Chapter 47

5.9K 417 26
                                    

Next day there was a task in which house mates have to act on the orders given to them by big boss and these orders will given to them by none other than Madhurima and Sana.

Sana - ab aayega maza aaj karwate hai inse kuch ache kaam abhi tak to inka chalta aa raha hai aaj humari baari aai hai .

Madhu - haa chal bta kis se kya kya karwana hai .

Sana- sabse pehle ye arhaan mujhe kuch khaas pasand nahi hai to isse sirf ghar ka kaam de dete hai .

Madhu- haa mujhe bhi to isse kitchen ki safai de dete hai .

Sana- thk hai next Bhau.

Madhu- aaj inhe kaam wali bai banne ko bolte hai saadi wagera pehen kar bada maza aayega .

Sana- haa pura make-up laga kar .

Madhu- haa ab mahira isse aaj pura din Paras se door rehne ke liye bolte hai aur wo jo bhi bole uske against bona hai .

Sana- nahi kar paayegi ye .

Madhu- tabhi to aur maza aayega  ab next paras.

Sana- iska to mujhe kuch samajh nahi aata na mujhe kuch dena hai tu hi de de isse.

Madhu- aaj isse toilet saaf karwate hai .

Sana- thk hai ab shefali B umm...isse bol jhadu lagaye dekh kitna ganda hai ghar lekin saari pehen kar .

Madhu- ye saari chal dekhte hai kaise karti hai ab asim isse bolte hai  himanshi ko irritate kare  bada maza aayega jab isne himanshi ka letter trash kia tha na bada maza aaya tha  

Sana-Thik hai to himanshi ko kya dena hai .

Madhu- khud ki 5 buraiya kare waise to ye bohot aasan hai itni saari hai 5 to bohot aaram se bol sakti hai par koi na isse ye hi de dete hai .

Sana- wo nahi bolegi.

Madhu- to acha hai na task se bahar ,Shefali Z isse kya de isse aaj bathroom saaf karwate hai aur bolte hai saath saath paras se ladai bhi karti rahe .

Sana- aaj pure mood mein hai tu .

Madhu- aur nahi to kya .

Sana - Massi se kya karwana hai .

Madhu- pole dance wo bhi saari pehen kar .

Sana- saari mein kaise karega .

Madhu- wo usse dekhna hai aue baar baar beech mein jaa kar muh bhi dhona hai .

Sana- muh kyu dhona hai?

Madhu- paani phekne ki wajah se hi to mujhe secret room mein aana pada na to ache se paani se muh dhulwaungi ab .

Sana- tu sahi hai  band baja rahi hai task ke naam par .

Madhu- aur nahi to chal next vikas ye thik laga mujhe to isse kya de .

Sana- sab ka kaam kharab karwa dete hai vikas se maza aayega .

Madhu- haa ye thk hai aur rashmi .

Sana- ye dance karti rehti hai na to isse clown bana dete hai aur bolte hai ghar mein sabko hasao .

Madhu- ye rula sakti hai hasa nahi chal koi nahi dekhte hai .

Sana- ab sid ki baari isse kya doon .

Madhu -ismein mai kuch nahi bol sakti it's your call darling .

Sana- Isse ache se tayar karwate hai aur dance karwate hai chikni chameli par aur last mein vishal aur sid dono ko pole par couple dance karate hai maza aa jana hai .

Sidnaaz an emotionजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें