♡CHAPTER EIGHTEEN~

481 19 35
                                    

The Men In Blue were roaming around the city of Melbourne, with their partners

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

The Men In Blue were roaming around the city of Melbourne, with their partners. Shreyas and Trisha walked behind everyone, holding hands while Rishabh walked with Mahi Bhai and Diyanshi walked with Sakshi Bhabi.

"Rishu kaisa lag raha hain abb tujhe?"she asked Diyanshi and she said,"acche hain...bohot."

"Diyanshi acchi lagne lagi hain na tujhe finally?"Mahi Bhai asked Rishabh who looked at Diyanshi once and replied,"nahi...matlab...haan...matlab not in that sense...but acchi hain voh...bohot acchi hain."

"Agar in that sense bhi pasand aane lage toh galat thodei hain. She's your wife. Usey uss nazar se nahi dekhega toh kya padosan ki biwi ko dekhega?"Mahi Bhai asked and Rishabh rubbed the back of his head and said,"kya Bhai..."

"I know you're introvert in certain cases, dekh ke lagta hain ki extrovert hain parr hain nahi. Express nahi kar paa raha hain, hain na?"

"Aisa...aisa kuch nahi hain Bhai. Main...mujhe..."

"Kya? Ageh bol. Isha se hi pyaar hain toh?"

Rishabh looked down while walking and gave a nod.

Mahi Bhai sighed and said,"tera personal matter hain, teri life hain, mera dakhal dena sahi nahi hain but...."

"Aise matt bolo Bhai. Aap guru samaan ho. Idol ho, inspiration ho, bade bhai ho. Bol sakte ho agar kuch mann mein ho toh,"Rishabh interrupted him immediately.

"Toh agar main bada bhai huya, toh tu bhi toh chhota bhai huya mera. Jhijak kiyu raha hain bolne mein? Isha se pyaar hain toh bol."

"Haan main...actually situation na thoda ajeeb hain. Ussey mila nahi bohot din. Pehele miss karta tha abb...matlab yaad aati hain...aisa nahi hain ki nahi aati hain but...I don't miss her like before."

"Haan abb aaya asli baat baahar. Toh accha hi toh hain. You're married now. Focus on your married life. Dekh Rishu, commitment se bhaag jaana toh bohot asaan hain yeh kehekar ki shaadi zabardasti ki hui thi. Par yeh kehena ki shaadi jaise bhi ho, hui hain, ek try kar lete hain phir dekha jayega, this thing, this is tough. Abb tu soch le Keeper, easy stumping karna hain ki difficult wala karke collar upar karna hain,"Mahi Bhai said patting on Rishabh's back and he looked on thoughtfully.

"Toh kya karna chaiye mujhe Bhai?"he asked.

"Dosti nibha, bestfriend bann Diyanshi ka. Itna karle toh wahi bohot badi baat hogi. It's difficult to be a bestfriend. Ek saal ki hi toh baat hain, usme bhi kuch doh mahina guzarne ko hain, bestfriends banke rehe le dono,"Mahi Bhai replied.

"Toh main bestfriend bann jau unka? Par kaise?"Diyanshi asked and Sakshi Bhabi said,"approach him, play mini games with him, like carrom, ludo, yah phir coffee shots and questions, yes that will be great, get to know each other well, usko Billiards khelna aata hain, bolna usko jaake ki tujhe bhi sikhaye. Movies dekh ek saath. Cook together. Do these little things, improve your camaraderie. Ek saal ki hi toh baat hain. Bestfriends banke rehe lo dono. Things will be less awkward."

❤︎🅷︎🅰︎🆃︎🅴︎🆃︎🅾︎🅻︎🅾︎🆅︎🅴︎🆈︎🅾︎🆄︎(COMPLETED)|SHREYAS IYER|RISHABH PANT Where stories live. Discover now