Chapter 46

5.5K 390 15
                                    

Next day:

Inside secret room:

Madhurima -yaar yaha kitni shaanti hai na kisi ki chai chai na bak bak sab kitn ashaant hai na .

Sana- itna kyu ghuma rahi hai saaf saaf bol maasi ko miss kar rahi hai .

Madhu- mai kyu miss karungi use mai to khush hoon ki usse door hoon .

Sana- acha lag to nahi raha hai aur .

Madhu- arre sach mein tu jyada na soch.

Sana- agar itna hi door rehna tha to show mein kyu aai .

Madhu- to uske liye thodi na aai hoon apne liye aai hoon .

Sana- chal abhi jaane deti hoon par ye topic abhi over nahi hua hai .

Madhu- haa haa dekh tere shukla g aa gaye .

Sana- haaye mera kullu mai bohot miss kar rahi hoon isse.

Madhu- haa tu to kar hi rahi hai par wo tere se jyada miss kar rahe hai tujhe dekh subha subha kaise pillow ko hug kia hua hai jaise tu hai wo pillow.

Sana- hmm she was just looking at him .

Madhu- acha ek baat bta tum dono ka kya hai scene.

Sana- kya scene hai matlab?

Madhu- matlab you have feelings for him  sab ko dekh kar to ye hi lagta hai .

Sana- tu pehle apna clear kar jis din kar degi mai bhi kar dungi tujhe clear ki mera kya hai .

Madhu- done.

Inside:

Vishal,aarti, mahira ,paras,asim ,sid ,vikas shefali ,himanshi ,rashmi , bhau, shefali B were sitting .

Shefali B - yaar kya khaali khaali ho gaya hai ghar na to sana hai na hi madhu mann hi nahi lag raha hai .

Asim- haa wohi to sab kitna pheeka hai jaise koi ho hi na ghar mein sana nahi hai to koi entertain bhi nahi kar sakta .

Mahira - nahi aisa kuch nahi hai hum sab bhi to entertain karte hai hai na.

Paras- par sana ki baat hi alag hai wo sabka mann laga kar rakhti hai khud bhi khush rehti hai dusro ko bhi rakhti hai .

Vikas- haa wo to hai uska koi match hai hi nahi .

Vishal - aap jaante ho sana ko .

Aaarti- haa vikas tu jaanta hai sana ko.

Sid glare vikas for this .

Vikas- arre nahi personally nahi par maine big boss dekha hai sirf episode hi nahi unseen bhi to isliye bola ki uske jaisi koi nahi hai .

Shefali Z- par wo bohot irritating hai tum logo ko wo entertainer lagti hai mujhe to nahi lagti hai.

Himanshi- haa shefu mujhe bhi nahi lagti wo entertainer wo sirf acting karti hai fake hai wo bohot jyada sirf camera ke liye karti hai .

Bhau- jab maine bahar se dekha mujhe bhi pasand aai thi par ab to mujhe bhi achi nahi lagti uska bohot jyada hota hai jaise wo karti hai apun ko to sab bakwas lagta hai.

Sid- to jaroori thodi hai sabki pasand achi ho kisi kisi ki bekaarf bhi hoti hai .

Rashmi- haa jaise teri to bohot achi hai na .

Vishal- aap log kaha ki baat kaha le kar jaa rahe ho baat sana ki chal rahi hai .

Rashmi- wo le kar gaya .

Sid- maine tumhe nahi bola hai to tum chup raho.

Arhaan- haa sid bhau ko bol raha tha tumhe nahi.

Sidnaaz an emotionWhere stories live. Discover now