Part - 98

586 42 0
                                    

In previous part they again saw ganga...
They go towards ganga...
Bondita :- ganga...(she turn )

Ganga :- aap... Aap dono yaha...

Bondita :- ganga aaj aapko sab batana hi hoga aap aise nahi ja sakti..kya hua tha payal ke saath....

Ganga :- dakiye aap kyu itna pareshan ho rahi hai... Ye sab humesa se hota hai aa raha hai humari stithi kabhi nahi badlegi...

Anirudh :- agar aap kosis karenge to jarrur badlegi..

Yuvraj :- par usske liye aapko aage kadam badhaane honge...(arun come)

Arun :- chaliye guru maa...(he saw bondita and aashita) aap dono yaha.. (he saw Anirudh and yuvraj and hide behind ganga) dekha guru maa kaha tha na aapse kisi pe Bharosa mat kigye dekhiye aa gaye na ye log mujhe pakadne...

Aashita :- arun please shant ho jaiye.. koi aapko nuksan nahi pahuchayega

Bondita :- ganga batiye na .... Hum aapki madad karna chahte hai...

Ganga :- payal teen saal ki thi jab hum usse laye the.. usske ghar walo ne ladki hui hai ye keh kar usse chorahe par chhod diya tha.. par jab woh dus saal ki hui to humesa ladkiyo ki tarf akarshit ho jati tab hume pta chala ki woh baki aurrato ki tarah nahi hai ek samlangik hai.. phir kuch din baad arun mila usske maa baap ne bhi usse isliye ghar se bhar nikal diya kyuki arun ladko ki tarh akarshit hota tha hum indono ko ek saath pala... Par saal bhar phele gav ke hi ek adami ko payal se prem ho gaya woh humse payal ka haath mangne aaya payal ne saf mana kar diya phir pta nahi kaise uss aadmi ko pta chal gaya ki payal ek sadharan stri nahi hai..phir khud ko samaj ke thekedaar kehne wale in patthar dil logo ne payal ko itna jalil kiya itna pareshn kiya ki tang akar payal ne nadi main kud kar aapni jaan de di... Isliye aaj tak arun ko sabse chupate aayi hu main.. ye dono hi to the jinke liye main ji rahi hu agar arun ko kuch ho gaya ye ganga jite ji mar jayegi..

Bondita :- Arun ko kuch nahi hoga ganga main wada karti hu aapse... Aap logo ko is samaj main rehne ka adhikar jarrur milega (they come back to rc mention)

Bondita was sitting alone near window

Bondita (in mind) :- bhout galat hua payal ke saath... Ye sahi nahi tha... Jitna main janti thi samjhti thi ye samaj usse bhi kahi jada gira hua hai kaise insaan hai ye log insaan hokar insaan se itni nafrat kaise kar sakte hai... Dugga maa sabhi ko aapne banya to aapki rachna main ita fark kyu.. kyu ek insaan dusre insaan ke saath khus nahi reh sakta... Aapka gira hua prasad log utha kar mathe par laga lete hai to Insano ko to aapne khud banaya hai na...kya farq tha payal or har uss aurat main jisse uski tulna ki gayi..insaan to woh bhi thi na...un sabko samaj main rehne ka adhikar jarrur milega (she wipe her tears then Koyli enter)

Koyli :- bahurani ji bade malik aapko niche bula rahe hai.. bhojan ke liye...

Bondita :- chaliye (she go with her)

In dinning table
Everyone is having dinner bondita is still thinking about payal

Batuk :- bodhi... Rosogulle do na(she gave him bowl of salad batuk look at her shockly Aashita come from kitchen)

Aashita :- Bondita tu thik hai na..

Bondita :- haa..haa mujhe....mujhe kya hua hai...

Batuk :- bodhi aapne mujhe rosogulle ki jagha sallad de diya or aap keh rahi hai aap thik hai..

Bondita :- shama karna batuk (she gave him rosogulle)

Anirudh(in mind) :- bondita jarrur payal wali baat ko lekar pareshan hai..

Till Eternity Waar verhalen tot leven komen. Ontdek het nu