Part - 65

471 42 0
                                    

In previous part Sourabh wedding is going to be in RC mention....
Bondita was coming from left and Anirudh from right ...they both bumped with eachother ....

Bondita :- ahhhh....(holding her head)

Anirudh :- ahhh ( keep hand on his chest)

Bondita :- aab dekh ke nahi chal sakte.
Lag gayi na mujhe...

Anirudh :- mujhe bhi to lagi hai...woh nahi dikh raha tumhe...

Bondita :- aapko lagi kyuki aap dekh ke nahi chalte...

Anirudh :- phir to ye baat tumhar bhi lagu hoti hai...tikhi mirchi...

Bondita :- aap ye har baat main tikhi mirchi kyu late hai maine aapko kabhi kaddu bola hai kya...

Anirudh :- main tumhe tikhi mirchi bolta hu kyuki tum ho or ek minute kaddu kisko bola...

Bondita :- lagta hai aapne thik se suna nahi aap hi ko bola hai kaddu...

Anirudh :- Shikshak babu hu main tumhara kuch to izzat kar lo meri...

Bondita :- udher dekhiye woh kiya (point study) study... waha aap mere shikshak babu hai.. or main aapki bhout izzat karti hu..par waha se bahar aap sirf ek akdu insaan hai jo mujse ladte rehte...

Anirudh :- main ladta hu main... Tum..tum ladti hu abhi main takraya tha ki tum...

Bondita :- aap...

UV :- bussss.....chupp....dono chup karo tumdono ke samne to chuha billi Sharma jaye..hadd hoti hai.. tum dono ka bus chle to dusra vishwa yudh yahi shuru kar do...Anirudh bondita bacchi par tu to bada hai...

Anirudh :- haa kyu nahi tu to issi ki side lega na Ja bewafa dost dost na raha..

UV :- abbe oooo notanki.. chal market jana hai...(Anirudh go with him)

Aashita :- bondita sun chal na ek baar Sampoorna didi se milkar aate hai maine kaka sasurji se puch liya hai..

Mariya :- main bhi chalu tum dono ke saath mujhaie bhi thoda ghume milega...

Bondita :- thik hai chaliye..(they leave) they go to their maternal home..
(Bondita's family and Aashita's family living is same house as the purpose of wedding... )

Bondita :- maa kesi hai aap dono.(they both go and hug their mothers)

Sambhawna :- hum bilkul thik hai tum dono kesi ho...

Kamna dadi (Aashita's granny if you don't remember her check part - 35)
Koi humse nahi puchega hum kese hai....

Aashita :- dadi...(they go and hug her)

Mariya (in mind) :- ooo god this family drama i wish buddy you come here this village girls... I wonder how my buddy tolerate her...

Kamna dadi :- ye kon hai...

Bondita :- daadi ye Mariya ji hai ..(bondita sign her to join hands she did)
Atithi hai (tell her everything how she come in RC mention then everyone hear car horn it was none other that RC's car Anirudh and UV come there along with Sourabh...

Mariya (in mind) :- oo god i think today if i asked you to me and buddy get married...woh bhi pura ho jata i'm so happy..

Sumati maa :- jamai babu aaiye na...(kamna dadi notice Mariya's facial expression while looking at UV)

Kamna dadi(in mind) :- iss ladki ke lakshan hume thik nahi lag rahe Aashi ko sachet karna hoga....

Anirudh :- pranaam daadi maa kesi hai aap...

Kamna :- hum bilkul kushal hai jamai babu aap dono kese hai... Arre humare tisre jamai babu bhi aaye hai.

Anirudh :- darasal dadi maa woh vivah ke liye kuch saman liya hai na Sourabh Sampoorna ko dikha sakta hai kya..

Mammi :- haa haa kyu nahi jamai babu woh udhar piche wale ghar main hai...( Sourabh wanted to meet Sampoorna so he take help of Anirudh and uv to meet her he smile while going ) aap dono bhi aaiye na..
They all go inside...
Inside uv saw Mariya he get angry...they were having lunch.. Aashi was serving him..
UV (slowly) :- tum ye mariya ko yaha kyu layi ho..

Aashita :- woh unhone kaha ke unhe bhi gaon ghumna hai...to..

UV :- to bhej deti na bihari ya koyli ke saath yaha lane ki kya jarrut thi...

Aashita :- vaidh babu..aap..

Mammi :- arre Aashita tere hi pati babu hai bhojan karne de aaram se baat karna..(Aashita go from there)

Outside Anirudh was standing near a tree and look at the place where he marry with bondita...

Anirudh :- main janta hu bondita is vivah ke karan tum kitna suffar kar rahi ho..upar se tum bhale hi kitna khus ho...dikhao ki tum sab bhul gayi ho par main janta hu tum kuch nahi bhuli... galati meri hi hai..agar uss din maine kosis ki hoti to sayad koi hal nikal aata vivah ke alawa.. par tum chinta mat karo wese bhi iss vivah ke koi maine nahi hai.. iss vivah ka asar main tumpar kabhi nahi hone dunga ek baar tum badi ho jao..sab samjhne layak main khud tumhe is anchahe bandhan se mukt kar dunga... Par tab tak main kosis karta rahunga tumhe khus rakhne ki..

Bondita :- biristra babu chaliye bhojan kar ligye maa bula rahi hai..

Anirudh :- sorry bondita ho sake to mujhe maff kar dena (he leave)

Bondita :- inhe kya hua.. jarur subha ke liye maffi mang rahe honge.. Rakshas babu..(she smile)
Inside...

Kamna dadi :- Aashi idhar aa hume kuch baat karni hai..(Aashi go) dekh hum saff saff samjha dete hai ye Vilayti chiriya hume kuch thik nahi lag rahi kya naam hai usska meri.. meriy..meriya... dur rakh usse aapne pati se...warna ye chiriya ek din udd jayegi tere pati ko leke..

Aashita :- dadi ye aap kesi baate kar rahi hai...

Kamna dadi :- ye baal dhup main safed nahi kiye hai humne.. sahi keh rahe hai.. aurrat ke dil main kya hai ye usski aankho main dikhta hai or iss ladki ke lakshan thik nahi to savdhan rehna... Kahi to yuhi mehmano main uljhi rahe or woh tujhe hi uss ghar main mehman bna de..to humari batto ko yaad rakhna...

UV :- essi konsi batte ho rahi hai dadi maa...

Kamna dadi :- arre jamai babu.. kuch nahi esse hi bus jiwan ka thoda gyan de rahe the isse...

UV :- ooo aachi baat hai wese bhi Jarrurt hai aapki poti ko...(kamna dadi laugh aashi look at UV)

Bondita :- abb wapas chle sanjh ho gayi hai kaka sasurji intazaar kar rahe honge...(they all leave to RC mention)

To be continued...



Till Eternity Where stories live. Discover now