Ahsas 💟

303 25 35
                                    


izzah umar suliman aur urooj ek table kay ird gird baitay huway thay . zarak apnay dosto kay sath kara tah . lekin nazray bar bar izzah ki taraf beikhtiyar uth jati . woh dosto ko chor kar izzah logo kay table kay paas aya tah .urooj k paas akkar sar jhukaya tah . izzah ko ghusa dilanay ki koshish thi .

" kaisay ho beta " urroj nai muhabat se uskay sar par hath rakh kar kaha .

"bilkul shandaar " zarak muskuraya tah

"awo yaha baito na " urooj nai apnay pas rakhi huwi kursi ki taraf ishara kiya tah . urooj kay ek taraf izzah baiti huwi thi . aur dosray taraf ek kursi chor kar umar baita tah . urooj nai us khali chair ki taraf ishara kiya tah

" jo hukam khala . bs es chair par nahi bait sakta . baba par gaya hu zan mureed " umar suliman aur urooj ka qehqaha buland tah . zarak kay chehray par shokh se muskurahat namudar huwi thi . woh izzah kay paas khali chair par baita tah . izzah kay muh kay zawyay begray thay

"tumhay pata tah . mera baita mujh par jaye ga . tumhari beti ka khob khyal rakay ga .es liyay itni jaldi izzah ka hath de deya tah " umar suliman urooj se mukhatib thay

" haan . mujhay pata tah shayad" urooj hansi thi .izzah waha se uthi thi . bina kuch kahay . woh tora door gayi thi jab urooj nai awaz lagayi woh shayad kuch soch rahi thi ek dam se muri thi .

pas manzar mein gana laga huwa tah

Thodi jagah de de mujhe
Tere paas kahin reh jaaun main
Khamoshiyaan teri sunu
Aur door kahin na jaaun main

Apni khushi deke main tujhe
Tere dard se jud jaaun main...

Apni khushi deke main tujhe Tere dard se jud jaaun main

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.


uskay frok ka sara gher phela tah . jaisay ruqs kar raha ho. zarak nai woh manzar jaisay apni ankho mein qaid kar kay khud mein jazab kar liya tah .

Hoon besahara tere bina main
Tu jo na ho to main bhi nahin
Dekhun tujhe yaara jitni dafaa main
Tujhpe hai aata mujhko yaqeen

Sabse main juda hoke abhi
Teri rooh se jud jaaun main

"izzah beta zarak kay sath tasveray bana lo . dono boht khobsurat lag rahay ho Masha Allah se " urooj nai muhabat se kaha tah

" jaisay ap ka hukam saasu maa " zarak aglay he lamhay utha tah jaisay ese lamhay ka intezar kar raha tah . izzah ka hath pakar kar hall kay dosray taraf aya tah jaha photographer tasveray bana raha tah . zarak ko dekh kar . larkiya waha se hati thi . zarak izzah kay sath waha kara huwa tah . izzah ka muh begra huwa tah .

" tumharay abbu dekh rahay hai izzah acha nahi lagta " zarak janta tah izzah ko kaisay qabo karna tah.izzah nai sar uthaya toh dekha sirf naeem sahib nahi bilkay poray hall walo ki nazray es naye shadi shuda joray par markoz thi

izzah nai chehray par na chahtay huway muskurahat sajaye thi . photographer nai dono ko pass anay ka ishara kiya tah . zarak uskay aur bhi qareeb huwa tah

Hasad kay baad Malal ( Mukamal complete)Where stories live. Discover now