Zah E Naseeb 🧡

338 25 7
                                    

Izzah hath mein woh dress lekar bahir ayi toh Zarak ko apna muntazar paya. Zarak ab bhi muskura raha tah. izzah waha rukh gayi . us ki nazday Zarak kay joto par thi . Zarak nai khaki (brown) color ka pant pehna huwa tah . jis kay sath brown hi color ka check wala shirt pehna tah shoes bhi brown thay . zarak aksar matching he pehnta tah jis se us ki shakhsiyat aur bhi nikhar jati thi.

"Ese bhi pack kar do" Zarak izzah kai paas aya us kay hath se kapra le kar sales man ko pak radi .

" Chalo ab yeh shoes shadi kay bad tumharay . bilkay mera sab kuch tumhara hi toh hai " Zarak nai us ka hath pakra aur hanstay huway usse counter kay pass le aya jaha par . sales man nai 4 5 shopping bags pack ki huwi thi .

" Size toh tek thi na " zarak nai akhri bar tasdeq ki

" G " izzah nai mukhtasar jawab diya us ka hath ab bhi zarak hai hath mein tah . Us kag liyay yeh sab kuch boht ajeeb tah. Shayad woh zarak kay es nadaz ki addii nahi thi . shayad uskay liyay yeh yaqeen karna mushkil tah kay jo ho raha hai woh haqeqat hai . usse yeh ek khwab hi toh lag raha tah. ussay ps itni khabar thi. yeh ajeeb jo hora ha tah . usse acha lag rah tah. us kay hath mein hota toh waqt ko yahi rok leti .

Zarak nai us ka hath chora toh izzah nai bina sochay samjhay phir se pakar liya . Zarak nai chehra us ki taraf mora tah. ussay izzah ki ankho mein dar dekhaye diya tah . kohnay ka dar . sales man ki wajah se kuch bhi na keh saka . doaray hath se wallet nikala tab izzab ko apni bekhabri ka ahsas howa. woh khajal si hogayi . zarak ka hath chor kar sar sharam se jhuk gaya . zarak nai credit card sales man ko diya .

" kahi nahi ja raha " Zarak nai muh izzah kay kan kay qareeb kiya . izzah ka sar aur jhuk gaya .

Sales man nai Credit card wapis kiya. dosra worker bags utha kar zarak kay peche rawana huwa . Zarak nai Izzah se Us kay gari ki chabiya lekar bags waha par rakhwa diyay.

" Tum Husna logo ko join karo mein chalta hu" Zarak nai sales man kay jatah he izzah ki taraf muh mor kar kaha .

" Ap nahi a rahay ? " Izzah ko zarak se baat karna intehai mushkil lag raha tah.

" nahi . mujhay koi shoq nahi apni biwi kay samnay dost se bexati kawo " Zarak nai muskura kar jawab diya

" kya matlab " izzah nahi samjhi

" usse toh moqa chaheyeh mujhay tumharay hawaly se chere . aur es bar toh us kay sath husna bibi bhi hai . meri afiyat issi mein hai mein chala jawo . acha toh mein ab chalta hu" zarak nai tafsel se bataya . aur rawana huwa.

Izzah ko shayad uski qurbat se ishq honay laga tah. Woh nervous bhi hoti lekin ussay is nervousness se muhabat thi . Woh zarak ko apnay pass hi dekhna chahti thi . ussay mahsos karna chahti thi .Izzah nai muh mora restaurant ki taraf jab Zarak nai " izzah " keh kar ussay pukara . Zarak ki taraf rukh wapis mora

" mujhay tumse zarori baat karni thi . shukar hai yaad aya. " Zarak nainuske pas akar kaha .

" G " izzah nai mukhtasar sa jawab diya .Zarak ap apna wallet nikal raha tah pocket se

" izzah . tumhay sab pata hai . mein kisi happy aur loving family se belong nahi karta. mera taluq ek totay aur bikray huway khandan se hai . aam larkiyo ki tarah tumharay liyay koi kuch nahi khareday ga . jo kay shayad larkiyo ki khwaish hoti hai. mujhay zyada ilam toh nahi .bs arsalan ki bato se itna andaza kar saka hu is liyay yeh credit card tumharay pass hi rahay ga. tum jitna kharch karogi mujhay Khushi hogi. " Zarak nai Credit card Izzah kay hath mein pakraya. Zarak kah lehjay mein kich tah jis ki waja se izzah mana nahi kar pAye .

