Chapter 121

4.7K 343 15
                                    

Baaz- arre kya koi missile wagera banane ki tayari kar rahe ho tum dono kahi iss ghar ko udane ka irada to nahi hai na jo itne serious ho dono .

Preeti di- tera dimaag humesha ulta kyu chalta hai .

Sana- kyuki ye khud hi ulta hai Isis liye haaye rabba maa kaise jhelti hogi isse dimaag hi kharab kar deta hoga .

Baaz slaps her on her head - mai kyu karunga pareshaan tu nahi hai isliye maa itni khush hai hum bohot maze karte hai tu jyada  na bol .

Preeti -  haa roz kuch na kuch naya try karte hai dono pta hai ek din ye kuch bana raha tha maa ke liye bola kuch special banaunga aur pta hai uss din kitchen jalte jalte bacha hai aur jo halat thi kitchen ki aisa laga ki koi earthquake aa kar gaya waha .

Maa aur mujhe 4 ghante lage uss sab ko saaf karne mein uss din ke baad maa ne isse kitchen mein ghusne nahi diya akele ki kahi phir se aisa kuch na karde .

Sid was laughing mess listening to the incident .

Sana- hayee maa ka kaam bhada raha hai tu khotte help to kya karega .

Preeti - arre use kyu daant rahi hai wo hai to maa ka mann bhi laga rehta hai aur maze bhi bade karte hai dono pta hai ye maa ko har weekend movie dikhane le jaata hai aur pura day  out hota hai maa bada enjoy karti hai aur nachhe bhi jaate hai inke saath   bada hi enjoy krte hai ye sab hum nahi jaa pate neetu di aur mai kyuki ghar par thoda kaam rehta hai .

Sid- wahh chote mai badi minnat karta hoon maa se tab jaa kar ek baar bahar chalti hai aur tu har week le jaata hai ye to koi magic kar diya hai tune maa par .

Baaz- mai par aapko bada miss karta hoon party nahi ki maine ek baar bhi jab se aap yaha ho sehenshakti dekh rahe ho aap bande ki .

Sid- koi na chotte yaha se niklane ke baad karenge party bsa kuch din aur .

Sana- haa bas shuru ho gaya inka .

Other housemates starting to came out from inside as their is no task today so all are free .

Vishal came to baaz -aur bhai kya baat chal rahi hai .

Baaz- kuch nahi bas apne khadoos jiju ki baat bta raha tha ki wo kaise hai kabhi kabhi lo mlagta hai ki bade punya kiye honge ki itne ache jiju mile hai par kabhi lagta hai ki nahi khud ke paapo ka nateeja hai jo meri behen ko jehlene ki saza mili hai .

Sana- kutte tu ruk .

Sid- ye sahi bola tere jiju ki kismat hi bhagwan ne badi fursat se banai hogi .

Vishal- aap jaanted hai baaz ke jiju ko .

Sid- nahi...nahi ..wo jab ye aisa hai to iski behen bhi aisi hi hogi ab sana ko hi dekhlo to isliye bola .

Vishaal- acha .

Sana- acha to mujhe jhelna bada mushkil hai thk hai koi baat nahi ab  mai jaloos nikalungi matlab apni di ko bolungi ki jaloos nikale jiju ka wo bhi ache wala  badi kharish hai unhe akal thikane aa jayegi .

Sid- abee kya hai yaar kya baat kar raha hai tu bhi bas kar .

Vishal- bade khadoos hai tere jiju ?

Baaz- nahi nahi wo khadus to baad mein hai abhi to mujhe lagta hai  joru ke gulam wala mode hone wala hai .

Vishal- khadus hai tab bhi joru ka gulaam ?aise kaise bhai .

Baaz- haa jab meri behen root jaati hai to uska sir bhi dabate hazi pair bhi dabate hai chai bhi banate hai uske peeche peeche ghumte hai jab wo naraz ho jaati hai to pura manate hai humein bhi abhi pta laga jab humne dekha pehle humein bhi nahi pta tha ki wo aise hai .

