"Maa bete ke beech kuch dard bhari baate💔💔"

315 33 17
                                    

After the heated argument, Shehnaaz was taken to ot..and all Sid could do was sitting outside the operation theatre and praying for the ot to be successful..

"Bhagwan please Naaz ka ot thik tareeke se hojaye..bas woh pehle jaise apne di pairo par chal paaye aur phirse apne purane life mein wapis chali jaaye"prayed Sid looking upwards with tears in his eyes...

While he was lost in his thoughts, someone kept hand on his shoulder..
he turned around to see Maa standing there with smile on her face..

"Maa aap.."saying so he hugged maa tightly, while Rita ji could do was caressing his hairs lovingly..

"Kitna time laga Diya aapne aane mein...mujhe aapki jarurat thi"said Sid like a child while hugging Rita ji...

"Baccha mein aagayi na..chinta karne ki koi baat nahi , aur yeh kya..tere aankho mein aansu?" asked Rita ji wiping his tears with concern lacing in her voice...

"Kuch gir Gaya hoga aankho mein..mein kyun rounga"said Sid wiping his tears and looking here and there not meeting her eyes..

Rita ji smiled and turned his face towards her and said,"Maa hoon mein teri, yeh tu bhul Raha hai..tere kuch bolne se pehle hi mein samaj jaati hoon tujhe kya hua hai..Naaz ki chinta ho Rahi hai na?"

"Ha ho rahi hai chinta, jo bhi ho meri biwi hai , chinta toh definately hogi"said Sid hiding his feelings...

"Tu Maan abhi bhi tu use pyaar karta hai.. aur tune toh mujhse apni feelings share ki hai toh ab kyun chupa Raha hai..?"asked Rita ji..

"Maa mein pyaar karta hoon usse aur bahut hi karta hoon, par mein use yeh janne nahi dunga..aur waise bhi ek week baad mein use divorce de Raha hoon..toh yeh feelings mein apne andar humesha ke liye dafan karna chata hoon"said Sid with tears in his eyes..

"Divorce?Par kyun?Tu khud hi decision nahi le sakta..woh kya chati hai..use pucha tune uski raaye?"asked Rita ji with anger filled voice..

"Main use apne se aajad karna chata hoon jisse hum dono ka hi bhalai hai..humara alag hona behtar hoga..aur woh yeh divorce nahi chati..aur kyun hi mein usse puchkar divorce file karoon..jab apne aashiq ke saath laad lada rayi thi , jab mujhe Tod kar apne aashiq ke saath humare ghar se chali gayi thi..tab toh mujhse nahi pucha ..toh mein  kyun accha Banu humesha?"asked Sid with rage filled voice remembering his miseries..

"Baccha ek chance toh sabhi deserve karte hai na..tu bhi dede ek chance..usne bahut bara gunaah Kiya tha tujhe dhokha dekar..par ab woh bahut guilty feel karti hai apne karmo ke wajah se..mujhe pata hai..sab bhulna mushkil hai par hum koshish toh kar sakte hai na riste sudaarne mein..aise hi mat Tod de baccha yeh rista..kyunki rista jodne mein jitni mushkil hoti hai..tootne mein samay bhi nahi lagta..bas ek baar meri baato ko soch ache se beta"said Rita ji kissing Sid's forehead..

"Maa kya kuch nahi kiya meine humare riste ko bachane mein, use taunts , insult sab sehen kiya haste huye..apne taraf se puri koshish ki meine humare riste ko ek Naya roop Dene keliye..but uske taraf se humare riste mein uska koi yogdaan nahi tha..mein sochta tha..kabhi toh woh mujhe samjhegi, kabhi toh mujhe us shiddat se mohabbat karegi jaise mein karta hoon..par nahi badle mein usne mujhe bewafayi aur gam hi diye hai..agar use uske so called aashiq se dhokha na milta ya uska career doob na jata toh usko kabhi apni galti ka ehsaas bhi nahi hota aur na hi woh yaha aati phirse wapis.. mushkil mein thi isliye use is Ghar ki yaad aayi ya meri aur aap sab ki yaad aayi..nahi toh woh kabhi is Ghar ko murkar bhi na dekhe..aur mujhe bhi us jaise bewafa biwi ke saath rehne mein koi interest nahi..mein use humesha se mohabbat karta rahunga..akele reh lunga par uske saath kabhi nahi reh paunga "said Sid in his broken voice opening up his inner pain..💔💔

"Par baccha ek baar.."Rita ji was interrupted by Sid 's words..

"Ab mein is baare mein koi baat nahi karna chata maa.. mera decision ab nahi badlega..aur mein aapko yeh daawe ke saath keh sakta hoon.."said Sid with unknown determination in his voice..

"Beta par ek baar apna decision soch Lena jab tu shaant baithega"said Maa with faint smile ....

"Par sochne ki koi jarurat nahi paregi maa..yahi mera akhri decision hai"said Sid in response with a stern face..

After one hour,

Doctor came out of the operation theatre, to which both Sid and Rita maa went towards him and asked..

"Doctor sab thik hai na..kuch hua toh nahi na Naaz ko?"asked Sid getting worried..

"Calm down Sid sab thik hai...and the operation is successful..do tin din baad she can be discharged aur woh pehle ke tarah chal payegi aur ab use supporting stick ki jarurat bhi nahi paregi.."said Doctor with a small smile in his face..

"Thanks a lot doctor..thanks for treating her"said Sid with happiness taking a sigh of relief while Rita ji thanked God looking upwards for Sana...

"Yeh toh humara farz tha Sid..ab mein chalta hoon..aur ab tum sab patient se mil bhi sakte ho"said Doctor patting Sid's shoulder and goes from there..

"Maa aap usse Milne jao..use aapki jarurat hogi"said Sid while turning towards Rita ji..

"Par beta tu uska pati hai na..Tera waha jaana jaroori hai"said Rita ji in return..

"Nahi maa , mujhe kuch kaam hai..mein chalta hoon..please usse milkar mujhe phone mein bata dijiyega ki woh kaisi hai"saying so Sid turned to go but Rita Ji's words stopped him..

"Agar itni hi chinta hai toh khud mil kyun nahi leta baccha...?"asked Rita ji with tears in her eyes..

Closing his eyes, Sid took a deep breath and said"Maa bas mein ab usse duri baratna chata hoon..agar aadat lag gayi phirse toh churane mein aur bhi mushkil hogi..kyunki ab yeh Dil aur jakham nahi le sakta jab purane jakham hi taza hai ab bhi" saying so he went away leaving a worried Rita ji behind..

"He uparwale ab aap hi mere baccho ko phirse ek kar sakte hai, bas sab thik hojaye"prayed Rita ji in her mind and went to meet Naaz ....

Pyaar Mein Dard Hai(Completed❤️)Where stories live. Discover now