" Apna khyal rakhna " Zarak krh kar chala gaya . Izzah wahi kari rahi pehle uski pusht ko takti rahi phir uski gari ko jab gari ankho se ojal huwi toh ek anso ankho se nikal kar rukhsar ko bhigo gaya

izzah khud se hum kalam huwi.
' zarak itni muhabat na do kay kal agar kami a'ay es muhabat mein toh mein khud ko adhura mehsos karnay lago . Pehle mein hoor aunty kay bete se ishq karnay lagi thi agar woh koi bhi hota mujhe es se farq nahi parta. lekin ab mujhay Zarak tum se ishq honay lagi hai.....' Izzah nai hatheli kay pusht se anso saf kiya aur restaurant ki taraf rawana huwi.

...... 🌺🌺🌺🌺🌺🌺 .......

" Arsalan bhai kaha hai " Izzah nai Husna ko akele bete huway dekha tohnpoch liya

" Zarak nai message kiya tah unhay . un kay sath he chalay ga ay " Husna nai Chamach ko plate pe rakhtah huway kaha

" kyun " Izzah nai toh Arsalan ko jatay huway nahi dekha tah . es liyay poch liya

" Kyun kai meri behna . time dekho kya horaha hai. hum nay lunch kar liya toh woh chale ga ay. Zarak kay sath tumhay Dunya wanma fiha ( Dunya mein jo kuch hai) ki khabar ho toh pata chalay na waqt ka " husna nai sanjida se baat ko akhir ko mazah mein oraya

" Acha chalo phir . mujhay bhokk nahi hai. late hora ha hai shoes reh ga ay hai . woh khared kar ghar chaltay hai " Izzah nai us kay sar par tapki de kar kaha

" bhook kis kafir ke nahi mitay gi . Apnay ashiq ko dekh kar " husna nai hanstay huway kaha

" badtamez . public place na hota toh tum apna hashar dekhti " Izzah nai dhamki detay huway kaha

......🌺🌺🌺🌺🌺🌺.....

"appi konsay color ka dress liya hai barat kay liyay" Naina ek ek shopping bag khol kar dekh rahi thi . Sab waha bete thay . naina . izzah . izzak ki ami urooj . husna .

" orange aur red combination ka tail frok hai " Izzah nai mukhtasar jawab diya . woh husna kay sath bet kar jewelry dekh rahi thi

" Aur reception ( walima) kay dress ka (color) ? " naina nai bag se dress khola jo kai ek Peach color ki maxi thi . intehai Khobsurat

" abhi tah nahi khareda" Izzah usse tarah jewelry mein masrof thi

" toh yeh kya hai appi es kay sath toh tag bhi hai reception ka" naina nai dress ka jaiza letay huway kaha

" pata nahi.... mujhay yaaf he nahi raha" Izzah khud bhi us dress ko pehli bar dekh rahi thi . Shayad wo zarak nai liya tah. uski pasand lajawab thi . Izzah nai socha tah

" aur mehandi walay dress ka " naina nai jaisay tafsheh shoro ki thi

" Khud hi dekh lo yaar " izzah nai chertay huway jawab diya

" yeh raha nikah wala dress" Naina nai walimay wala dress urooj ko pakratay huway dosra bag khola tah aur tag par rahi thi. jab izzah nai us ki taraf dekha. ussay shok hi toh laga ta. yeh wala dress..... kaisay....Izzah nai naina kay hath se woh dress liya....

.....🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺....

stay connected
Comment share and like
subscribe to my YouTube channel ....

Thank you
Kaisay laga surprise

epi kaisay laga zaror bata ay....




Hasad kay baad Malal ( Mukamal complete)Where stories live. Discover now