Sid- bas kar jaa kitna jaloos nikalega apne jiju ka .

Vishal- aree sid ji aapko kyu bura lag raha hai wo apne jiju ke baare mein bol raha hai aapto aise react kar rahe hai jaise aapke baare mein bol raha hai .

Sid- mere baare mein ...nahi ..mere bare mein kyu bolega mai isliye bol raha hoon national television par hai to sab sunenge acha thodi lagega .

Baaz- nahi iss mamale mein bade cool hai wo kuch nahi bolenge 

Sid- abee chal acha koi aur baat bta .

Baaz- acha pta hai ye devo hai na ek din isne sana ke baare mein bohot kuch likha tha matlab iski koi dogie thi usko compare kia usee pta hai pehle mai kuch nahi bola phir mujhe iske fans ke message aaye ki aap bhi kuch bolo to maine bhi likh dia kuch aisa hi pta hai sana ke fans ne kiytna trolled kiya isse maza hi aagaya tha .

Sid- sach mein tu alag hi piece hai .

Baaz- yaha tum log rehte kaise ho matlab jhagde ke alawa bhi kuch karte ho kuch entertain karo humein hum guest hai tum logo ke .

Vishal- humare paas to content nai hai tu bahar se aaya bhai tu hi bta kuch .

Baaz- acha chalo maine jo analyse kia hai tum sab ke baare mein mai wo batata hoon ek ek karke .

Vishal- chal thik hai .

Baaz- sabse pehle tu hi tujhe bada shauk hai mujjse sunne ka to sun .

tu na bada hi bewakoof lagta hai mujhe matlab waise banda bura nahi hai tu par harkate teri aisi hai jaise itni achi bandi mili hai aur tujhe ladne se fursat nahi hai pehedl jab aaya to laga ki koi bomb aaya hai par nikla kya fussi bomb ,matlab total flop .

paras isse bada shauk tha play boy banne ka matlab har ladki ke peeche har ladki se connection banana tha isse wo jaise kishan kanahiya samjh raha tha khud ko par kisi ne bhaav nahi dia aur jo deti hai usse ye nahi deta .

Mahira ye to alag hi masla hai matlab iski aawaz aisi hai ki kaano mein na chubti hai bohot che che sir dard ho jaata hai mera kabhi kabhi par iska wo hai na mat kar na yaar mummy dekh rahi hogi wo bada mast hai .

Asim- wo to bas gym mein laga rehta hai bas body banani hai usse matlab jab bhi dikhyta hai gym ked aas paas hi dikhta hai bahi koi utha ke nahi le jaayega gym jo tu chauki daari karta hai iski matlab tere hisaab se to ladkiyan tujhpe flat ho jaayegi par bahi dhyaan rakhio kahi tu hi na flat ho jaaye iss chakar mein .

Rashmi wo to meethi churi hai kazb waar kar de pta nahi abhi bhi kuch na kuch chal raha hoga iske dimaag mein matlab log khali time mein sochte hai ye har waqt koi na koi planning karti hi rehti hai khana bana rahi hai to planning baithi hai to planning wo alag baat hai koi kaam nahi aati koi sunta tak n ahi hai .

Aarti  aapko to bahar abdullah bulate hai sab kyuki aap sab ke matter mein itne involve ho jaati ho ki matter jiska hota hai aap usse apned upar hi le aati ho sab ek taraf aur aapka independent ka naara ek taraf .

Sana to meri behen hai uska kuch bola to yaha se naak tudwa kar jaunga mai par iss ghar ki entertainer to wahi hai .

Aur sid wo to alag hi hai ghar ka pahad jaisa aadmi jisse sab darte hai par wo meri bahen se darta hai .

All laughs listening to this.

.

.

.

here is the next update hope you will like it .  

Sidnaaz an emotionजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें