Chapter 4: First Alliance

185 26 100
                                    

Nandini was getting ready for the dinner party, she wore her earrings. Karan was waiting for her, he said "jaldi karo Nandu.."

"Offo Karan.. Mere bete ka promotion hua hai! Aur hum kitne samay baad 5 star hotel mein dinner karne jaa rahe hai ache se taiyar hone do mujhe" Nandini replied putting bindi on her forehead.

Karan sighed deeply "Taiyar toh aise ho rahi ho jaise wahi tumhe Aaru ke liye ladki mil jayegi" he murmured.

Nandini laughed, she turned and said "Aapke muh mein ghee shakkar.."

Karan shook his head and walked out of the room as she was taking forever to get ready. On the way he collided with Anoop.

"Chote.. Sambhalke" Anoop said

Karan smiled and both the brothers waited for their respective wives into the courtyard. Anoop was looking around, Karan asked "kye dekh rahe ho bhai?"

"Karan.. Ye pushtani ghar! Jisse bahut marmat ki zaroorat hai soch raha tha Aarav ki shaadi se pehle renovation ho jaata toh" Anoop replied.

"Don't worry bhai.. Ab toh Aarav ka promotion ho gaya hai ghar ka renovation ab jaldi se jaldi ho jayega" Karan assured him.

"Main jaanta hun Karan.. Par mujhe chinta hai Aarav ki" Anoop shared with him his concern.

"Kaisi chinta bhai?" Karan asked.

"Tumne dekha na kya hua uske saath office mein.. Itna seedhapan kis kaam ki dusre uski achai ka fayda uthake taraki paane ki koshish kare" Anoop spoke.

Karan smiled lightly, he said "bhaiya.. Abhi toh usne apni zimmedariyan li hai! Dheere dheere sab seekh jayega aur jab biwi aayegi toh thoda bahut shatir bhi ho jayega"

"Acha.. tumhara matlab hai Nandini ke aane ke baad tum shatir ho gaye ho?" He asked teasingly.

"Thoda bahut lekin biwi ke aage meri kaha chalti hai hota wahi hai jo biwi chahti hai aur aapki bhi bhabhi ke aage nahi chalti hai" Karan comments.

"Baat toh sahi hai teri chote! Pooja aur Nandini aayi toh ye ghar ghar bana.. Ab Aarav ki patni aayegi toh mere bete ka jeevan bhi sawar jayega" Anoop said dreamily.

"Aisa hi hoga bhai.." Karan replied.

Anoop smiled, he glanced at the clock hanging in the corridor. It showed 7.30pm "ye pooja aur Nandini ka samajh aata hai lekin ye dono ladke kyun itna time laga rahe hai ready hone mein?" he asked.

"Pata nahi bhai.. Aaru.. Ani.. jaldi aao neeche" Karan shouted.

Aarav's Room

Aarav enters the room and is shocked to find his clothes on the bed. He glanced at his closet which was left open. He hits his hand on the forehead as Aniket must have done it. He arranges back his clothes into the wardrobe.

Aniket appears from behind and keeps his hand on his shoulder "Dada.. ye sab ab meri bhabhi ko karna chahiye" he said teasingly.

Aarav turned and made a face "phir se shuru ho gaya tumhara!"

"Come on dada.. Ek bhi dhanga kapda nahi hai aapke paas! Aapse achi shirt toh papa aur chote papa ke paas hai" Aniket complained.

"Haan toh unke paas hona bhi chahiye.. Tumhe mil gayi na apne pasand ki shirt? Ab chale neeche papa aur chote papa kabse chilla rahe hai '' Aarav replied and walked towards the door but Aniket held his hand.

He pulled back towards him and said "dada.. Promotion hua hai na aap ka! Aur kuch dino mein ladkiyan aapko dekhne aayegi hamari naak hame bahut pyari hai isliye kal aap mere saath shopping pe jaoge"

Chupke Chupke (Completed) Where stories live. Discover now