaddari ke zurm mein mulk se bahar kar diya gaya hai.Unhe yaha dakhil ki koi izazat nahi hai.Agar yaha woh kisi bhi tarike se dakhil ho bhi jai to foran giraftar kiya jayega.Aur aap ko lagta hai woh din ke ujalo mein humse mile aur kisi ke nazar mein bhi nahi aaye.Hairat ki baat hai na yeh?

Princess Meerab coming towards him and said;

"Hume pakka yakin to nahi woh Sabahudin the aur nahi humare pas koi saboot ke aap unse mile.Lekin Abdul kader iske piche ki sacchai bhi humare samne aa hi jayega Insha Allah."

She about to leave but stop,looking at him again and said;

"Agar hume yeh pata lag jai aap sach mein Sabahuddin se mile ya phir se unki behkave mein aake haq ka rasta chor kar galat raste chune.Ya phir Sabahuddin ke sath kisi bhi mamle mein aap mulavvij huye to yaad rakhiyega Abdul Kader us waqt bina soche samjhe hum aap ko apni hathon se qatal karenge.Us waqt hathiyar apni hathon mein uthane se humara hath zara nahi kanpega.Kyun ki jo humare riyasaat aur Sultan se gaddari karega humari nazar mein woh saza ki haqdar hai."

𝙎𝙐𝙇𝙏𝘼𝙉𝘼𝙏𝙀Where stories live. Discover now